Umar Asari

Administrator
Staff member
Saas mehram hai ya gair mehram

✵Sawaal:✵
Assalamu alaikum bhai.
saas damad ke liye mehram hai ya gair mehram hai. Saas Aur damad baat karsakte hai kya.?
Plz iska jawab den.
Jazakallahu Khair.

✯Jawaab:✯
Walaikum Assalam Wa Rehmatullahi Wabarakatuhu

Allah ﷻ ka farmaan hai:
وَأُمَّهَاتُ نِسَائِكُمْ​
“Aur tumhari biwiyon ki maayen.”
(Surah An-Nisa: 23)

Yani mard par us ki saas (jo ki us ki biwi ki waalidah hai) aur us ki nani chaahe woh us se bhi upar waali ho (yani nani ki maa aur us ki nani waghera.....) mard par haraam hai, chaahe woh biwi ki maa ki jaanib se hon ya phir us ki waalid ki jaanib se yeh sirf aqd-e-nikah ki wajah se haraam ho jaati hain.
Jab koi mard kisi aurat se aqd-e-nikah kare to us par ki biwi ki waalidah (yani saas) us ki mahram hogi chaahe us ne biwi se jima’ bhi na kiya ho, yani agarche beti se humbistri na bhi ki ho to us par us ki maa haraam ho jaati hai.
Farz karen (suppose) agar beti faut ho jaati hai ya use talaaq de di jaaye to woh us ki waalidah (yani apni saas) ka mahram hoga.
Aur agar farz karen ke jis ladki se mard ne nikah kiya ho aur us se dukhool nahi huwa to us ladki ki maa apne damaad ke liye mahram shumaar hogi woh us ke saamne apna chehra nanga kar sakti hai aur us ke saath safar kar sakti hai aur khalwat bhi kar sakti hai, is mein koi harj nahi. Is liye ke biwi ki waalidah (saas) aur us ki nani sirf aqd-e-nikah se hi haraam ho jaati hain, is ki daleel Allah ﷻ ke mundarja zail farmaan ka umoom hai:
وَأُمَّهَاتُ نِسَائِكُمْ​
“Aur tumhari biwiyon ki maayen.”
(Surah An-Nisa: 23)

Aur aurat sirf aqd-e-nikah ki bina par mard ki biwi ban jaati hai...
 
Top