بِسْمِ ٱللَّهِ ٱلرَّحْمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ

Namaz Mein Takhney Se Neechay Shalwar

Tehreer: Shaikh Maqbool Ahmad Salafi Hafizahullah

Romanised By: Umar Asari

Shalwar Ka Takhney Se Neechey Latkana Haraam Hai Aur Sakht Gunah Ka Baais (Sabab) Hai, Is Se Mutalliq Bohat Saari Riwayaat Hain. Aik Riwayat Mein Hai:

عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ، عَنِ النَّبِيِّ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ قَالَ: مَا أَسْفَلَ مِنَ الكَعْبَيْنِ مِنَ الإِزَارِ فَفِي النَّارِ
Tarjuma: Hazrat Abu Hurairah Radhiallahu Anhu Ne Bayan Kiya Ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya: Izar (Shalwar, Tehband) Ka Jo Hissa Takhno Se Neechay Latka Ho Woh Jahannum Mein Hoga.
(Sahih Bukhari: 5787)

Aik Doosri Riwayat Mein Hai:

عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ، أَنَّ رَسُولَ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم قَالَ: لاَ يَنْظُرُ اللَّهُ يَوْمَ الْقِيَامَةِ إِلَى مَنْ جَرَّ إِزَارَهُ بَطَرًا
Tarjuma: Hazrat Abu Hurairah Radhiallahu Anhu Se Riwayat Hai Ki Nabi e Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya:
Jo Shakhs Apna Izaar (Shalwar, Lungi Wagera) Ghuroor Ki Wajah Se Ghseet-ta Hai, Allah Taala Qayamat Ke Din Uski Taraf Nahi Dekheyga.

(Sahih Bukhari: 5788)

Goya Takhney Se Neechay Shalwar Latkaana Sakht Gunah Hai Chahay Namaz Ki Haalat Ho Ya Namaz Ke Alawah Doosri Haalati.

Agar Kisi Ne Takhney Se Neechay Shalwar Karkay Namaz Padh Li To Us Ki Namaz Ho Jayegi. Sheikh Ibn e Uthaimeen Aur Sheikh Ibn e Baaz Rahimahumullah Ka Bhi Yahi Maanna Hai.
Baaz Ulama Ne Takhney Se Neechay Shalwar Honay Ko Naqiz e Wuzu (Wuzu Todney Wala) Bataya HaibAur Namaz Bhi Durust Na Honay Ka Fatwa Diya. Halaanke yeh Mauqif (Ahadees Ki Roshni Mein) Sahih Nazar Nahi Aata.

Kiyunkay Kisi Bhi Faqeeh Ya Muhaddis Ne Isbal (Takhney Se Neechey Kapda Latkaney) Ko Nawaqiz e Wuzu (Wuzu Todney Wala) Mein Shumaar Nahi Kiya. Jis Riwayat Se Isbaal (Izaar, Shalwar Wagerah) Ko Naqiz e Wuzu (Wuzu Ke Tootney) Aur Namaz Key Durust Na Honey Ki Daleel Pakadtey Hain Woh Riwayat Yeh Hai:

حَدَّثَنَا مُوسَى بْنُ إِسْمَعِيلَ حَدَّثَنَا أَبَانُ حَدَّثَنَا يَحْيَى عَنْ أَبِي جَعْفَرٍ عَنْ عَطَاءِ بْنِ يَسَارٍ عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ قَالَ بَيْنَمَا رَجُلٌ يُصَلِّي مُسْبِلًا إِزَارَهُ إِذْ قَالَ لَهُ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ اذْهَبْ فَتَوَضَّأْ فَذَهَبَ فَتَوَضَّأَ ثُمَّ جَاءَ ثُمَّ قَالَ اذْهَبْ فَتَوَضَّأْ فَذَهَبَ فَتَوَضَّأَ ثُمَّ جَاءَ فَقَالَ لَهُ رَجُلٌ يَا رَسُولَ اللَّهِ مَا لَكَ أَمَرْتَهُ أَنْ يَتَوَضَّأَ ثُمَّ سَكَتَّ عَنْهُ فَقَالَ إِنَّهُ كَانَ يُصَلِّي وَهُوَ مُسْبِلٌ إِزَارَهُ وَإِنَّ اللَّهَ تَعَالَى لَا يَقْبَلُ صَلَاةَ رَجُلٍ مُسْبِلٍ إِزَارَهُ
Tarjuma: Syedna Abu Hurairah Radhiallahu Anhu Bayan Kartey Hain Ke Aik Dafaa Aik Aadmi Namaz Parh Raha Tha Aur Woh Apna Izaar (Tehband Wagera) Takhno Se Neechay Latakaye Hue Tha. Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Ne (Dekha To) Usay Farmaya: Jao Aur Wuzu Kar Ke Aao. Chunancha Woh Gaya Aur Wuzu Kar Ke Aaya. Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Usay Dobarah Farmaya: Jao Aur Wuzu Kar Ke Aao. Chunancha Woh Gaya Aur Wuzu Kar Ke Aaya. To Aik Aadmi Ne Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Se Kaha : Aye Allah Ke Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam! Kis Wajah Se Aap Ne Isay Wuzu Karney Ka Hukm Diya, Phir Aap Is Se Khamosh Ho Rahay? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya: Yeh Shakhs Apna Izaar (Tehband Wagera) Latka Kar Namaz Parh Raha Tha Aur Allah Taala Aisay Bande Ki Namaz Qubool Nahi Karta Jo Apna Tehband (Izaar, Shalwaar Wagera) Latka Kar Namaz Parh Raha Ho.
(Abu Dawood: 638)

Lekin Is Riwayat Se Istedlaal Nahi Kiya Jayega Kiyunkay
Yeh Riwayat “Zaeef” Hai Iski Sanad Mein “Abu Jafar” Ghair Maroof Ravi Hai. Imam Munziri Rahimahullah Ne “Mukhtasar Sunan Abi Dawood” Aur Allama Shoukaani Rahimahumullah Ne “Nail ul Awtar” (2/113) Mein Likha Hai Ke Is Hadees Ki Sanad Mein Ahl e Madinah Se Aik Ravi Hai Jis Ka Naam Maroof Nahi.

