Rozedaar ko Iftaar karaana


Rozedaar ko Iftaar karaana

لِحَدِيثِ زَيْدِ بْنِ خَالِدٍ الْجُهَنِيِّ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ قَال: قَال رَسُول اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: مَنْ فَطَّرَ صَائِمًا كَانَ لَهُ مِثْل أَجْرِهِ، غَيْرَ أَنَّهُ لاَ يَنْقُصُ مِنْ أَجْرِ الصَّائِمِ شَيْئًا

Zayd Bin Khaalid Juhani (Raziyallaahu 'Anhu) ki Hadees hai, woh farmaate hain ke Rasool Allaah (ﷺ) ne farmaaya: "Jis shakhs ne kisi Rozedaar ko iftaar karaaya toh uske liye usi tarah ajar hoga aur Rozedaar ke ajar mein kuch bhi kami na kee jaayegi." [1]

Ramazaan mein 'Umrah ki afzaliyat

الْعُمْرَةُ فِي رَمَضَانَ أَفْضَل مِنْ غَيْرِهِ مِنَ الشُّهُورِ

Ramazaan mein 'Umrah karna doosre maheenon mein 'Umrah karne se afzal hai [2].

لِحَدِيثِ ابْنِ عَبَّاسٍ قَال: قَال رَسُول اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: عُمْرَةٌ فِي رَمَضَانَ تَعْدِل حَجَّةً

Is liye ke Ibn 'Abbaas (Raziyallaahu 'Anhumaa) ki Hadees hai, woh farmaate hain ke Rasool Allaah (ﷺ) ne farmaaya: "Ramazaan ka ek 'Umrah ek Hajj ke baraabar hai." [3]

- Naaqil: 'Abdul-Mudhill (عَبْدُ المُذِلّ)

_____________

References:

[1] Jaami' Al-Tirmizi: 807 (Saheeh).

[2] Kashshaaf Al-Qinaa': 2/520; Haashiyah Ibn 'Aabideen: 2/151; Asnaa Al-Mataalib: 1/458.

[3] Musnad Ahmad: 3478, 27829; Saheeh Al-Bukhaari: 1782.
 
Thread starter Similar threads Forum Replies Date
M Roza 0

Similar threads


Top