Umar Asari

Administrator
Staff member
Rukhsat Hote Waqt Kya Kahen?

Tehreer: Shaikh Maqbool Ahmad Salafi Hafizahullah

Romanised By: Umar Asari

Aam taur se logon mein mlite waqt Hi Hello aur juda hote waqt Bye Bye kehne ka chalan (riwaaj) hai jo ke maghribi tehzeeb (western culture) se aaya hai. Hum muslim qaum hain hamein RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne milne julne aur rukhsat hone ke aadaab sikhlaye hain balki zindagi guzaarne ke tamam umoor se aagah kiya hai is liye hamein kisi maamle mein doosri qaum ki naqal karne ki zaroorat hi nahi.
Islam ki taleem hai ke jab musalman aapas mein milen to salam karen, isi tarah juda hote waqt bhi salam ke zariye juda hon yeh sab se achcha aur mubarak amal hai.
Abu Hurairah Radhiallahu Anhu se riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya:
إِذَا انْتَهَى أَحَدُكُمْ إِلَى الْمَجْلِسِ فَلْيُسَلِّمْ فَإِذَا أَرَادَ أَنْ يَقُومَ فَلْيُسَلِّمْ فَلَيْسَتْ الْأُولَى بِأَحَقَّ مِنْ الْآخِرَةِ​
Tarjumah: Jab tum mein se koi kisi majlis mein pahunche to chahiye ke salam kahe aur jab wahan se uthna chahe to bhi salam kahe, pehli dafaa salam kehna doosri dafaa ke muqable mein koi ziyada ahem nahi hai.
(Abu Dawood: 5208)
❗Allama Albani Rahimahullah ne is Hadees ko Sahih kaha hai.

Yeh hadees hamein batati hai ke majlis se uthte waqt yani juda hote waqt bhi salam karna chahiye. Salam mein tarfain (both sides ke logon) ke liye Allah ki salamti hai woh bhi sunnat tareeqe se. Phir us ke baad deegar alfaaz kahen for example: Allah Hafiz, ya mazeed dua den to is mein koi harj nahi. Agar kisi ko safar par rukhsat kar rahe hain to un ko is tarah se dua dena masnoon hai jaisa ki Abdullah bin Umar Radhiallahu Anhuma jab kisi shakhs ko safar ke liye rukhsat karte to farmate: Aao main tumhein waise hi rukhsat karun jis tarah Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam hum ko rukhsat karte they. Aap farmate they:
أَسْتَوْدِعُ اللَّهَ دِينَكَ وَأَمَانَتَكَ وَخَوَاتِيمَ عَمَلِكَ​
Tarjumah: Main tumhare deen aur tumhari amanat aur tumhare aakhri amal ko Allah ke hawaale karta hun.
(Tirmidhi: 3443)
❗Allama Albani Rahimahullah ne is Hadees ko Sahih kaha hai.

Allah Taala hamein sunnat par chalne ki taufeeq ata farmaye.
Aameen
 
Top