Salafiyat Aur Salafi Ka Ta'ruf Quraan Aur Hadees Ke Aaine Me


Salafiyat Aur Salafi Ka Ta'ruf Quraan Aur Hadees Ke Aaine Me

Shaikh Maqbool Ahmad Salafi Hafizahullaah
Islamic Dawah Center Taif Saudi Arab
Deen E Islaam Ek Saaf Shuthra Fitri Nizaame Hayaat Hai Isme Zindagi Guzarne Ke Tamaam Tar Paakizah Usool Maujood Hai Dar Asal Isi Deen Me Insaaniyat Nawaazi,Sulah Aur Aashti,Ittihaad Aur Ittifaaq Adal Aur Masaawaat,Huqooq Aur Maraa'aat,Ukhoowat Aur Muhabbat,Sidaq Aur Safa,Aman Aur Raahat Aur Itminaan Aur Sukoon Maujood Hai Duniya Ke Baaqi Tamaam Adyaan Aur Mazaahib Me Fitrat Se Bagawat Aur Zindagi Ki Paakizah Usool Aur Ta'leemaat Se Bezaari Hai. Deen E Islaam Ko Dusre Lafzo Me Salfiyat Se Bhi Mausoom Kiya Jata Hai Kuy Ke Yahi Islaam Ki Mukammal Ta'beer Hai.
Salfiyat Koi New Firqah Aur Khood Sakhta Nizaam E Zindagi Ka Naam Nahi Balke Quroon E Mufazla Ke Salaf Saaleheen Ke Manhaj Par Chalne Ka Naam Hai Salaf E Saleheen Se Muraad Sahaba,Tabe'een Aur Unke Ittiba Yani Rasool SAV Ne Jin 3 Zamano Ki Khair Aur Bhalaai Ka Zikar Farmaya Hai. Un Zamano Ke Nek Aur Saleh Afraad Jinhone Rasool SAV Ke Deen Ko Sahih Se Samjha Aur Us Par Usi Tarah Amal Kiya Jis Tarah Aap Ne Hukam Diya. Jo Log In Aslaaf E Kiraam Ke Tariqah Par Chale Unhe Salafi Kaha Jata Hai Aur Jo Us Se Bichad Jaae Khalaf Me Iska Shumaar Hoga.
Jis Tarah Allaah Ne Quraan Ki Hifazat Farmaai Rasool SAV Ke Farmoodaat Ki Hifazat Ke Asbaab Paida Farmaae Usi Tarah Ahde Rasool SAV Se Le Kar Ab Tak Ek Jamat Ki Hifazat Karta Raha Aur Qayamat Tak Karta Rahe Jis Jamat Ka Mishon,Nabvi Mishon Yani Haq(Kitabullaah Aur Sunnat E Rasool)Ka Daman Thamte Hue Usi Ki Nashar O Isha'at Karna Aur Baatil Ki Tardeed Me Kisi Qisam Ki Musalihat Na Karna Hai.
Chunke Salfiyat Asal Islaam Ka Naam Hai Aur Salfi Duniya Walo Par Asal Islaam Ko Paish Karte Hai Us Wajah Se Manhaj E Salaf Par Chalne Walo Ko Na Sirf Baatil Deeno Ki Taraf Se Khatraat Aur Mushkilaat Aur Mukhtalif Qisam Ke Challenge Ka Samna Hai Balke Islaam Ka Libadah Odhe Mukhtalif Masaalik Me Bate Musalmaano Se Bhi Hai.
Sateezah Kaar Raha Hai Azal Se Ta Amrooz
Chiraag Mustafawah Se Sharaare Bu Lehbi.
Allaama Iqbaal Ne Nabvi Mashion Se Mutasadim Har Daur Ke Bulehbi Jamaat Ki Taraf Isharah Kar Ke Haq Bayani Se Kaam Liya Hai Aur Is Haqeeqat Par Har Daur Ki Tajrubaati Aur Mushahedaati Taarikh Been Saboot Hai Jise Is Taarikhi Sachchaai Se Inkaar Se Woh Ta'ssub Ki Chashma Utaar Kar Apne Hi Daur Ka Khuli Aankho Se Mushahida Kar Le.
