SOCIAL MEDIA KE DAUR ME MUSLIM AURTON KI MA'AASHI JIDDO JEHAD


SOCIAL MEDIA KE DAUR ME MUSLIM AURTON KI MA'AASHI JIDDO JEHAD
FAZILATUSH SHAIKH MAQBOOL AHMAD SALAFI
JEDDAH DAWAH CENTER, HAIYYUS SALAMAH. SAUDI ARABIA
Romanised: Khadija Muhammadi


Islaam Ek Fitri Deen Hai Jo Insaan Ke Tamam Fitri Taqaazo Ko Min Wa An Pura Karta Hai. Bhaag Dorh,Jaddo Jahad, Intizaam Aur Insiraam Aur Mehnat Aur Mazdoori Ek Mard Ke Shaayan E Shaan Thi To Islaam Ne Intizaami Umoor Se Le Kar Kasab E Ma'aash(Rozi Kamane) Ki Zimme Daari Mardo Ke Supurd Ki Taaki Aurto Ko Ghar Se Na Nikalna Parhe Aur Unko Gharelu Zimma Daari Deegar Usi Maqaam Ko Laazim Pakadne Ka Hukm Diya.
Is Tamheed Ko Zahan Me Rakhte Hue Zara Aaj Ke Muslim Muashre Ka Jaiza Le To Maloom Hoga Ke Deegar Aqwaam Ki Tarah Muslim Aurte Bhi Har Maidaan Me Mardo Ke Shaana Bashaana Khadi Nazar Aati Hai. Woh Kon Sa Kaam Reh Gaya Hai Jise Ek Aurat Anjaam Nahi De Rahi Hai. Qatae Nazar Is Se Ke Aurat Bhi Har Kaam Kar Sakti Hai Deeni Nuqta E Nazar Se Dekhe Ke Kiya Islaam Aurat Ko Har Kaam Karne Ki Chhut Deta Hai, Aurat Ko Har Maidaan Me Nikal Kar Mardo Ke Sath Kaam Karna Chaahiye? Iska Jawaab Yah Hai Ke Nahi. Mardo Ke Shaana Bashaana Chalne Aur Har Maidaan Me Aurto Ke Kaam Kaaj Ki Wajah Se Zamaane Me Jo Fitne Aur Buraaiya Aam Hai Hamaari Nazro Se Chhupi Nahi Hai Is Liye Muslim Khawaateen Ko Chaahiye Ke Apni Zimmadari Aur Apni Hudood Ko Samjhe Aur Usi Had Me Rehte Hue Apni Zimmadaariyo Ko Nibhaae.
Kasbe Ma'aash Ke Talluq Se Muslim Khawateen Ab Apne Shoharo Par Munhasir Nahi Rehna Chaahti Hai, Balke Magribi Tehzeeb Me Jis Tarah Aazaad Ho Kar Aurto Ko Kamaate Hue Dekha Ja Raha Hai Iski Naqqali Mashriqi Mumalik Ki Muslim Aurte Bhi Kar Rahi Hai Jo Behad Afsosnaak Aur Islaam Mukhaalif Hai. Yahi Wajah Hai Ke Aaj Kirdaar Wale Musalman Nahi,Sirf Naam Wale Musalmaan Bante Ja Rahe Hai Aur Gairo Ki Mushabihat Ikhtiyaar Karne Me Koi Harj Mehsoos Nahi Kar Rahe Hai,Dar Asal Is Tarah Ke Khule Maahol Ne Musalmaano Me Ilhaad Aur Irtidaad Ka Darwaza Khola Aur Aaj Beshumaar Ladkiya Gairo Ki God Me Jaa Bethi Hai,Roz Baroz Yah Silsila Barhta Ja Raha Hai Aur Jo Kabhi Islaam Ke Paasbaan Aur Muhaafiz The Wahi Islaam Par Angusht Numaai Kar Ke Apno Aur Gairo Ke Liye Fisq Aur Fujoor Aur Kufr Aur Zalaalat Ka Sabab Ban Rahe Hai. Aliyaazu Billaah.
Mandarja Bala Pas E Manzar Me Me Kehna Chaahta Hu Ke Muslim Aurto Ko Hosh Ka Naakhoon Lena Aur Aazaadi Ke Naam Par Izzat Aur Aabroo Aur Deen Aur Millat Ka Nuqsaan Nahi Karna Chaahiye, Is Silsila Me Khawateen Ke Sarparast Asal Zimma Daar Hai, Unhe Apne Ghar Ki Bahan,Beti,Biwi Aur Bahu Ko Fitne Ki Aamajgaaho Se Door Rakhna Chaahiye Khususan Kasbe Ma'aash Ke Liye BilaZaroorat Ghar Se Baahar Nahi Jaane Dena Chaahiye.
