Umar Asari

Administrator
Staff member
Sahaba e Kiraam Radhiallahu Anhum Ajma'een Ka Ikhtilaaf Aur Un Par La'nat Ka Hukm

✵Sawaal:✵
Mushaajarat e Sahaba ke baare mein Ahl e Sunnat wal-Jama'at ka kya mauqif hai? Aur Sahaba e Kiraam Radhiallahu Anhum Ajma'een mein se kisi ek par la'nat karne ka kya hukm hai?

✯Jawaab:✯
Ahl e Sunnat mushajarat e Sahaba ke baare mein tawuqquf se kaam lete hain aur kehte hain ke un mein se har ek mujtahid tha jis ka ijtihaad durust tha use dugna sawaab milega aur jis ka durust na tha use bhi ijtihad karne ka sawaab zaroor milega aur uski ghalati mu'aaf hogi. Sahaba e Kiraam Radhiallahu Anhum Ajma'een ke fazail o manaaqib se Kitab o Sunnat ke safhat bhare pade hain lehaza hum un sab ko adil samajhte hain aur sab ko Radhiallahu Anhum Ajma'een kehte hain. Hum un rafziyon se bara'at ka izhaar karte hain jo Sahaba e Kiraam Radhiallahu Anhum Ajma'een ko dushnaam (gaali) dete ya un par la'nat karte hain. Jo shakhs Sahaba e Kiraam Radhiallahu Anhum Ajma'een mein se kisi par bhi ta'n kare ya la'nat ko jaaiz samjhe woh khud bhi gumraah hai aur doosron ko bhi gumrah karne waala hai.
Hum is se Allah ki panah mangte hain.

➤ ❲Shaikh Ibn e Jibreen❳

Source: Fatawa Islamiyah (Urdu Translation): 1/163
 

Similar threads


Top