Sadaqah karne ki afzaliyat


Sadaqah karne ki afzaliyat

بسم اللہ الرحمٰن الرحیم

دَلَّتِ السُّنَّةُ عَلَى أَنَّ الصَّدَقَةَ فِي رَمَضَانَ أَفْضَل مِنْ غَيْرِهِ مِنَ الشُّهُورِ، مِنْ ذَلِكَ حَدِيثُ ابْنِ عَبَّاسٍ قَال: كَانَ النَّبِيُّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ أَجْوَدَ النَّاسِ بِالْخَيْرِ وَكَانَ أَجْوَدَ مَا يَكُونُ فِي رَمَضَانَ حِينَ يَلْقَاهُ جِبْرِيل، وَكَانَ جِبْرِيل عَلَيْهِ السَّلَامُ يَلْقَاهُ كُل لَيْلَةٍ فِي رَمَضَانَ حَتَّى يَنْسَلِخَ، يَعْرِضُ عَلَيْهِ النَّبِيُّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ الْقُرْآنَ، فَإِذَا لَقِيَهُ جِبْرِيل عَلَيْهِ السَّلَامُ كَانَ أَجْوَدَ بِالْخَيْرِ مِنَ الرِّيحِ الْمُرْسَلَةِ

Hadees se ma'loom hota hai ke Ramazaan mein Sadaqah karna doosre maheenon mein Sadaqah karne se afzal hai, chunaanche Ibn 'Abbaas (Raziyallaahu 'Anhumaa) ki Hadees hai, woh farmaate hain: Nabi Al-Malhamah (ﷺ) Sakhaawat (Generosity) aur Khayr ke mu'aamle mein sab logon se zyaadah Sakhi (generous) the aur Aap (ﷺ) ki Sakhaawat us waqt aur bardh jaati thi jab Jibreel (عليه السلام) Aap se Ramazaan mein milte, Jibreel (عليه السلام) Nabi Al-Malhamah (ﷺ) se Ramazaan ki har raat mein milte yahaan tak ke Ramazaan guzar jaata. Nabi Al-Malhamah (ﷺ) Jibreel (عليه السلام) se Qur'aan ka daur karte the, jab Jibreel (عليه السلام) Aap se milne lagte toh Aap (ﷺ) chalti hawa se bhi zyaadah bhalaayi pohnchaane mein Sakhi hojaaya karte the. [1]

قَال ابْنُ حَجَرٍ وَالْجُودُ فِي الشَّرْعِ إِعْطَاءُ مَا يَنْبَغِي لِمَنْ يَنْبَغِي، وَهُوَ أَعَمُّ مِنَ الصَّدَقَةِ، وَأَيْضًا رَمَضَانُ مَوْسِمُ الْخَيْرَاتِ، لأَِنَّ نِعَمَ اللَّهِ عَلَى عِبَادِهِ فِيهِ زَائِدَةٌ عَلَى غَيْرِهِ، فَكَانَ النَّبِيُّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ يُؤْثِرُ مُتَابَعَةَ سُنَّةِ اللَّهِ فِي عِبَادِهِ

Ibn Hajar farmaate hain: Jood (Sakhaawat) ka ma'naa Sharee'at mein munaasib aadmi ko munaasib cheez dena hai aur woh Sadaqah se aam hai, neyz Ramazaan neykiyon ka mausam hai, is liye ke us maheeney mein Allaah ki ni'matein Uske bandon par doosre maheenon ke muqaable mein zyaadah hoti hain, chunaanche Allaah ki jo Sunnat apne bandon ke saath hai, Nabi Al-Malhamah (ﷺ) uski pairwi ko tarjeeh dete the. [2]

- Naaqil: 'Abdul-Mudhill Hafizahullah (عَبْدُ المُذِلّ حفظہ اللہ)

_____________

References:


[1] Saheeh Al-Bukhaari: 1902.

[2] Fat'hul-Baari: 1/31, 4/116.
 
Top