Agar Yaum e Arafah Juma’ ke din ho to Roza rakhna kaisa hai?


Umar Asari

Administrator
Staff member
Agar Yaum e Arafah Juma’ ke din ho to Roza rakhna kaisa hai?

Tehreer: Umar Asari

Arafah ka Roza ghair hajiyon ke liye Mashroo’ aur Mustahab hai. Ahadees mein is ki bahut ziyadah fazeelat hai: Nabi ﷺ ka farmaan hai:
صِيَامُ يَوْمِ عَرَفَةَ، أَحْتَسِبُ عَلَى اللهِ أَنْ يُكَفِّرَ السَّنَةَ الَّتِي قَبْلَهُ، وَالسَّنَةَ الَّتِي بَعْدَهُ​
Tarjumah: Arafah ke din ka Roza, main Allah se umeed rakhta hun ke pichle saal ke gunaahon ka kaffarah ban jaayega aur agle saal ke gunaahon ka bhi.
(Sahih Muslim: 1162)

Lehaza ek musalman ko is fazeelat ko haasil karne ke liye Arafah ke din Roza rakhna chahiye.
Yahan ek masla hai ke agar Yaum e Arafah Juma’ ke din pad jaaye to aisi soorat mein kya kiya jaaye kiunki Ahadees mein akele Juma’ ka Roza rakhne se mana farmaya gaya hai, Nabi ﷺ ka farmaan hai:
لَا يَصُومَنَّ أَحَدُكُمْ يَوْمَ الْجُمُعَةِ، إِلَّا يَوْمًا قَبْلَهُ أَوْ بَعْدَهُ​
Tarjumah: Koi bhi shakhs Juma’ ke din us waqt tak Roza na rakhe jab tak us se ek din pehle ya us ke ek din baad Roza na rakhta ho.
(Sahih Bukhari: 1985)

Yeh Hadees is baat par waazeh daleel hai ke akele Juma’ ka Roza rakhna mamnoo’ (mana) hai. Isi liye kuch logon ko yeh ishkaal paida hota hai ke Yaum e Arafah agar Juma’ ke din ho to kya sirf us din Roza rakhna sahih hoga ya us se pehle (yani thursday ke) din bhi Roza rakhna hoga?
Is talluq se guzarish yeh hai ke agar Yaum e Arafah Juma’ ke din ho to us din Roza rakhne mein koi harj nahi, Hafiz Ibn e Hajar, Shaikh Ibn e Baz aur Ibn e Uthaimeen Rahimahumullah waghera ki yahi raaye hai. Is ki wujoohaat (reasons) yeh hain:
Yaum e Arafah ke Roze waali Hadees aam hai aur us mein is baat ka istisnaa (exception) nahi hai ke agar Yaum e Arafah Juma’ ke din ho to us din Roza nahi rakh sakte.

Ahadees mein mumani’at Juma’ ke din ko khaas kar ke Roza rakhne ke mutalliq hai jab ki Yaum e Arafah ko Roza Juma’ ki wajah se nahi rakha jaata balki woh Arafah ki wajah se rakha jaata hai goya ke Roza Juma’ ki ta’zeem mein nahi balki Yaum e Arafah ki ta’zeem mein rakha jaata hai lehaza Hadees mein jo mumani’at hai usko us par mahmool karenge jo Juma’ ki wajah se Roza rakhta ho albatta jis ne Arafah ke din ki wajah se Roza rakha ke Shari’at ne us ki targheeb aur taleem di hai to is mein koi harj nahi agarche akele Juma’ ka Roza rakhe.

Salaf mein se kisi se bhi manqool nahi hai ke agar Juma’ aur Arafah ek hi din jama ho jaayen to aisi soorat mein Roza nahi rakha jaayega.
والله أعلم بالصواب​
 
Top