ROZEY KI FAZEELAT


ROZEY KI FAZEELAT

بسم الله الرحمن الرحيم

• Rozey ki fazeelat ke baare mein bohat si Ahaadees waarid hui hain, jin mein se hum hasb e zeyl Ahaadees zikr kar rahey hain:

1. Abu Hurairah (Raziyallaahu 'Anhu) se riwaayat hai ke Rasool Allaah (ﷺ) ne farmaaya:

قَالَ اللَّهُ :كُلُّ عَمَلِ ابْنِ آدَمَ لَهُ ، إِلَّا الصِّيَامَ فَإِنَّهُ لِي ، وَأَنَا أَجْزِي بِهِ ، وَالصِّيَامُ جُنَّةٌ ، وَإِذَا كَانَ يَوْمُ صَوْمِ أَحَدِكُمْ فَلَا يَرْفُثْ وَلَا يَصْخَبْ ، فَإِنْ سَابَّهُ أَحَدٌ أَوْ قَاتَلَهُ ، فَلْيَقُلْ : إِنِّي امْرُؤٌ صَائِمٌ ، وَالَّذِي نَفْسُ مُحَمَّدٍ بِيَدِهِ ، لَخُلُوفُ فَمِ الصَّائِمِ أَطْيَبُ عِنْدَ اللَّهِ مِنْ رِيحِ الْمِسْكِ ، لِلصَّائِمِ فَرْحَتَانِ يَفْرَحُهُمَا : إِذَا أَفْطَرَ فَرِحَ ، وَإِذَا لَقِيَ رَبَّهُ فَرِحَ بِصَوْمِهِ

"Allaah (تعالى) farmaata hai ke: Aadam ke bete ka har neyk amal khud usi ke liye hai magar Rozah ke woh khaas Mere liye hai aur Main hi uska badlah dunga aur Rozah gunaahon ki ek dhaal hai, agar koi Rozey se ho toh usey fahash goi na karni chaahiye aur na shor machaaye. Agar koi shakhs us ko gaali dey Ya lardna chaahey toh uska jawaab sirf ye ho ke main ek Rozedaar aadmi hoon, Us Zaat ki qasam jis ke haath mein Muhammad (ﷺ) ki jaan hai! Rozedaar ki munh ki bo Allaah (تعالى) ke nazdeek mushk ki khushbu se bhi zyaadah behtar hai, Rozedaar ko do khushiyaan haasil hongi (ek toh jab) woh iftaar karta hai toh khush hota hai aur (doosre) jab woh apne Rabb se mulaqaat karega toh apne Rozey ka sawaab paakar khush hoga." [1]

عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ رَضِيَ اللَّهُ تَعَالَى عَنْهُ عَنِ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ أَنَّهُ قَال: مَنْ صَامَ رَمَضَانَ إِيمَانًا وَاحْتِسَابًا، غُفِرَ لَهُ مَا تَقَدَّمَ مِنْ ذَنْبِهِ، وَمَنْ قَامَ لَيْلَةَ الْقَدْرِ إِيمَانًا وَاحْتِسَابًا غُفِرَ لَهُ مَا تَقَدَّمَ مِنْ ذَنْبِهِ

2. Abu Hurairah (Raziyallaahu 'Anhu) se Nabi Al-Malhamah (ﷺ) ka irshaad manqool hai ke Aap (ﷺ) ne farmaaya: "Jo shakhs Eemaan aur Sawaab ki ummeed ke saath Ramazaan ke Rozey rakhe toh uske guzishtah gunaah mu'aaf kardiye jaayenge, aur jo shakhs Eemaan aur Sawaab ki ummeed ke saath Shabb e Qadr mein qiyaam karey toh uske guzishtah gunaah mu'aaf kardiye jaayenge." [2]

وَعَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ رَضِيَ اللَّهُ تَعَالَى عَنْهُ قَال: كَانَ النَّبِيُّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ يُبَشِّرُ أَصْحَابَهُ بِقُدُومِ رَمَضَانَ، يَقُول: قَدْ جَاءَكُمْ شَهْرُ رَمَضَانَ، شَهْرٌ مُبَارَكٌ، كَتَبَ اللَّهُ عَلَيْكُمْ صِيَامَهُ، تُفْتَحُ فِيهِ أَبْوَابُ الْجَنَّةِ، وَتُغْلَقُ فِيهِ أَبْوَابُ الْجَحِيمِ، وَتُغَل فِيهِ الشَّيَاطِينُ، فِيهِ لَيْلَةٌ خَيْرٌ مِنْ أَلْفِ شَهْرٍ

3. Aur Abu Hurairah (Raziyallaahu 'Anhu) se riwaayat hai ke unhone kaha: Nabi Al-Malhamah (ﷺ) apne As'haab ko Ramazaan ke aane ki bashaarat dete the, farmaate the: "Tumhaare paas Ramazaan ka maheenah aagaya hai, jo baabarkat maheenah hai, Allaah ne uske Rozey tum par farz kiye, aur us mein Jannat ke darwaaze khol diye jaate hain aur Jahannam ke darwaaze band kardiye jaate hain, aur us mein Shayaateen qayd kardiye jaate hain, us mein ek raat hai jo ek hazaar maheenon se afzal hai." [3]

وَعَنْ سَهْل بْنِ سَعْدٍ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ عَنِ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ قَال: إِنَّ فِي الْجَنَّةِ بَابًا، يُقَال لَهُ: الرَّيَّانُ، يَدْخُل مِنْهُ الصَّائِمُونَ يَوْمَ الْقِيَامَةِ، لاَ يَدْخُل مِنْهُ أَحَدٌ غَيْرُهُمْ، يُقَال: أَيْنَ الصَّائِمُونَ؟ فَيَقُومُونَ، لاَ يَدْخُل مِنْهُ أَحَدٌ غَيْرُهُمْ، فَإِذَا دَخَلُوا أُغْلِقَ، فَلَمْ يَدْخُل مِنْهُ أَحَدٌ

4. Aur Sahl Bin Sa'd se riwaayat hai ke Nabi Al-Malhamah (ﷺ) ne farmaaya: "Jannat mein ek darwaazah hai jiska naam "Rayyaan" hai us darwaaze se Qiyaamat ke din Rozedaar daakhil honge, unke alaawah koi us se daakhil nahin hoga, kaha jaayega: Kahaan hai Rozedaar? Toh woh khadey honge, us se unke alaawah koi daakhil nahin hoga, pas jab woh daakhil hojaayenge toh darwaazah band kardiya jaayega toh us se koi nahin daakhil hosakega." [4]

وَعَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ قَال: قَال رَسُول اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: رَغِمَ أَنْفُ رَجُلٍ دَخَل عَلَيْهِ رَمَضَانُ ثُمَّ انْسَلَخَ قَبْل أَنْ يُغْفَرَ لَهُ

5. Aur Abu Hurairah (Raziyallaahu 'Anhu) se riwaayat hai ke Rasool Allaah (ﷺ) ne farmaaya: "Woh shakhs halaak ho jo Ramazaan ko paaye phir uski maghfirat hone se pehle woh guzar jaaye." [5]

- Naaqil: 'Abdul-Mudhill Hafizahullah (عَبْدُ المُذِلّ حفظہ اللہ)

_____________

References:


[1] Saheeh Al-Bukhaari: 1904.

[2] Saheeh Al-Bukhaari: 1901.

[3] Musnad Ahmad: 3664, 9493; Sunan Al-Nasaai: 2108.

[4] Muttafaqun 'Alayh [Bukhaari wa Muslim].

[5] Jaami' Al-Tirmizi: 3545 (Hasan).
 
Thread starter Similar threads Forum Replies Date
Israr Hussain Al-Wahhabi Roza 0
Abul Husayn Roza 0

Similar threads


Top