Sahabi ki tareef hadees se saabit karen?


Abul Husayn

Moderator
Staff member
Sahabi Ki Tareef Hadees E Rasool Ki Roushni Mein!

Tehreer: Hafiz Alimuddin Yusuf Hafizahullah

Romanised: Syed Ibraheem Salafi
___________________


Kuch logon ka sawaal hai ke Sahabi ki tareef hadees se saabit karen?
Jawaab mein 'arz hai ke Abu Hurairah (Razi Allahu Anhu) se marwi hai ke Nabi e Akram ﷺ ne farmaaya:
وددت أني لقيت إخواني، قال: فقال أصحاب النبي ﷺ أوليس نحن إخوانك؟ قال: بل أنتم أصحابي ولكن إخواني الذين آمنوا بي ولم يروني​
Tarjuma: "(Nabi e Akram ﷺ ne kaha) meri khawaahish hai ke main apne ikhwaan se mulaqaat karta, Sahaba e Kiraam (Razi Allahu Anhum) ne kaha: kya hum aap ke ikhwaan nahi hain? Nabi ﷺ ne farmaaya: tum mere ashaab ho, mere ikhwaan wo hain jinhon ne mujh par emaan laaya aur mujhe nahi dekha."
(Musnad Ahmed: 12601, Silsilah Ahadees As Sahihah 2888)

Is hadees mein Nabi e Akram ﷺ ne Sahabi aur ghair sahabi ka farq bayaan kiya hai.

Chunancha ikhwaan unhen kaha jin ke andar do sifaten paayi jaayengi:
1) Emaan
2) Nabi e Akram ﷺ se mulaqaat ka na hona

Aur Sahaba ko ikhwaan se alag karne ki wajah yeh batlaayi ke in ki mulaqaat haalat e emaan mein Nabi e Akram ﷺ se saabit hai, lehaaza wo ikhwaan nahi balke ashaab ke zumrey mein hain.

Goyaa is hadees mein Sahabi ki tareef kuch yun ki gayi hai: "Sahaba wo hain jinhon ne Nabi e Akram ﷺ se haalat e emaan mein mulaqaat ki aur inki wafaat bhi emaan par hi huwi"

Ab koi yeh na kahe ke "haalat e emaan par wafaat" ki shart ka izafah kahan se kiya. kiyun ke har musalmaan yeh jaanta hai ke fazilaton ka husool usi waqt mumkin hai jab emaan par maut huwi ho, jaisa ke Allah Rabbul 'Alameen ne farmaaya:
وَمَنۡ يَّرۡتَدِدۡ مِنۡكُمۡ عَنۡ دِيۡـنِهٖ فَيَمُتۡ وَهُوَ کَافِرٌ فَاُولٰٓئِكَ حَبِطَتۡ اَعۡمَالُهُمۡ فِى الدُّنۡيَا وَالۡاٰخِرَةِ ‌‌ۚ وَاُولٰٓئِكَ اَصۡحٰبُ النَّارِ‌‌ۚ هُمۡ فِيۡهَا خٰلِدُوۡنَ​
Tarjuma: "Aur tum mein se jo log apne deen se palat jaayen isi kufr ki haalat mein maren, in ke amaal e duniyawi aur ukhrawi sab ghaarat ho jaayen ge, yeh log jahannumi honge aur hamesah hamesha jahannum mein rahen ge."
(Surah Baqarah: 217)
 
Last edited by a moderator:
Thread starter Similar threads Forum Replies Date
Abul Husayn Sahaba e Kiraam Radhiallahu Anhum Ki Seerat 0

Similar threads


Top