Un mein se aksar log baawajood Allaah par Eemaan rakhne ke bhi Mushrik hi hain [12:106]


Un mein se aksar log baawajood Allaah par Eemaan rakhne ke bhi Mushrik hi hain [12:106]

بسم الله الرحمن الرحيم

Sawaal: Kuch logon ka kehna hai ke Tum log jo Aayaat Kuffaar par naazil hui hain woh Aayaat Ahl e Qiblah (Musalmaanon) par kyun laagu karte ho ?

Jawaab: Shirk wa Kufr e Akbar ka irtekaab jaise Mushrikeen wa Kuffaar karte hain agar koi Ahl e Qiblah mein se Shirk wa Kufr e Akbar jaise Af'aal wa A'maal karenge toh unhein bhi unhi ke saath milaaya jaayega.

Allaah (تعالى) ke faraameen hai:

أعوذ بالله من الشيطان الرجيم

وَاَنۡ اَقِمۡ وَجۡهَكَ لِلدِّیۡنِ حَنِیۡفًا ۚ وَ لَا تَکُوۡنَنَّ مِنَ الۡمُشۡرِکِیۡنَ

"Aap apne aap ko yaktarfah Deen par qaayem rakho aur Mushrikeen mein se kabhi na ho." [1]

وَلَا تَکُوۡنُوۡا کَالَّذِیۡنَ قَالُوۡا سَمِعۡنَا وَ هُمۡ لَا یَسۡمَعُوۡنَ

"Un logon ki tarah na hona jo kehte hain, hum ne suna haalaanke woh nahin sunte." [2]

وَمَنۡ یَّتَوَلَّهُمۡ مِّنۡکُمۡ فَاِنَّهٗ مِنۡهُمۡ

"Tum mein se jo bhi un (Kuffaar) se tawalli (dosti waghairah) karega woh unhi mein se hoga." [3]

☆ Qur'aan is tarah ke Aayaat se bhara hua hai.

Aur Rasool Allaah (ﷺ) ne farmaaya:

مَنْ تَشَبَّهَ بِقَوْمٍ فَهُوَ مِنْهُمْ

"Jisne kisi Qaum ki shabaahat ikhtiyaar karli woh unhi mein se hai." [4]

Shaykhul-Islaam Ibn Taymiyyah (Rahimahullaah) ne oopar zikr kee gayi Hadees ke baare mein farmaate hain:

وهذا أقل أحواله أن يقتضي تحريم التشبه بهم ، وإن كان ظاهره يقتضي كفر المتشبِّه بهم

"Aur iski kamazkam haalat ye hai ke un Kuffaar se mushaabihat ki hurmat ka taqaaza karti hai, agarche uska zaahir unse mushaabihat karne waale ke Kufr ka mutaqaazi hai" (ya'ni Zaahiri matlab yahi hai ke jo bhi unki mushaabihat ikhtiyaar karey woh unhi ki tarah Kaafir hai). [5]

Doosri jagah Aap (ﷺ) ne farmaaya:

لَتَتْبَعُنَّ سَنَنَ مَنْ كَانَ قَبْلَكُمْ شِبْرًا شِبْرًا وَذِرَاعًا بِذِرَاعٍ، حَتَّى لَوْ دَخَلُوا جُحْرَ ضَبٍّ تَبِعْتُمُوهُمْ ‏"‏‏.‏ قُلْنَا يَا رَسُولَ اللَّهِ الْيَهُودُ وَالنَّصَارَى قَالَ: فَمَنْ

"Tum apne se pehli Ummaton ki ek ek baalisht aur ek ek gaz mein ittebaa' karoge, yahaan tak ke agar woh kisi Goh (mastigure) ke suraakh mein daakhil hue honge toh tum us mein bhi unki ittebaa' karoge." Humne poocha: Aye Allaah ke Rasool ! Kya Yahood wa Nasaaraa muraad hain ? Aap (ﷺ) ne farmaaya: "Phir aur kaun" (wohi log muraad hain). [6]

Jo log in Aayaat ko un logon ke saath khaas karte hain jinki wajah se woh naazil hui hain aur unki tarah ke logon ko in Aayaat ke ziman mein shaamil nahin samajhte, unke baare mein Ibn Taymiyyah (Rahimahullaah) farmaate hain ke aisey logon ko chaahiye ke woh ye bhi kahein ke:

