Shona shaikh

Active member
Da’wat-e-Islaami ke weekly ijtimaa’ mein padhe jaane waale chhe (6) durood ki haqeeqat

Tehreer: Shaikh Maqbool Ahmad Salafi Hafizahullah

Romanised By: Umar Asari

Pakistan mein Barelvi firqe ki ek maslaki tanzeem hai jis ka naam “Da’wat-e-Islaami” hai, us tanzeem ke paas Madani channel hai aur Da’wat-e-Islaami ke naam se ek website bhi hai jis ke zariye poori duniya mein bid’aat-o-khurafaat phailaaye jaa rahe hain. Aap ko ma’loom hona chahiye ke yeh log Nabi ﷺ se jhooti mohabbat ka dawa karte hain aur durood-o-salaam ke naam se ummat ko dhoka dete hain. Agar yeh waqa’ee Nabi ﷺ se mohabbat karte to shirk-o-bid’at par amal aur us ka parchaar (sharing) na karte aur Sahih Ahadith se munh mod kar Za’eef aur Mauzoo’ riwayaat par amal na karte? Khair yeh baat lambi ho jaayegi, yahan is firqe ki ek ahem haqeeqat ko bataana chaahte hain ke yeh log durood-o-salaam ke naam se ummat mein khud ko sachcha muhibb-e-Rasool (Rasoolullah ﷺ se mohabbat karne waala) bataana chaahte hain jabki na yeh durood, Rasoolullah ﷺ ka sikhaaya padhte hain aur na durood padhne ka masnoon tareeqa apnaate hain.
Da’wat-e-Islaami ki website par “Ghaus-e-paak ki karamat” naam ki kitaab ke aakhir mein heading hai: “Da’wat-e-Islaami ke weekly ijtimaa’ mein padhe jaane waale 6 durood-e-paak aur 2 duaayen” aaiye us heading ke neeche jo chhe (6) durood us kitaab mein zikr kiye gaye hain un ki mukhtasar haqeeqat ma’loom karte hain.
Pehla durood; Juma’ ki raat ka durood:
اَللّٰہُمَّ صَلِّ وَسَلِّمْ وَبَارِکْ عَلٰی سَیِّدِنَا مُحَمَّدِ نِالنَّبِیِّ الْاُمِّیِّ
الْحَبِیْبِ الْعَالِی الْقَدْرِالْعَظِیْمِ الْجَاہِ وَعَلٰی اٰلِہٖ وَصَحْبِہٖ وَسَلِّمْ​
Buzurgon ne farmaaya ke jo shakhs shab-e-Juma’ (Juma’ aur Jume’raat ki darmiyaani raat) is durood shareef ko paabandi se kam-se-kam ek martaba padhega maut ke waqt Sarkaar-e-Madinah ﷺ ki ziyarat karega aur Qabr mein daakhil hote waqt bhi, yahan tak ke woh dekhega ke Sarkaar-e-Madinah ﷺ usey Qabr mein apne rehmat bhare haathon se utaar rahe hain.
افضل الصلوات علی سید السادات، الصلاۃ السادسۃ والخمسون، ص۱۵۱ملخصًا
Durood ki haqeeqat: Is durood se mutalliq ek baat to yeh arz karna hai ke yeh durood aur is ki fazeelat buzurgon se manqool hai jaisa ki yahan par kaha gaya hai. Is baat se aap andaza laga sakte hain ke Barelvi ke yahan durood ghada jaata hai aur us ki fazeelat khud se bayan ki jaati hai. In logon ko jhoot ghadne mein Allah ka khauf nahi hai kiunki un ke yahan silsila waar buzurgon se chala aa raha hai. Haqeeqat yeh hai ke Hadith mein is durood ka kahien suboot nahi hai aur jab yeh durood saabit hi nahi hai to us ki fazeelat kahan se saabit hogi? Aur doosri baat yeh hai ke is mein “افضل الصلاۃ علی سید السادات” naam ki jis kitaab ka hawaala diya gaya hai us ka likhne waala soofi, bid’ati, shirk-o-kufr ki taraf dawat dene waala aur Qabr paraston ka imam, Yousuf Nab’hani Afghani hai. Is liye is kitaab aur is ke bid’ati molvi se hamein hoshiyaar rehna chaahiye.

Doosra durood; Tamaam gunaah mu’aaf:
اَللّٰہُمَّ صَلِّ عَلٰی سَیِّدِنَا وَمَوْلَانَا مُحَمَّدٍ وَّعَلٰی اٰلِہٖ وَسَلِّمْ​
Hazrat Sayyiduna Anas Radhiallahu Anhu se riwayat hai ke Taajdaar-e-Madinah ﷺ ne farmaaya: Jo shakhs yeh durood-e-paak padhe, agar khada tha to baithne se pehle aur baitha tha to khade hone se pehle us ke gunaah mu’aaf kar diye jaayenge.
افضل الصلوات علی سید السادات،الصلاۃ الحادیۃ عشرۃ، ص ۶۵
Durood ki haqeeqat: Is durood ke liye jo hawaala diya gaya hai woh peeche zikr kiye gaye bid’ati ki kitaab hai aur haqeeqat mein aisa durood aur upar zikr ki gayi is ki fazeelat sahih Hadith se saabit nahi hai. Soofiyon ke yahan alag alag tarah ke banaawti durood milte hain misaal ke taur par Salaat-e-Kamaaliyah, Salaat-e-Munjiyah, Salaat-e-Abdul Qadir Jilaani waghera. Ek durood Salaat-e-Ahmad Badwi (Soofi) hai jis ke lambe banaawti durood ke shuru ke kalimaat (sentences) mein yeh durood maujood hai.