Jo Islaam Ke Dushman Hai Woh To Islaam Dushmani Nibhaen Ge Magar Hairat Islaami Libadah Odhe Apne Bhaiyo Par Hai Jinhone Salafiyo Ko Badnaam Karne,Unhe Maali Aur Jismaani Taklif Pohnchane Aur Kuffar Ke Liye Un Musalamno Ke Khilaaf Raah Hamwaar Karne Me Koi Kasar Nahi Chhodi Salafiyo Ko Angrez Ki Paidawaar Qaraar Diya Jata Hai Unko Intiha Pasand Aur Dehshat Garad Jamat Ke Taur Par Gair Muslimo Me Mutaaruf Kiya Jata Hai. Nabi Ke Gustaakh, Fazaail E Sahaba Ke Munkar,Auliya Ki Shaan Ghataane Wala Aur Aimma Kiraam Ka Ahtaraam Na Karne Wala Keh Kar Aam Musalmaano Me Nafrat Paida Ki Jati Hai. Quraan Aur Hadees Ke Mani Aur Mafaaheem Badal Badal Kar Salafiyo Ko Deen Me New Firqa Batlaya Jata Hai Aur Un Salafiyo Ki Kitaabe Padhne Unse Talluqaat Istiwaar Karne Yaha Tak Ke Mamlaat Karne Se Bhi Man'a Kiya Jata Hai Wahabi Aur Gair Muqallid Ka Tana Gaali Ke Taur Par Diya Jata Hai. Khair Jo Chahe Aap Ka Husan Ka Karishma Saaz Kare.
Salfiyat Kya Hai Upar Waazeh Kar Diya Gaya Aur Ab Is Salfiyat Ke Pairokaar Kon Hai,Unki Sifaat Kya Hai Quraan Aur Hadees Ki Roshni Me Dekhte Hai Taaki Awaam Par Haq Waazeh Ho Jaae Toliyo Me Bate Khawaas Ko Haqeeqat Ka Pata Hai Magar Woh Apni Awaam Par Na Haq Paish Karte Hai Aur Na Hi Haq Zaahir Hone Dete. Uski Khaas Wajah Yah Hai Ke Jab Kisi Ko Maloom Ho Jata Hai Ke Salfiyat Hi Haq Ki Dawat Hai Aur Use Sirf Allaah Aur Uske Rasool Ki Pairvi Ka Hi Hukam Hua Hai To Fir Woh Taqleedi Aur Fuqhi Mazaahib Se Aazaad Ho Kar Us Salafi Tariqah Ko Ikhtiyaar Kar Leta Hai.
Pehle Quraan Se Salafiyo Ke Chand Awsaaf Bayan Karta Hu.
(1) Sifat: Woh Allaah Aur Uske Rasool Ki Pairwi Karne Wale Hai:
Allaah Ne Apni Kitaab Me Baishtar Maqaamaat Par Apni Aur Apne Rasool Ki Pairwi Ka Hukam Diya Hai Allaah Ka Farmaan Hai:
أطيعوا الله والرسول لعلكم ترحمون.(آل عمران:132)
Tarjumah:Aur Allaah Aur Uske Rasool Ki Farmabardaari Karo Taaki Tum Par Raham Kiya Jaae.
Allaah Ka Farmaan Hai:
فليحذر الذين يخالفون عن أمره ان تصيبهم فتنة اؤ يصيبهم عذاب اليم.(النور:63)
Tarjumah:Suno! Jo Log Hukme Rasool SAV Ki Mukhalifat Karte Hai Unhe Darna Chahiye Ke Un Par Koi Zabardast Aafat Na Aa Padhe Ya Unhe Koi Dukh Ki Maar Na Padhe.
Allaah Ka Farmaan Hai:
يا أيها الذين آمنوا أطيعوا الله ورسوله ولا تولوا عنه وانتم تسمعون.(الانفال:20)
Tarjumah: Ay Imaan Walo Allaah Ka Aur Uske Rasool Ka Kehna Mano Aur Us Se Roogardaani Na Karo Halanki Tum Sun Rahe Ho.
Allaah Ka Farmaan Hai:
وما آتاكم الرسول فخذوه وما نهاكم عنه فانتهوا.(الحشر:7)
Tarjumah: Aur Tumhe Jo Kuch Rasool De,Le Lo Aur Jis Se Roke Ruk Jao.
In Aayat Ki Roshni Me Wahi Musalmaan Haq Par Hai Jo Allaah Aur Uske Rasool Ki Pairwi Karte Hai Unki Pairwi Ke Bagair Koi Amal Maqbool Nahi Hoga Aur Hame Yah Kehne Me Koi Jhijhak Nahi Ke Allaah Aur Uske Rasool Ki Pairwi Me Sachche Aur Pakke Salafi Hai.