Bilashuba Samaaj Me Aysi Bhi Khawateen Hai Jin Ko Mazdoori Karne Ki Zaroorat Hoti Hai Kuy Ke Koi Unka Kafeel Nahi Hota Hai Aysi Khawateen Sharai Hudood Me Rehte Hue Ghar Me Ya Ghar Se Bahar Rehte Hue Mazdoori Kar Sakti Hai. Woh Mazdoori Karte Hue Har Waqt Yah Ahsaas Rakhe Ke Woh Musalmaan Hai Taaki Use Kaise Aur Kis Tarah Mazdoori Karna Hai Yah Paas Aur Lihaaz Rahe. Isi Tarah Woh Khawateen Jin Ko Nokri Ki Zaroorat Nahi Hai Fir Bhi Nokri Karna Chaahti Hai To Nokri Karna Aurat Ke Liye Jaiz Hai Taaham Haalaat Ka Dirasa Kare Ke Jo Nokri Karna Chaahti Hai Woh Islaami Atibaar Se Jaiz Hai Ya Nahi, Ya Us Nokri Ki Wajah Se Kahi Woh Fitna Me Mubtala To Nahi Hogi Ya Kya Sharai Hudood Ki Paabandi Karte Hue Woh Nokri Kar Sakti Hai? In Saari Baato Ka Andaaza Lagaae Agar Aurat Ko Halaal Nokri Milti Hai Aur Uske Karne Me Sharai Taur Par Koi Rukaawat Nahi Hai Aur Usme Aurat Ke Liye Deeni Atibaar Se Koi Nuqsaan Nahi Hai To Aysi Nokri Karne Me Harj Nahi Hai.
Ab Chalte Hai Mazmoon Ke Asal Hissa Social Media Ke Daur Me "Work Form Horm" (Ghar Bethe Kaam) Se Jud Kar Kamaane Wali Muslim Khawateen Ki Taraf. Chunki Khawateen Ghar Me Hoti Hai Aur Bahut Si Khawaateen Ko Ghareloo Kaam Karne Ke Baad Kaafi Waqt Mil Jata Hai Ya Ghareloo Kaam Se Fursat Na Bhi Milti Ho To Bhi Paisa Kamana Chaahti Hai Is Baabat 2 Qism Ki Khawateen Paai Jaati Hai.
Pehli Qism: Ek Qism Ki Khawaateen Woh Hai Jo Social Media Maslan Facebook, YouTube, Instagram Aur Tiktok Wagairah Par Naach Gaane, Fahash Videos Aur Jinsi Masaail Ki Videos Bana Kar Nashr Karti Hai Aur Awaam Ki Views Ki Badolat Paisa Kamane Ka Sasta Mauqah Hath Aa Jata Hai. Yaad Rakhe, Aap Is Tarah Se Paise To Kama Lengi Magar Ek Ek Harkat Ka Allah Ke Yaha Aap Ko Hisaab Dena Hoga Aur Yahi Nahi Balke Jitne Log Aur Jab Tak Aap Ki Post Aur Videos Dekhte Aur Share Karte Rahenge Un Sab Ka Gunaah Aap Ke Sar Jaae Ga.
Kuch Muslim Ladkiya Jin Me Parhi Likhi Khawateen Bhi Shaamil Hai Woh Samjhti Hai Ke Unki Videos Me Koi Harj Nahi Hai Aur Logo Ki Dekha Dekhi Qism Qism Ki Videos Bana Kar Social Media Par Mashhoor Hone Aur Paise Kamaane Ki Garaz Se Nashr Karti Hai Aap Bhi In Kaamo Se Ruk Jaae.
Chaahe Poetry Ki Video,Khana Banane Ki Video,Tibbi Nuskhe Ki Video Ho, Gharelu Kaam Kaaj Ki Video Ho,Jinsi Masaail Ki Video Ho Parhne Parhaane Ki Video Ho,Yah Saari Videos Aap Ke Liye Tabaahi Ka Sabab Hai. Yaad Rakhe Ke Ek Aurat Sarapa Fitne Ka Baais Hai,Aap Video Me Apna Haath Dikhaate Hai Ya Face Dikhaate Hai Ya Pura Badan Dikhaate Hai Ya Bagair Jism Ke Sirf Aawaaz Record Karte Hai Yah Sab Fitne Ka Saamaan Hai. Ek Aurat Ko Bagair Zaroorat Ke Ajnabi Mardo Se Baat Karne Ki Ijaazat Nahi Hai Fir Purkashish Andaaz Me Video's Bana Kar Social Plate Form Par Jaha Puri Duniya Ke Log Dekh Aur Sun Sakte Hai Nashr Karne Ki Kaise Ijaazat Hogi? Ay Kaash Meri Is Baat Se Kisi Bahan Ko Nasihat Mil Jaae.
Dusri Qism: Social Media Ke Tawassut Se Kamaane Wali Ek Qism Ki Woh Khawaateen Hai Jin Ko Videos Banane Ki Zaroorat Nahi Parhti, Na Us Me Aawaaz Record Karne Ki Zaroorat Hoti Hai Balke Sirf Kuch Dekhne Ya Paisa Lagaane Ya Assignment Banaane Jaise Kaam Karne Hote Hai.