Teesra durood; Rehmat ke sattar (70) darwaaze:
صَلَّی اللّٰہُ عَلٰی مُحَمَّد​
Jo yeh durood-e-paak padhta hai us par rehmat ke 70 darwaaze khol diye jaate hain.
(القول البدیع، الباب الثانی، ص۲۷۷)

Durood ki haqeeqat: Is durood ke padhne mein koi harj nahi hai lekin jo fazeelat bataayi gayi hai us ke mutalliq Imam Sakhawi ne usi kitaab Al-Qaul-ul-Badee’ mein khud hi bata diya hai ke yeh Hadith qaabil-e-aitemaad nahi hai.
(Dekhen: Al-Qaul-ul-Badee’: 194)

Chautha durood; Chhe lakh (600000) durood shareef ka sawaab:
اَللّٰھُمَّ صَلِّ عَلٰی سَیِّدِنَا مُحَمَّدٍ عَدَدَ مَا فِیْ عِلْمِ اللّٰہِ صَلَاۃً دَآئِمَۃً بِدَوَامِ مُلْکِ اللّٰہ​
Hazrat Ahmed Saawi Alaihir Rehmah kuch buzurgon se naqal karte hain: Is durood shareef ko ek baar padhne se chhe lakh durood shareef padhne ka sawaab haasil hota hai.
افضل الصلوات علی سید السادات، الصلاۃ الثانیۃ والخمسون، ص۱۴۹
Durood ki haqeeqat: Soofiyon ke nazdeek yeh durood, Salaat-us-Sa’aadah ke naam se famous hai lekin durood ke yeh alfaaz Sahih Hadith se saabit nahi hain. Aap khud andaza laga sakte hain ke Ahmad Saawi aur kuch buzurgon ki taraf mansoob kar ke durood ki fazeelat bataayi jaa rahi hai is ka matlab hai ki yeh manghadat hai aur hawaala bhi bid’ati Molvi ki kitaab se hai.

Paanchwaan durood; Nabi ﷺ ka qurb (nazdeeki):
اَللّٰہُمَّ صَلِّ عَلٰی مُحَمّدٍکَمَا تُحِبُّ وَتَرْضٰی لَہٗ​
Ek din ek shakhs aaya to Huzoor-e-Anwar ﷺ ne usey apne aur Siddiq-e-Akbar Radhiallahu Anhu ke beech mein bitha liya. Is se Sahaba-e-Kiraam Radhiallahu Anhum ko hairat hue ke yeh kaun (oonche) martabe waala hai! Jab woh chala gaya to Sarkaar ﷺ ne farmaaya: Yeh jab mujh par durood-e-paak padhta hai to yun (upar zikr kiye gaye durood ke alfaaz) padhta hai.
(القول البدیع، الباب الاول، ص ۱۲۵)
Durood ki haqeeqat: Yeh durood bhi kisi sahih Hadith se saabit nahi hai aur fazeelat se mutalliq jo qissa bayan kiya gaya hai woh mauzoo’ hai.

Chhatwaan durood; Durood-e-Shafa’at:
اَللّٰہُمَّ صَلِّ عَلٰی مُحَمَّدٍ وَّاَنزِلہُ المَقعَدَ المُقَرَّبَ عِندَکَ یَومَ القِیَامَۃِ​
Nabi ﷺ ka farmaan hai: Jo shakhs yun durood-e-paak padhe, us ke liye meri shafa’at waajib ho jaati hai.
(At-Targheeb Wat-Tarheeb: 2/329, Hadith: 30)
Durood ki haqeeqat: Shaikh Albani ne is Hadith ko Silsilah Az-Za’eefah, Fazl-us-Salaat Ala An-Nabi ﷺ, Mishkaat ki Takhreej, Kitaab-us-Sunnah ki Takhreej aur Za’eef At-Targheeb waghera mein Za’eef kaha hai.