(2) Sifat: Muhammad SAV Ko Hi Apna Imaam Aur Paishwa Mante Hai. Allaah Ka Farmaan Hai:
لقد كان لكم في رسول الله اسوة حسنة.(الأحزاب:21)
Tarjumah:Beshak Tumhare Liye Rasool SAV Ki Zindagi Me Behtareen Namuna Hai.
Kaainaat Me Sab Se Afzal Hasti Muhammad SAV Ki Hai Salafi Na Sirf Iska Aqeeda Rakhte Hai Balke Allaah Ke Mazkoorah Farmaan Ke Mutaabiq Apna Imaam E Aazam Bhi Muhammad SAV Ko Hi Mante Hai Aur Aap Ki Seerat E Taiyibah Ke Mutabiq Apni Zindagi Guzarte Hai Jab Ke Slaafi Ke Alawah Musalmaano Ke Tamaam Jamaat Muhammad SAV Ko Chhod Kar Kisi Aur Ko Apna Apna Imaam Mante Hai Aur Apne Man Maane Imaam Ki Taqleed Ko Raahe Najaat Qaraar Dete Hai.
(3) Sifat: Rasool SAV Ki Pairwi Karne Me Salaf Ke Tariqah Par Chalne Wale Hai Allaah Ka Farmaan Hai:
والسابقون الأولون من المهاجرين والأنصار والذين اتبعوهم بإحسان رضي الله عنهم ورضوا عنه وأعد لهم جنات تجري تحتها الأنهار خالدين فيها ابدا ذللك الفوز العظيم.(التوبه:100)
Tarjumah:Jin Logo Ne Sabqat Ki(Yani Sab Se Pehle)Imaan Laae Muhajereen Me Se Bhi Aur Ansaar Me Se Bhi Aur Jinhone Bataur Ahsan Unki Pairwi Ki Allaah Unse Raazi Hai Aur Woh Allaah Se Raazi Hai Aur Usne Unke Liye Baagaat Taiyyar Kiye Hai Jin Ke Niche Nehre Beh Rahi Hai Aur Woh Hamesha Unme Rahen Ge Yahi Badi Kaamiyabi Hai.
Yah Imriyaazi Sifat Sirf Salafiyo Ki Hai Ke Woh Pairvi Nabi Me Sahaba Kiraam Ke Naqsha E Qadam Par Chalte Hai.
(4) Sifat: Deen E Haq Ki Kaamil Taur Par Daawat Dene Wali Jamaat Hai.
Allaah Ka Farmaan Hai:
وممن خلقنا امة يهدون بالحق وبه يعدلون.(الاعراف:181)
Tarjumah:Hamari Makhlooq Me Ek Aysi Jamaat Bhi Hai Jo Deen E Haq Ki Rehnumaai Karti Hai Aur Usi Ke Zariya Insaaf Karti Hai.
Allaah Ne Is Aayat Ke Zariya Batla Diya Ke Deen E Muhammadi Ki Kama Haqqahu Tableeg Karne Wali Ek Jamaat Hamesha Qaaim Rahe Gi Aur Woh Salafiyo Ki Jamaat Hai. Mukhtalif Jamaat Me Bate Musalmano Ke Paas Bhi Tableeg Hai Magar Apne Apne Buzurgo Aur Imaamo Ki. Duniya Is Baat Par Shaahid Ke Mimbar Aur Mehraab Se Le Kar Ijtimaa'aat Aur Conference Tak Salafi Hazaraat Sirf قال اللہ Aur قال الرسول Ki Dawat Paish Karte Hai.
(5) Sifat: Haq Parsto Ki Tadaad Kam Hoti Hai Allaah Ka Farmaan Hai:
وان تطع أكثر من في الأرض يضلوك عن سبيل الله ان يتبعون إلا الظن وان هم إلا يخرصون.(الانعام:116)
Tarjumah:Aur Duniya Me Ziyadah Log Ayse Hai Ke Aap Unka Kehna Manne Lage To Woh Aap Ko Allaah Ki Raah Se Be Raah Kar Den Woh Sirf Be Asal Khayalaat Par Chalte Hai Aur Bilkul Qiyaasi Bate Karte Hai. Is Mani Ki Kai Aayat Hai Magar Ek Hi Aayat Se Hame Bakhubi Maloom Ho Jata Hai Ke Sidhe Raste Par Chalne Walo Ki Kasrat Nahi Hoti Balke Kami Hoti Hai Isi Liye Ham Salafiyo Ki Tadaad Duniya Me Thodi He Aur Raae Aur Qayaas Par Chalne Walo Ki Kasrat Hai.
