Wuzu Ke Baad Surah Qadr Padhna Kaisa Hai?


Staff Member

Member
Staff member
Wuzu Ke Baad Surah Al-Qadr Padhna Kaisa Hai?

Sawaal:
Assalam-o-alaikum
Wazu ke bad surah al-qadar parne ke baaarey me hadees hai:
jis ne aik bar surah qadar pari to wo siddiq me gina jayega.

Plz iske baaarey me btaaayen ki kya ye sahi hai?

Jawaab:
Wuzu ke baad Surah Al-Qadr padhne ki Sunnat mein koi asal nahi hai, Kanz ul Ummal mein ek riwayat hai:
من قرأ في أثر وضوئه إنا أنزلناه في ليلة القدر كان من الصديقين، ومن قرأها مرتين كان في ديوان الشهداء، ومن قرأها ثلاثا يحشره الله محشر الأنبياء​
Tarjumah: Jis ne Wuzu ke baad ek baar Surah Al-Qadr padha to woh siddiqeen mein se hai, aur jis ne do (2) baar padha woh uska shumaar Shuhadaa mein hoga, aur jis ne teen (3) baar padha to Allah Taala Maidaan e Hashr mein Ambiya ke saath usko rakhega.

Is riwayat ki haqeeqat:
Kanz ul Ummal ke muhaqqiq Bakri Hayani likhte hain:
لم يثبت حديث صحيح في قراءة سورة القدر عقب الوضوء​
Tarjumah: Wuzu ke baad Surah Qadr padhne ki koi bhi Sahih Hadees maujood nahi.

Ajalooni “Khashf ul Khafa (2566)” mein kehte hain:
لا أصل له، وكذا الأحاديث الواردة في الذكر عند كل عضو فباطلة. انتهى​
Tarjumah: Iski koi asal nahi hai, isi tarah har azw (body ke har hisse ko dhoone) ke waqt zikr ke silsile mein warid Ahadees batil hain.

Aur Shaikh Albani Rahimahullah “Silsila Az-Za'eefah” mein likhte hain:
قراءة سورة إنا أنزلناه عقب الوضوء لا أصل له. انتهى​
Tarjumah: Wuzu ke baad Surah «إنا أنزلناه» (yani Surah Qadr) padhne ki koi asal nahi.
Fatwa Link
والله أعلم بالصواب​
 
Top