Umar Asari

Administrator
Staff member
Kitaab Ka Naam: Woh Shaitan Hai!!!

Mu'allif (Author): Shaikh Abu Abdurrehman Mohammad Rafeeq Tahir Hafizahullah

Roman Translation: Umar Asari


Is Kitaab Ko Urdu Unicode Mein Padhne Ke Liye Mohaddis Forum Visit Karen.

1- Namazi ke aage se guzarne wala:
Abu Sa’eed Khudri Radhiallahu Anhu bayan farmate hain ke main ne Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ko yeh farmate huwe suna:
إِذَا صَلَّى أَحَدُكُمْ إِلَى شَىْءٍ يَسْتُرُهُ مِنَ النَّاسِ، فَأَرَادَ أَحَدٌ أَنْ يَجْتَازَ بَيْنَ يَدَيْهِ فَلْيَدْفَعْهُ، فَإِنْ أَبَى فَلْيُقَاتِلْهُ، فَإِنَّمَا هُوَ شَيْطَانٌ​
Tarjumah: Jab tum mein se koi shakhs sutrah ki janib namaz padh raha ho aur koi bandah tumhare aur sutrah ke darmiyan se guzarna chahe to tum us ko roko, agar woh na ruke to us se ladai karo kiunki “woh Shaitan hai”.
[Sahih Bukhari: 509]

2- Kala Kutta:

Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya:
الْكَلْبُ الأَسْوَدُ شَيْطَانٌ​
Tarjumah: Kala kutta “Shaitan” hai.
[Sahih Muslim: 510]

3- Ghair Mehramon ke saamne zeb o zeenat ka izhaar karne wali aurat:

Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya:
إِنَّ الْمَرْأَةَ تُقْبِلُ فِي صُورَةِ شَيْطَانٍ وَتُدْبِرُ فِي صُورَةِ شَيْطَانٍ فَإِذَا أَبْصَرَ أَحَدُكُمُ امْرَأَةً فَلْيَأْتِ أَهْلَهُ فَإِنَّ ذَلِكَ يَرُدُّ مَا فِي نَفْسِهِ​
Tarjumah: Aurat Shaitan ki soorat mein aati jaati hai, jab tum mein se koi aik kisi aurat ko dekhe to woh apne ahl ko aaye (yani apni biwi ke paas aaye). Yeh amal us ke dil mein paida huwe khayalat ko khatm kar dega.
[Sahih Muslim: 1403]


4- Ishqiya Ash’aar Padhne Wala:

عَنْ أَبِي سَعِيدٍ الْخُدْرِيِّ، قَالَ بَيْنَا نَحْنُ نَسِيرُ مَعَ رَسُولِ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم بِالْعَرْجِ إِذْ عَرَضَ شَاعِرٌ يُنْشِدُ فَقَالَ رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم: خُذُوا الشَّيْطَانَ أَوْ أَمْسِكُوا الشَّيْطَانَ لأَنْ يَمْتَلِئَ جَوْفُ رَجُلٍ قَيْحًا خَيْرٌ لَهُ مِنْ أَنْ يَمْتَلِئَ شِعْرًا ‏​
Tarjumah: Abu Sa’eed Khudri Radhiallahu Anhu farmate hain ke hum Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ke sath Arj naami jagah se guzar rahe they ke achanak aik shayar samne aaya. Woh shergoi kar raha tha, to Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya: Shaitan ko pakad ya is Shaitan ko roko, tum mein se agar koi shakhs apne pait ko peep ke sath bhar le jo us ki aanton ko kaat ke rakh de, yeh us ke liye ash’aar yaad karne se behtar hai.
[Sahih Muslim: 2259]

5- Tanha Safar Karne Wala:

Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya:
الرَّاكِبُ شَيْطَانٌ وَالرَّاكِبَانِ شَيْطَانَانِ وَالثَّلاَثَةُ رَكْبٌ​
Tarjumah: Aik sawaar Shaitan hai, do sawaar Shaitan hain aur teen afraad hon to qaafla hai.
[Tirmidhi: 1674]

6- Kabootar Aur Us Ke Peeche Bhagne Waala:

عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ، أَنَّ رَسُولَ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم رَأَى رَجُلاً يَتْبَعُ حَمَامَةً فَقَالَ: شَيْطَانٌ يَتْبَعُ شَيْطَانَةً​
Tarjumah: Abu Hurairah Radhiallahu Anhu farmate hain ke Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne aik aadmi kabootri ke peeche bhagte huwe dekha to farmaya: “Shaitan, Shaitanah ke peeche bhaag raha hai.”
[Abu Dawood: 4940]

7- Gana Sunne Aur Gungunane Waala, 8- Raqs Karne Aur Dekhne Waala:

Aik habshi aurat raqs kar rahi thi aur gaana gaa rahi thi. (Isi Hadees mein aage hai). Achanak Umar Radhiallahu Anhu ka wahan se guzar huwa to tamam log wahan se bhaag gaye. Yeh manzar dekh kar Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya:
إِنِّي لأَنْظُرُ إِلَى شَيَاطِينِ الإِنْسِ وَالْجِنِّ قَدْ فَرُّوا مِنْ عُمَرَ​
Tarjumah: Main jinoo aur insanon ke shaitano ko Umar Radhiallahu Anhu ki khauf ki wajah se bhagta dekh raha hun.
[Tirmidhi: 3691]
 
Top