(6) Sifat: Ikhtilaaf Ke Waqt Kitabullaah Aur Sunnat E Rasool Ki Taraf Lautne Wale Hai,Allaah Ka Farmaan Hai:
يا ايها الذين امنوا أطيعوا الله وأطيعوا الرسول وأولي الأمر منكم فإن تنازعتم في شيء فردوه إلى الله والرسول ان كنتم تؤمنون بالله واليوم الآخر ذلك خير واحسن تاويلا.(النساء: 59)
Tarjumah: Ay Imaan Walo Farmabardari Karo Allaah Ki Aur Farmabardaari Karo Rasool Ki Aur Tum Me Se Ikhtiyaar Walo Ki Fir Agar Kisi Chiz Me Ikhtilaaf Karo To Use Lautaao Allaah Ki Taraf Aur Rasool SAV Ki Taraf Agar Tumhe Allaah Par Aur Qayamat Ke Din Par Imaan Hai Yah Bahut Behtar Hai Aur Ba Atibaar Anjaam Ke Bahut Achcha Hai.
Allaah Ne Moamino Ko Ikhtilaaf Ke Waqt Apni Taraf Aur Apne Rasool Ki Taraf Lautne Ka Hukam Diya Hai Jab Ham Is Sifat Ko Musalmano Me Talash Karte Hai To Na Hanfi Milte Hai Na Shafai Me,Na Maliki Me,Aur Na Hi Hambali Me Agar Kahi Yah Sifat Milti Hai To Salfiyo Me Milti Hai.
(7) Sifat: Ittifaaq Aur Ittihaad Ki Dawat Dene Wale Hai,Allaah Ka Farmaan Hai:
واعتصموا بحبل الله جميعا ولا تفرقوا.(آل عمران:103)
Tarjumah: Aur Tum Sab Log Mil Kar Allaah Ki Rassi Ko Mazbuti Se Pakad Lo Aur Tukde Tukde Mat Ho Jaao Salafiyo Ne Hamesha Allaah Aur Uske Rasool Ki Bato Ki Taraf Logo Ko Bulaya Hai Aur Yahi Ittihaad Hai Jo Kitaab Aur Sunnat Ke Alawah Aqwaale Rijaal Aur Malfuzaat E Akaabereen Ki Dawat De Woh Sarapa Ikhtilaaf Aur Deen Se Doori Hai Balke Deen Me Firqa Bandi Karna Hai Aur Allaah Ne Is Aayat Me Firqa Bandi Se Man'a Farmaya Hai.
Quraan Me Aur Bhi Bahut Se Sifaat Hai Jin Ka Zikar Lamba Ki Wajah Se Nahi Kar Pa Raha Hu Samjhne Walo Ke Liye Itne Dalaail Kaafi Hai Ab Ahaadees Ki Roshni Me Chand Sifaat Par Gaur Karte Hai.
Nabi SAV Ne 3 Zamaano Me Khair Aur Bhalaai Ki Shahaadat Di Hai Isi Sabab In Zamaano Ke Nek Logo Ko Salaf E Saaleheen Kaha Jata Hai Farmaan E Nabvi Hai:
خير أمتي القرن الذين يلوني ثم الذين يلونهم ثم الذين يلونهم.(صحيح مسلم:2532)
Tarjumah:Sab Se Behtar Zamana Mera Zamana Hai Fir Woh Log Jo Unse Qareeb Honge Fir Woh Log Jo Unse Qareeb Honge.
Jo Log Nabi SAV Ki Pairwi Salaf E Saaleheen Ke Tariqah Par Karte Hai Unhe Salafi Kaha Jata Hai Aur Manhaj E Salaf Ikhtiyaar Karne Ka Hukam Quraan Se Bhi Hai Ummat E Muslima Ke 73 Firqo Me Batne Wali Hadees Me Najaat Paane Wali Jamaat Ki Pehchaan Rasool SAV Ne Batlaai Hai:
ما انا عليه وأصحابي.(صحيح الترمذي:2641)
Tarjumah:Yani Yah Woh Log Honge Jo Mere Aur Mere Sahaba Ke Naqsh E Qadam Par Hon Ge.