Ab neeche woh do duayen bhi dekh lete hain jo Da’wat-e-Islaami ki majlis mein padhi jaati hain.
⓵ Pehli dua; Ek hazaar din ki nekiyaan:
جَزَی اللّٰہُ عَنَّا مُحَمَّدًا مَّا ھُوَ اَھْلُہٗ​
Hazrat Sayyiduna Ibn-e-Abbas Radhiallahu Anhuma se riwayat hai ke Sarkaar-e-Madinah ﷺ ne farmaaya: Is ko padhne waale ke liye sattar (70) farishte ek hazaar (1000) din tak nekiyaan likhte hain.
(Majma’-uz-Zawaid, Kitaab-ul-Ad’iyah, Baab Fi Kaifiyyat As-Salaat)
Dua ki haqeeqat: Yeh Hadith Za’eef hai, Shaikh Albani ne Silsilah Az-Za’eefah mein is ko Munkar qaraar diya hai.
(Silsilah Az-Za’eefah: 5109)

⓶ Doosri dua; Goya Shab-e-Qadr haasil kar li:
Farmaan-e-Mustafa ﷺ hai: Jis ne is dua ko 3 martaba padha to goya us ne Shab-e-Qadr haasil kar li.
(Tareekh Ibn-e-’Asakir: 19/155, Hadith: 4415)
Dua ke alfaaz:
لَآ اِلٰہَ اِلَّا اللہُ الْحَلِیْمُ الْـکَرِیْمُ ،سُبحٰنَ اللہِ رَبِّ السَّمٰوٰتِ السَّبْعِ وَرَبِّ الْعَرْشِ الْعَظِیْم​
(Khuda-e-Haleem o Kareem ke siwa koi ibadat ke laaiq nahi, Allah ﷻ paak hai jo saaton aasmaanon aur Arsh-e-Azeem ka parwardigaar hai)
Dua ki haqeeqat: Yeh riwayat Kanz-ul-Ummaal mein bhi hai, is ki tehqeeq Mahmood Umar Dimyaati ne ki hai aur is ko Zohri ki Mursal riwayat qaraar diya hai.
(Muhaqqaq Nuskha by Umar Dimyaati: 1/100)
Aur Mursal riwayat Za’eef hoti hai aur Zohri ki Maraseel bhi Za’eef hi hoti hain.

Aakhir mein kehna chaahta hun ke Aap ﷺ par durood bhejne ka sab se afzal tareeqa wahi hai jo Aap ﷺ ne Sahaba ko sikhaaya hai aur Nabi se sachchi mohabbat karne waale ka yahi tareeqa hota hai. Chunanche Ka’b bin ’Ujrah Radhiallahu Anhu bayan karte hain ke Nabi-e-Kareem ﷺ hum logon mein tashreef laaye to hum ne kaha:
يَا رَسُولَ اللَّهِ، قَدْ عَلِمْنَا كَيْفَ نُسَلِّمُ عَلَيْكَ، فَكَيْفَ نُصَلِّي عَلَيْكَ؟ قَالَ: فَقُولُوا: اللَّهُمَّ صَلِّ عَلَى مُحَمَّدٍ، وَعَلَى آلِ مُحَمَّدٍ، كَمَا صَلَّيْتَ عَلَى آلِ إِبْرَاهِيمَ إِنَّكَ حَمِيدٌ مَجِيدٌ، اللَّهُمَّ بَارِكْ عَلَى مُحَمَّدٍ، وَعَلَى آلِ مُحَمَّدٍ، كَمَا بَارَكْتَ عَلَى آلِ إِبْرَاهِيمَ إِنَّكَ حَمِيدٌ مَجِيدٌ​
Tarjumah: Aye Allah ke Rasool (ﷺ)! Yeh to hamein ma’loom ho gaya hai ke hum Aap ko salaam kis tarah karen, lekin Aap par durood hum kis tarah bhejen? Nabi-e-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya ke is tarah kaho
«اللَّهُمَّ صَلِّ عَلَى مُحَمَّدٍ، وَعَلَى آلِ مُحَمَّدٍ، كَمَا صَلَّيْتَ عَلَى آلِ إِبْرَاهِيمَ إِنَّكَ حَمِيدٌ مَجِيدٌ، اللَّهُمَّ بَارِكْ عَلَى مُحَمَّدٍ، وَعَلَى آلِ مُحَمَّدٍ، كَمَا بَارَكْتَ عَلَى آلِ إِبْرَاهِيمَ إِنَّكَ حَمِيدٌ مَجِيدٌ»​
“Aye Allah! Muhammed (Sallallahu Alaihi Wasallam) par apni rehmat naazil kar aur Aal-e-Muhammed Sallallahu Alaihi Wasallam par, jaisa ke tu ne Ibrahim par rehmat naazil ki, bila-shubha tu ta’reef kiya huwa aur paak hai. Aye Allah! Muhammed par aur Aal-e-Muhammed par barkat naazil kar jaisa ke tu ne Ibrahim aur Aal-e-Ibrahim par barkat naazil ki, bila-shubha tu ta’reef kiya huwa aur paak hai.”
(Sahih Bukhari: 6357)

Aap hi faisla karen ke jise Nabi ﷺ se sachchi mohabbat hogi woh Rasoolullah ﷺ ka sikhaaya huwa tareeqa chhod kar kya doosra tareeqa ikhtiyaar karega? Agar Barelvi Nabi ﷺ se sachchi mohabbat karte to banaawti durood na padhte, na Za’eef aur Mauzoo’ Ahadees par amal karte aur na hi durood padhne ka tareeqa alag se ijaad karte (banaate) magar in khaamiyon ki wajah se saaf zahir hai ke Barelvi Nabi ﷺ se mohabbat nahi karte balke Mohabbat-e-Rasool ke naam par logon ko dhoka dete hain.
 
Top