Lafz-e-“Allah” ki screen waala mobile toilet mein le jaana


Shona shaikh

Active member
Lafz-e-“Allah” ki screen waala mobile toilet mein le jaana
Sawal:✯
Agar kisi shakhs ke paas mobile screen par Arabic mein Allahu Akbar likha ho to kya us ke liye Bait-ul-Khala mein mobile le jaana jaaiz hai?

Jawab:✬
Alhamdulillah: Aksar Fuqahaa-e-Kiraam ne Allah ke zikr par mushtamil koi bhi cheez baghair zaroorat Bait-ul-Khala mein le jaane ko Makrooh qaraar diya hai, Misaal ke taur par: Allah ke naam par mushtamil currency aur rupees.
Fuqahaa-e-Kiraam ki ek jama’at ne bayan kiya hai ki jab woh usey chhupa kar rakhe to phir koi harj nahi.

Ibn-e-Qudamah Rahimahullah kehte hain:
Agar kisi ke paas Allah ke naam par mushtamil koi cheez ho to Bait-ul-Khala jaate waqt usey bahar rakhna mustahab hai....
Aur agar Allah ke zikr par mushtamil cheez ko mehfooz kare, aur usey girne se bacha kar rakhe, ya phir angoothi ka nageena andar ki jaanib kar le to us mein koi harj nahi.

Imam Ahmad Rahimahullah kehte hain:
Agar angoothi mein Allah ka naam likha ho to woh usey apni hatheli ke andar waali taraf ghuma kar Bait-ul-Khala chala jaaye.

Aur ’Ikrimah Rahimahullah kehte hain:
Usey is tarah apni hatheli ke andar waali taraf kar ke haath band kar lo. Ishaaq Rahimahullah ne bhi aisa hi kaha hai.

Aur Ibn-e-Musayyab, Hasan aur Ibn-e-Sireen Rahimahumullah ne is ki rukhsat di hai.
Imam Ahmad Dirham le kar Bait-ul-Khala jaane waale shakhs ke mutalliq kehte hain:
Mujhe ummed hai ki is mein koi harj nahi.
(Taken from: Al-Mughni Li-Ibn-e-Qudamah: 1/109)

Shaikh Ibn-e-Uthaymeen Rahimahullah se sawal kiya gaya:
Allah ﷻ ke naam par mushtamil awraaq le kar Bait-ul-Khala mein jaane ka hukm kiya hai?

Shaikh Rahimahullah ka jawaab tha:
Jab yeh Allah ﷻ ke naam par mushtamil awraaq pocket mein hon aur zahir na hon, balki makhfi aur chhupe huwe hun to Bait-ul-Khala mein le jaana jaaiz hai.
(Dekhen: Fatawa At-Taharah, Page No: 109)

Is bina par “Allahu Akbar” ke alfaaz par mushtamil screen waala mobile pocket mein daal kar le jaane mein koi harj nahi, bus woh zahir na hota ho, balki pocket mein ho.
Wallahu A’lam.

Islamqa: 72235
 
Thread starter Similar threads Forum Replies Date
Ibnatu Ali Masail 0

Similar threads


Top