Manhaj E Salaf Par Chalne Wali Jamaat Ki Ek Azeem Pehchaan Ka Zikar Karte Hue Nabi SAV Ne Farmaya:
لا تزال طائفة من أمتي بامر الله لا يضرهم من خذلهم أو خالفهم حتى يأتي أمر الله وهم ظاهرون على الناس.(صحيح مسلم:1037)
Tarjumah: Meri Ummat Me Hamesha Ek Giroh Haq Par Qaaim Rahe Ga Jo Koi Unhe Nuqsaan Pohnchana Chahe Ga Unhe Nuqsaan Nahi Pohncha Sake Ga Yaha Tak Ke Allaah Ka Hukam Aa Jaae Ga Aur Woh Usi Tarah Qaaim Rahe Ga.
Jab Bhi Salafiyo Par Sitam Dhaae Jaate Hai Unki Mukhalifat Ki Jati Hai Unhe Dehshat Gard Kaha Jata Hai Bure Alqaab Se Pukara Jata Hai To Yahi Qimati Farmaan Muhammadi Muvahedeen Ko Tassali Dilati Hai Ke Ghabraao Nahi Yah Tumhare Hi Shaayaan E Shaan Hai Jis Ki Bashaarat Ba Zubaan Risalat Di Gai Hai Yah Jamaat Ikhtilaaf Ke Waqt Me Sunnat Ko Thamne Wale Aur DEEN Me Har Qisam Ki Bid'at Aur Khuraafaat Se Apna Daman Bachane Wali Hai. Nabi SAV Ka Farmaan Hai:
اوصيكم بتقوى الله والسمع والطاعة وان عبدا حبشيا فإنه من يعش منكم بعدي فسيرى اختلافا كثيرا فعليكم بسنتي وسنة الخلفاء المهديين الراشدين تمسكوا بها وعضوا عليها بالنواجذ واياكم ومحدثات الأمور فإن كل محدثة بدعة وكل بدعة ضلالة.(صحيح ابي داؤد:4607)
Tarjumah:Me Tumhe Wasiyat Karta Hu Ke Allaah Ka Taqwah Ikhtiyaar Kiye Rehna Aur Apne Hukkaam Ke Ahkaam Sunna Aur Manna Khawah Koi Habshi Gulaam Hu Kuy Na Ho Bilashuba Tum Me Se Jo Mere Baad Zinda Raha Woh Bahut Ikhtilaaf Dekhe Ga Chunacha In Haalat Me Meri Sunnat Aur Mere Khulfa Ki Sunnat Apnaae Rakhna Khulfa Jo Ashaab Rushad Aur Hidaayat Hai Sunnat Ko Khub Mazbooti Se Thamna Balke Dadho Se Pakde Rehna New New Bid'at Aur Ikhtira'at Se Apne Aap Ko Bachaae Rakhna Bilashuba Har New Baat Bidaat Hai Aur Har Bid'at Gumraahi Hai.
Chiraag Le Kar Talash Kare Aur Musalmano Ka Haal Dekhe To Aksar Firqo Me Bid'at Ke Anwa Aur Aqsaam Paae Jate Hai Aur Salfiyat Hi Ek Aysa Khaalis Muhamadi Tariqah Hai Jis Me Bid'at Ki Qatai Koi Gunjaish Nahi Hai Gurba Ki Nishani Bhi Salafiyo Me Hi Paai Jati Hai. Farmaan E Nabvi Hai:
بدأ الإسلام غريبا وسيعود كما بدأ غريبا فطوبى للغرباء.(صحيح مسلم:145)
Tarjumah:Islaam Gurbat Aur Ajnabiyat Ki Haalat Me Shuru Hua Aur Anqareeb Isi Ajnabiyat Aur Gurbat Ki Taraf Laut Aae Ga To Gurba Ke Liye Khushkhabri Hai.
Ek Dusri Rivayat Me Gurba Ki Wazaahat Baae Alfaaz Aai Hai Nabi SAV Farmate Hai:
طوبى للغرباء اناس صالحون في اناس سوء كثير من يعصيهم أكثر ممن يطيعهم.(صحيح الجامع:3921)
Tarjumah:Ajnabiyo Ke Liye Khushkhabri Ho Yah Kuch Nek Log Honge Jin Ke Atraaf Bure Logo Ki Ek Badi Tadaad Hogi Unki Baat Ko Thukraane Dene Wale Qabool Karne Walo Se Bahut Ziyadah Honge.
Aksariyat Haq Par Hone Ka Dawa Karne Walo Ke Liye Isme Ibrat Hai Aksariyat Bilkul Meyaar Nahi Hai Balke Bahut Sare Nusoos Se Maloom Ho Gaya Ke Haq Parasat Kam Hote Hai Aur Wahi Nijaat Paane Wale Hai Ek Aakhri Sifat Zikar Kar Ke Usi Par Iktifa Karunga.