...آية الظهار لم يدخل فيها إلا أوس بن الصامت وآية اللعان لم يدخل فيها إلا عاصم بن عدي وأن ذم الكفار لم يدخل فيه إلا كفار قريش ونحو ذلك مما لا يقوله مسلم

"...Zihaar ki aayat ka hukm sirf Aws Bin Saamit (Raziyallaahu 'Anhu) ke liye hai. Li'aan ki aayat sirf 'Aasim Bin 'Adi (Raziyallaahu 'Anhu) ke liye hai, Kuffaar ki mazammat ki aayatein sirf Kuffaar e Quraysh ki mazammat mein hain. Haalaanke koi bhi Musalmaan ye nahin keh sakta...." [7]

Abaa Butayn (Rahimahullaah) farmaate hain:

أما قول من يقول أن الآيات التي نزلت بحكم المشركين الأولين فلا تتناول من فعل فعلهم فهذا كفر عظيم" , وقال : "ويلزم منه أن الحدود المذكورة في القرآن والسنة لأُناس كانوا وانقرضوا ؟ فلا يُحد الزاني اليوم ولا تقطع يد السارق وبطل حكم القرآن

"Jo log kehte hain ke Mushrikeen e Awwaleen ke baare mein jo Aayaat naazil hui hain woh sirf unhi ke liye hain, agar koi aur un jaisa amal karey toh ye Aayaat uske liye nahin hai. Aisa kehna Kufr e 'Azeem hai. Aur farmaate hain ke (agar is baat ko tasleem karliya jaaye) toh phir laazim aata hai ke Qur'aan wa Sunnat mein jin Hudood ka zikr hai woh sirf unhi logon ke liye thi jinke baare mein woh naazil hui aur woh log ab marchuke hain lihaaza ab kisi Zaani par hadd nahin lagegi aur na hi kisi Chor ka haath kaata jaayega, is tarah Qur'aan ka Hukm baatil hojaayega."
[8]

Note: Mazeed tafseel ke liye "Kashf Al-Shubuhaat" mulaahizah farmaayein jis mein Muhammad Bin 'Abdul-Wahhaab (Rahimahullaah) ne is sawaal ka tasalli bakhsh jawaab diya hai aur is ghalat fahmi ko behtareen andaaz se door kiya hai, Isi tarah "Kitaab Al-Haqaaiq Fee Al-Tawheed" mein bhi wazaahat kee gayi hai jahaan Baab baandha gaya hai ke Kaafiron, Yahoodiyon aur 'Eesaaiyon jaisa amal karne waale unhi mein shumaar honge.

☆ Khulaasah ☆

• Nateejah yahi hai ke jo bhi Kalmah Go agar Kuffaar wa Mushrikeen jaisa Kufr e Akbar aur Shirk e Akbar jaise azeem gunaaahon ka irtekaab karenge woh unhi ki tarah Kaafir wa Mushrik hain.

• Allaah (تعالى) ka farmaan hai:

مَا یُؤۡمِنُ اَکۡثَرُهُمۡ بِاللّٰہِ اِلَّا وَهُمۡ مُّشۡرِکُوۡنَ

"Un mein se aksar log baawajood Allaah par Eemaan rakhne ke bhi Mushrik hi hain." [9]

وما عليّ إلا البلاغ ، ولله الحمد والمنة و أعلم

《 Muharrir: 'Abdul-Mudhill Hafizahullah (عَبْدُ المُذِلّ حفظہ اللہ) 》

_____________

References:

[1] Soorah No. 10, Yoonus, Aayah: 105.


[2] Soorah No. 8, Al-Anfaal, Aayah: 21.

[3] Soorah No. 5, Al-Maa'idah, Aayah: 51.

[4] Sunan Abu Daawood: 4031. Musnad Ahmad.

[5] Iqtidaa Al-Siraat Al-Mustaqeem: 237.

[6] Muttafaqun 'Alayh [ Bukhaari wa Muslim].

[7] Majmoo' Al-Fataawaa: 16/148.

[8] Al-Durar: 10/418.

[9] Soorah No. 12, Yoosuf, Aayah: 106.
 

Similar threads


Top