Shona shaikh

Active member
Safar ka aakhri budh, sehat ka din??
MAH'E SAFAR ka aakhri budh jo awam mein ”sair budh” ke naam se mashhoor hai ke mutaliq yeh mashhoor hai ke is din REHMAT'E ALAM

MUHAMMAD SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ne ghusal'e sehat farmaya tha aur sair'o tafreh farmai thi is liye is din ko nawaqif aur saada looh musalman mard aurtein khushi ka din samajh kar baagaat mein sair'o tafreh ke liye jatay hain, sheereeni taqseem karte aur umdah qisam ke khanay pakanay ka ihtimaam karte hain .

TEHQEEQ:
Musalmano mein deobandi, barelvi ahle hadees is par mutafiq hain ke aakhri budh ke roz AP SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ke marz wafaat ka aaghaz hua tha aur ise marz mein aap ne wafaat payi thi.

MASHOOR MAURIKH IBN'E SAAD tehreer farmatay hain :
Chahar shanba (budh) 28 SAFAR ko RASOOL ALLAH SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ke marz ka aaghaz hua.
(Tabqaat Ibn'e saad 206)


Mohammad idrees kandhalwi tehreer farmatay hain :
MAH'E SAFAR ke akhri ashra mein AP SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM eik baar shab ko utthay aur farmaya ke mujhe hukum hua hai ke AHL'E BAQI (Qabrustan Madinah Munawwara) ke liye astaghfar karoon, wahan se wapas tashreef laaye to mizaaj nasaaz hogaya, sir mein dard aur bukhaar ki shikayat peda hogayi, yeh UMM' UL-MOMINEEN HAZRAT MEMONA RADHIALLAHU ANHA ki baari ka din tha aur budh ka roz tha.
(Seerat Al-mustafa 3/157)

Mohammad Shafi tehreer farmatay hain:
28 Safar 11 hijri Chahar shanba (budh) ki raat mein AP SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ne Qabrustan BAQI GHARQAD mein tashreef le ja kar AHL'E QABOOR ke liye dua'e mughfirat ki, wahan se tashreef laaye to sir mein dard tha aur phir bukhaar hogaya aur yeh bukhaar sahih riwayaat ke mutabiq 13 roz tak mutawatar raha aur isi haalat mein wafaat hogayi.
(Seerat'e khatim'ul Anbiya 141)


Rasheed ahmed ganghoi ka Fatwa :
Akhri chahar shanba ki koi asal nahi balky is din mein janib AP SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ko shiddat marz waqay hui thi to yahudion ne khushi ki thi, woh ab jaahil hindio mein raaij hogayi. NAUZ'U BILLAH MIN SHROR'E ANFUSENA WAMIN SAYAT'E AMALENA (Fatawa'e rashidia 15)

Barelvi maktaba fikar ke ahmed raza khan ka Fatwa :
Akhri chahar shanba ki koi asal nahi na is din sehat yabi RASOOL SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ka koi saboot hai balkay marz aqdas jis mein wafaat hui is ki ibtida isi din se batayi jati hai.
(Ahkaam'e shariat 3/183)


Barelvi maktaba fikar ke eik dosray alam'e deen molana amjad farmatay hain:
Mah'e safar ka akhri chahar shanba hindustan mein bohat manaya jata hai, log apne kaarobar band kardete hain sair'o tafreh aur shikaar ko jatay hain, poryan pakti hain aur nahate dhotay hain, khusihyan manaatay hain aur kehte hain ke RASOOL SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ny is roz ghusal'e sehat farmaya tha aur beron'e madinah sair ke liye tashreef le gaye they, yeh sab baatein be'asal hain balkay un dino mein RASOOL SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ka marz shiddat ke sath tha, logon ko jo baatein batae hui hain sab khilaaf waqa hain.
(Bahar'e Shariat 16/242)


Mazkora baala hawala jaat se yeh baat roz roshan ki terhan wazeh hojati hai ke MAH'E SAFAR ka akhri budh RASOOL SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ke marz kay aghaz ka din tha na ke sehat yabi ka.
 

Similar threads


Top