“Eid” ya “Wa’eed”


Umar Asari

Administrator
Staff member
“Eid” ya “Wa’eed”

Romanised By: Umar Asari

Unwan se aapko ajeeb mehsoos huwa hoga lekin yeh ek haqeeqat hai jis se hamaare “Eidi Musalman” bhai ya “Ramdhani Musalman” bhai khusoosi taur par aur baqiya umoomi taur par nawaqif hain aur isi ki taraf mein aap logon ki tawajjo dilaana chaahunga Allah Taala mujhe, aapko aur hum sab ko amal ki taufeeq de. (Aameen)
“Eid” ka lafz Arabi zabaan se hamari urdu zabaan mein khushi ke din ke ma’ne mein aaya hai agarche Arabi zabaan mein bhi iska wahi ma’na muraad liya jaata hai jo urdu mein hai lekin Arabi mein iska asal ma’na baar baar aane ka hai to lafzi ma’ne se munasbat yeh hai ke yeh din har saal baar baar aata hai is liye isko “Eid” kaha jaata hai jabki “Wa’eed” ke lafz ke mutalliq bhi yahi baat hai ke asal mein Arabi ka lafz hai aur urdu mein apne asli ma’ne ke saath muntaqil huwa.
Apne is mazmoon ki tafseel mein jaane se pehle Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ke farmaan ko bayan karta chalun taaki apni baat “Eid” ya “Wa’eed” ko saabit kar sakun.
Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ka farmaan hai ke:
رَغِمَ أَنْفُ رَجُلٍ دَخَلَ عَلَيْهِ رَمَضَانُ، ثُمَّ انْسَلَخَ قَبْلَ أَنْ يُغْفَرَ لَهُ​
Tarjumah: Aise aadmi ki naak khaak aalood ho jis ki zindagi mein Ramadhan aaya aur chala gaya lekin uski maghfirat na hue.
(Tirmizi: 3545)
❗Allama Albani Rahimahullah ne is Hadees ko Hasan Sahih kaha hai.

Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ke is farmaan ko saamne rakhte huwe main ne apne is mazmoon ka unwan qaaim kiya hai aur is mein kitne wazeh andaaz mein maujood hai ke aane waali Eid kis ke liye “Eid” hai aur kis ke liye “Wa’eed” hai.
Bhaiyo! Hum zara apni Eidon par ghaur karen kya hamari Eidain “Musalmanon” waali Eidain hain.
Dekh lijiye! Chaand raat ko hi poore Ramadhan ki tamam kasar nikaal di jaati hai aur agar kisi deendar ne kuch kehne ki himmat kar bhi li to jawaab fauran mil jaata hai ke “Mulla ji! Aaj shaitano ko Allah ne chor diya hai yeh usi ka asar hai”.
Chaand raat mein kya kuch nahi hota ghar, bazaar, aur tamam jaghon mein raunaqein hi raunaqein hoti hain sirf ek jagah aisi hoti jo raunaq se khaali hoti hai aur woh aisi jagah hai jis ko hum ne Ramadhan ki ibtida mein aise bhar diya tha ke bahar gali mein aur raastoon mein bhi paaon rakhne ki jagah na thi aur rozana hum us jagah ko iftaari ke waqt aise bhar dete the ke aisa lagta tha jaise koi shadi haal hai, aur woh hai Allah ka ghar “Masjid”.
Logon ne jab chaand dekha Maghrib ki namaz ke baad us waqt Masjid mein khoob chehal pehal thi. Koyi apne rishtedaaron ko Aitekaf se uthaane ke liye aa raha tha to koi Aitekaf waalon ke liye phoolon ke haar le ker unke galon mein pehna raha tha to koyi imam saheb ko hadye de raha tha to koyi Hafiz saheb ki khatir tawazo’ mein masroof tha lekin usi din ki Isha ki namaz mein ek imam saheb, mu’azzin aur do chaar ilaaqe ke buzurg hi Masjid mein nazar aaye.
Hamaare bahut se “Eidi musalman” bhai Eidgaah tak hi namaz waghera ka ehtimaam karte hain, jabki baaz to woh bhi.............!!!
Mujhe aaj tak aisi koyi Aayat ya Hadees nahi mili jis mein sirf yeh kaha gaya ho ke sirf “Ramdhani” ya “Eidi” musalman bano agar koyi is tarah ki daleel nahi hai to hamein apne imaan ki fikr karni chaahiye.
 
Top