وعن مالك بن أنس مرسلا قال قال رسول الله صلى الله عليه وسلم تركت فيكم أمرين لن تضلوا ما تمسكتم بهما كتاب الله وسنة رسوله.(رواه مالك في الموطأ)
Tarjumah: Malik Bin Anas RA Mursal Rivayat Bayan Karte Hai Ke Rasool SAV Ne Farmaya:Me Tum Me 2 Chize Chode Ja Raha Hu Pas Jab Tak Tum Un Dono Par Amal Karte Raho Ge To Kabhi Gumraah Nahi Honge(Yani)Allaah Ki Kitaab Aur Uske Rasool Ki Sunnat.
Is Hadees Ko Shaikh Albaani RH Ne Hasan Kaha Hai.(Takhreej Mishkaatul Masaabih:184)
Rasool SAV Ne Najaat Paane Wali Aur Har Daur Me Maujood Rehne Wali Jamaat Ki Nishani Yah Batalaai Ke Woh Kitaab Aur Sunnat Ko Thamne Wali Hogi Aur Jo Jamaat Unhe Chod De Barbaadi Uska Muqaddar Ban Jati Hai Kaamil Taur Par Kitaab Aur Sunnat Ko Thamne Ki Sifat Bhi Siwaae Salaf Aur Salafi Ke Aur Kahi Maujood Nahi.
Mazkoorah Bala Nusoos Kitaab Aur Sunnat Ki Roshni Me Maloom Hota Ke Yah Awsaaf Salaf Saaleheen Ke Hai Aur Salaf Ki Pairwi Karne Wale Alfaaz Deegar Salaf Ke Yah Awsaaf Kaamil Taur Par Sirf Salafiyo Me Maujood Hai Unka Ek Dusra Mashhoor Naam Ahlul Hadees Bhi Hai.
Koi Maane Ya Na Maane Magar Mera Yah Manna Hai Ke Agar Koi Jamaat Deen Islaam Ke Liye Mukhlis Hai Woh Quraan Aur Hadees Par Chalne Ka Dawa Karti Hai Aur Woh Apne Dawa Me Sachchi Aur Pakki Hai To Us Jamaat Ko Bhi Salafi Ahlul Hadees Aur Muhammadi Keh Sakte Hai Magar Kiya Aap Ko Maloom Hai Ke Ahle Taqleed Aur Khaas Maslak Ki Taqleed Karne Wala Khood Ko Muhammad SAV Ki Taraf,Sahaba Ki Taraf Aur Muhaddeseen Ki Taraf Nisbat Kar Ke Muhammadi Salafi Aur Ahlul Hadees Kuy Nahi Kehlwaate?Kuy Ke Woh Quraan Aur Hadees Ki Ta'leemaat Se Door Hai Bafarz E Mahaal Woh Dawah Bhi Kare Ke Ham Quraan Aur Hadees Ke Manne Wale Hai To Woh Apne Dawa Me Jhoothe Hai Sabhi Jante Hai Ke Dawa Bagair Daleel Ke Baatil Hai.
Aakhri Baat Par Dhiyaan Dene Ki Zaroorat Hai Woh Yah Ke Hamare Liye Salafi Ya Ahlul Hadees Ki Nisbat Zaroori Nahi Thi Allaah Ne Hamara Naam Musalmaan Rakha Hai Yahi Naam Hamare Liye Kaafi Hai Magar Ummat E Muslima Me Fairqa Bandi Ke Sabab Ta'ruf Ke Taur Par Khood Ko Khawaarij,Rawaafiz Qadariya,Marajiya,Jabariya,Jehmiya Aur Motazila Wagairah Se Alag Karne Ke Liye Uski Ashad Zaroorat Padh Gai Sath Hi Yah Baat Bhi Janna Zaroori Hai Ke Salaf Saaleheen Ki Iqtida Ka Matlab Yah Hai Ke Allaah Aur Uske Rasool Ki Pairvi Karne Me Kitaab Aur Sunnat Ke Nusoos(Aqeedah Aur Sulook Ibaadaat Aur Maamlaat)Ko Jis Tarah Salaf Ne Samjha Hai Usi Tarah Samjhege Yani Deen Samjhne Aur Us Par Amal Karne Ke Liye Salaf Hamare Liye Mashale Raah Hai.
 

Similar threads


Top