Roti, darakhton aur baadlon par Allah ka naam dhoondna


Staff Member

Member
Staff member
Roti, darakhton aur baadlon par Allah ka naam dhoondna

Tehreer: Shaikh Maqbool Ahmad Salafi Hafizahullah

Roti pe Allah ka naam ubhar aaya, bakri ke pet par Allah ka naam ubhar aaya, darakhton ke patton pe Allah aur Muhammad likha nazar aaya, chaand par Muhammad likha nazar aaya. Gaaye ke sar pe Allah likha nazar aaya.
Allah ke bando, aisi posts share karna band kar do, Allah ki wahdaaniyat ke liye kisi sahaare ki zaroorat nahi hai, yeh naqsh jo ubharte hain, un ko is tarah share karne se ghair Muslim log hamaara mazaaq udaate hain, kehte hain ke agar is baat se haq saabit hota hai to hum kayi aisi cheezein dikha sakte hain, jin par Saleeb ka nishaan ubhar aaya.
Kya Saleeb ka nishaan dekh kar aap log apna imaan badal loge, imaan ke liye in cheezon ki zaroorat nahi hai.
Ghair Muslim log fake videos aur photos bana kar, YouTube aur Google pe upload karte hain, aur musalmaan comment mein Subhan Allah, MashaAllah Allah likhte hain.
Aur woh qahqahe laga kar hanste hain, ke dekho musalmaan kitne jaahil hain?
Allah Rabb ul Izzat ke Quran se badh kar koyi mo'jiza nahi ho sakta jo is duniya mein aaya. Is baat par gaur karein ke hum kis taraf jaa rahe hain?
 
Top