Allama Albani Rahimahullah Ne Is Riwayat Ko Zaeef Qarar Diya Hai.

{Dekhen: Zaeef Abi Daud (Albani): 124}
Aur “Mishkaat al Masabeeh” Par Ta’leeq Likhte Hue Sheikh Albani Rahimahullah Ne Likha Hai Ke:
Is Hadees Ki Sanad Zaeef Hai Is Mein Ravi Abu Jafar Hai, Us Se Bayan Karney Wala Yahya Ibn e Abi Kaseer Hai Aur Woh Ansari Madni Muazzin Hai Jo Ke Majhool Hai Jaisa Ki Ibn e Qattan Rahimahullah Ne Kaha Hai. Aur “Taqreeb” Mein Ibn Hajar Asqlani Rahimahullah Ne Likha Hai Ke Is Ki Hadees Kamzor Hai.
Allama Albani Rahimahullah Mazeed Kehtey Hain Ke Jis Ne Is Hadees Ki Sanad Ko Sahih Qarar Diya Hai Usay Vaham Hua Hai.

(Mishkaat al Masabeeh: 1/238)

Yaad Rahey Kisi Mohaddis Ne Isbaal (Izaar, Shalwar Wagerah Takhne Se Neeche Latkaane) Ko Nawaqiz e Wuzu Mein Shumaar Nahi Kiya To Jis Aadmi Ka Kapda Takhnay Se Neechay Ho Jaye Us Ka Wuzu Aur Us Ki Namaz Dono Durust Hogi Albatta Yeh Jurm Zaroor Hoga Jis Ki Waeed Ahadees Mein Mazkoor Hai.

Wazahat (By Umar):
Yeh Baat To Maloom Ho Gai Ke Mard Hamesh Apna Izaar (Shalwar Wagera) Takhney Se Upar Rakhengey Chahey Namaz Mein Ho Na Gair e Namaz Mein.
Aik Sis Ney Sawaal Kiya Ki Kya Aurat Bhi Apni Shalwaar Wagera Takhney Se Upar Rakheygi?

Meine Unko Jawaab To De Diya Hai Lekin Soocha Ki Koi Aur Is Post Se Yeh Na Samajh Le Ki Aurat Bhi Apni Shalwaar Wagera Takhney Se Upar Rakheygi. Isiliye Wazahat Kar Raha Hun.

Aurat Apna Pajama or Shalwaar Wagera (Yaad Rahey Key Aurat Ka Libaas Tang or Chust Na Ho) Takhney Se Neechey Rakheygi Or Kitna Rakheygi Aaye Hadees e Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam Ko Dekhtey Hain:

عَنْ ابْنِ عُمَرَ قَالَ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ مَنْ جَرَّ ثَوْبَهُ خُيَلَاءَ لَمْ يَنْظُرْ اللَّهُ إِلَيْهِ يَوْمَ الْقِيَامَةِ فَقَالَتْ أُمُّ سَلَمَةَ فَكَيْفَ يَصْنَعْنَ النِّسَاءُ بِذُيُولِهِنَّ قَالَ يُرْخِينَ شِبْرًا فَقَالَتْ إِذًا تَنْكَشِفُ أَقْدَامُهُنَّ قَالَ فَيُرْخِينَهُ ذِرَاعًا لَا يَزِدْنَ عَلَيْهِ
Tarjuma: Abdullah Bin Umar Radhiallahu Anhuma Kehte Hain Ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya:
Jo Shakhs Takabbur Se Apna Kapda Ghseetey Ga Allah Taala Qayamat Ke Din Us Ki Taraf Nahi Dekhega, Umm e Salma Radhiallahu Anha Ne Kaha : Aurtein Apney Damanon Ka Kya Karen? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya:
Aik Balisht Latka Len. Unhon Ne Kaha: Tab To Unkey Qadam Khul Jayenge, Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya:
Aik Balisht Latkayen. Or Issey Zada Na Latkayen.

(Tirmidhi: 1731, Sahih)

Is Hadees Se Maloom Huwa Kay Kapda Latkanay Key Silsiley Mein Mardon Aur Aurton Ke Liye Alag Alag Hukm Hai, Mardon Ke Liye Aadhi Pindli Tak Latkaana Ziyada Behtar Hai, Albatta Takhnon Tak Rakhnay Ki Ijazat Hai, Lekin Takhnon Ka Khula Rakhna Behad Zaroori Hai, Is Ke Bar Aks (Opposite) Aurtein Na Sirf Takhnay Balkay Paon Tak Chupayengi, Khaas Taur Par Jab Woh Bahar Niklen To Is Ka Khayaal Rakhen Ke Paon Par Kisi Ghair Mehram Ki Nazar Nah Parey.

Allah Hamein Amal Ki Taufeeq Ata Farmaye.
Aameen.
Umar Asari
 

Similar threads


Top