Sahaabah Karaam ne apni Jaanon ki parwaah kiye baghair Islaam aur Allaah ke Kalimah ko buland Kiya


Sahaabah Karaam ne apni Jaanon ki parwaah kiye baghair Islaam aur Allaah ke Kalimah ko buland Kiya

بسم الله الرحمن الرحيم

• Ibn Muhayreez kehte hain ke maine Abu Jumu'ah se kaha jo Sahaabi (e Rasool) hain ke humse koi Hadees bayaan karein jo Aap ne Rasool Allaah (ﷺ) se suni ho toh unhone kaha: "Haan, main tum se bohat umdah Hadees bayaan karunga. Hum subah ke waqt Rasool Allaah (ﷺ) ke paas gaye aur hamaare saath Abu 'Ubaydah Bin Jarraah (Raziyallaahu 'Anhu) bhi the. Unhone kaha: Ya Rasool Allaah! Koi humse bhi behtar hosakta hai? Hum Eemaan laaye aur Aap ke saath (milkar) J!haad kiya. Aap (ﷺ) ne farmaaya:

نَعَمْ قَوْمٌ يَكُونُونَ مِنْ بَعْدِكُمْ يُؤْمِنُونَ بِي وَلَمْ يَرَوْنِي

"Haan, woh log jo tumhaare ba'd honge aur mujhe dekhe baghair mujh par Eemaan laayenge." [1]

FAWAAYED: Sahaabah Karaam ki soch ka daaromadaar umooman Deeni e'tebaar se behtar aur afzal hona hota tha jaisa ke Abu 'Ubaydah (Raziyallaahu 'Anhu) ke sawaal se saaf zaahir hai.

• Sahaabah Karaam Rizwaanullaahi Ajma'een Islaam ke ba'd J!haad ko intehaayi azeem amal samajhte the aur ye baat Ummul-Mu'mineen 'Aa'ishah (Raziyallaahu 'Anhaa) ki ye baat se zaahir hoti hai jab unhone Rasool Allaah (ﷺ) se kaha:

يَا رَسُولَ اللَّهِ أَلَا نَخْرُجُ فَنُجَاهِدَ مَعَكَ فَإِنِّي لَا أَرَى عَمَلًا فِي الْقُرْآنِ أَفْضَلَ مِنْ الْجِهَادِ

"Aye Allaah ke Rasool! Kya hum auratein bhi Aap ke saath J!haad ke liye na jaaya karein? Kyunke main toh Qur'aan e Majeed mein koi amal J!haad se afzal nahin paati." [2]

• Aur ye baat is Hadees mein Sahaabah ke sawaal ke andaaz se bhi dekha jaa sakta hai jis mein Rasool Allaah (ﷺ) Zul-Hijjah ke Dus dino mein kiye jaane waale a'maal ke baare mein farmaaya:

مَا الْعَمَلُ فِي أَيَّامٍ الْعَشْرِ أَفْضَلَ مِنْهَا فِي هَذِهِ

"In dino ke amal se zyaadah kisi din ke amal mein fazeelat nahin."


• Sahaabah ne poocha: Allaah ke raaste mein J!haad mein bhi nahin?

• Rasool Allaah (ﷺ) ne farmaaya:

وَلَا الْجِهَادُ فِي سَبِيلِ اللهِ، ‏‏‏‏‏‏إِلَّا رَجُلٌ خَرَجَ بِنَفْسِهِ وَمَالِهِ فَلَمْ يَرْجِعْ مِنْ ذَلِكَ بِشَيْءٍ

"Haan, Allaah ke raaste mein J!haad mein bhi nahin, Siwaaye us (Mujaahid) shakhs ke jo apni Jaan wa Maal khatrey mein daalkar nikla aur waapas nahin aaya (sab kuch Allaah ki raah mein qurbaan kardiya aur Shaheed hogaya)." [3]

☆ Aye Allaah! Hum Tere raaste mein Tujhse Shahaadat ka sawaal karte hain ☆

• Aur Is Hadees mein Rasool Allaah (ﷺ) ko baghair dekhe Eemaan laane waalon ko Sahaabah se behtar kaha gaya hai lekin ye behtari mutlaq nahin hogi kyunke (ليس الخبر كالمُعايَنَة) ke suni sunaayi baat aankhon dekhi ki tarah nahin hosakti kyunke sunne se baat is tarah dil mein nahin jamti jis tarah dekhne Ya mushaahadah karne se uska asar dil par hota hai, ab jab Sahaabah ne Nabi Al-Malhamah (ﷺ) ko dekha hai, Aapki zindagi ka uthne baithne ka mushaahadah kiya hai, Aap par Wahee aur Farishton ke nuzool aur deegar nishaaniyon ko dekha hai unke liye Eemaan laana aasaan hai, banisbat un logon ke jo un cheezon ka mushaahadah na kar sakey aur aise log ghaib par Eemaan laakar zyaadah jurraat ka muzaahirah kiya hai.

• Aur Sahaabah Karaam ne apni Jaanon ki parwaah kiye baghair Islaam aur Allaah ke Kalimah ko buland karne ke liye Shaheed hogaye.

• Is se hatkar Sahaabah ko doosron ki nisbat har e'tebaar se bartari haasil hai. Rasool Allaah (ﷺ) ka farmaan hai:

لَا تَسُبُّوا أَصْحَابِي فَلَوْ أَنَّ أَحَدَكُمْ أَنْفَقَ مِثْلَ أُحُدٍ ذَهَبًا مَا بَلَغَ مُدَّ أَحَدِهِمْ وَلَا نَصِيفَهُ

"Mere Sahaabah ko gaali na do, agar tum mein se koi bhi Uhud pahaard ke baraabar sona bhi kharch karey toh woh unke ek mudd ghallah Ya uske nisf (aadhe) ke baraabar bhi nahin pohanch sakta." [4]

• Khidmat e Islaam mein Sahaabah Karaam ki Maali qurbaaniyon ke is liye fazeelat haasil hai ke unhone aise waqt mein kharch kiya jab sakht zaroorat thi, Kaafiron ka ghalbah tha aur Musalmaan mohtaaj the. Rizwaanullaahi Ajma'een.

وما عليّ إلا البلاغ ولله الحمد والمنة وهو أعلم

- Abdul-Mudhill Hafizahullah

_____________

References:


[1] Al-Tabaraani Fee Al-Kabeer: 4/3538 (Saheeh); Musnad Ahmad 137, 17102; Sunan Al-Daarmi: 2786.

[2] Sunan Al-Nasaai: 2629; Saheeh Al-Bukhaari: 1520, 1861, 2784.

[3] Sunan Abu Daawood: 2438; Jaami' Al-Tirmizi: 757; Sunan Ibn Maajah: 1727; Saheeh Al-Bukhaari: 969.

[4] Saheeh Al-Bukhaari: 3673; Saheeh Muslim: 6487, 6488, 4689, 4685; Jaami' Al-Tirmizi: 3861; Sunan Ibn Maajah: 161.
 
Top