Ghar Bethe Khawateen Bilkhusus Zaroorat Mand Khawateen Is Dusri Qism Se Faidah Utha Kar Paisa Kama Sakti Hai Magar Is Qism Ki Noiyat Ke Kaam Ke Liye Bahut Ahtiyaat Ki Zaroorat Hai Aap Is Tarz Ka Koi Kaam Karna Chahti Hai To Pehle Is Kaam Ki Mukammal Tafseel Jaane Fir Iske Bare Me Ulma Se Rehnumaai Haasil Kare Aur Jab Aap Ko Maloom Ho Jaae Ke Yah Kaam Islaami Atibaar Se Karna Jaiz Hai Fir Is Kaam Ko Karna Shuru Kare.
Is Silsila Me Kuch Mufeed Baato Se Aap Ko Aagaah Karna Munaasib Samjhta Hu.
(1) Video Dekhne Wala Kaam:
Bahut Saare Kaam Ayse Milenge Jin Me Aap Se Kaha Jaae Ga Ke Aap Ko Kuch Nahi Karna Hai, Bas Videos Dekhna Hai, Woh Darasal Mukhtalif Qism Ke Parchaar Hote Hai, In Videos Ko Dekhe, Like Kare Aur Dusro Ko Share Bhi Kare Sath Hi Is Channel Ko Subscribe Bhi Karna Hota Hai. Is Qism Ke Kaam Se Judne Ke Liye Pehle Aap Se Ek Badi Raqam Wusool Ki Jati Hai.
Is Kaam Ke Bare Me Aap Ko Sahih Baat Bata Du Ke Aysa Koi Kaam Na Kare Jis Me Aap Ko Videos Dekhna Parhe, Like Karna Parhe Aur Share Karna Parhe Aur Subscribe Karna Parhe. Waise Bhi Yah Fuzool Aur Lagv Kaam Hai Mazeed Yah Ke Yah Videos Dar Asal Tijaarati Idaaro Ke Parchaar Hote Hai Aur Aap Nahi Jaante Hai Ke Kon Si Tijaarat Halaal Hai Aur Kon Si Haraam, Isi Tarah Unme Kon Farzi Tijaarat Hai Aur Kon Farebi Hai Ya Sood Aur Haraam Kaam Me Mulawwis Hai Pata Nahi Chale Ga, Nez Parchaar Me Kitni Gair Ikhlaaqi Aur Fahash Picture Mausiqi Aur Jaandaar Ki Pictures Hongi Aap Agar Un Videos Ko Dekhti Hai Like Karti Hai,Share Karti Hai Aur Channel Subscribe Karti Hai To Un Videos Se Mutalliq Gunaah Gaaho Ke Gunaah Me Aap Bhi Shareek Hoti Hai Balke Share Kar Ke Dusro Ko Bhi Gunaaho Ki Dawat Deti Hai Is Liye Videos Dekhne Wale Kaamo Se Door Rahe.
(2) Assignment Work: Aaj Kal Bahut Sari Khawateen Assignment Work Karti Hai, Isme Pehle Ek Badi Qeemat Ragistration Ke Naam Par Talab Ki Jaati Hai Fir Makhsoos Tadaad Me Member Ko Jodna Bhi Hota Hai Maslan 7 Member Ko Is Idaara Me Se Jodna Hoga Aur Fir Kuch Likhne Ka Kaam Diya Jata Hai, Isko Taiyyar Kar Ke Idaara Ko Dena Hai, Iske Badle Idarah Ma'mooli Paisa Deta Hai.
Aap Is Tarah Ka Koi Bhi Assignment Wala Kaam Na Kare Jis Me Aap Ko Pehle Moti Raqam Dena Parhe Aur 7 Ya 10 Afraad Ko Jodna Bhi Parhe. Aap Se Jo Raqam Ban Jati Hai Aap Ne Andaazah Lagaya Hai, Haqeeqat Yah Hai Ke Yah Idaarah Aap Ke Paise Se Kamata Hai Aur Usi Kamaai Se Thoda Aap Ko Deta Hai.
Aap Assignment Ka Sirf Wahi Kaam Kare Jis Me Koi Raqam Na Lagaani Parhe Aur Koi Member Add Na Karna Parhe Aur Woh Assignment Work Fi Nafsihi Halaal Bhi Ho, Agar Aysa Kaam Na Mile To Is Kaam Ko Chhod De.
(3) Khareed Aur Farokhat Ka Kaam: Bahut Saari Online Tijaarat Aur Online Shops Hai. Yah Tijaarti Idaare Logo Ko Mauqa Faraaham Karte Hai Ke Unse Jud Kar Kaam Kiya Jaae Yani Unke Saamaan Ko Farokhat Kare Ya Unke Samaan Ka Parchaar Kare. Is Qism Ki Tijaarat Me Haraam Aur Halaal Ki Mukhtalif Surte Ho Sakti Hai Is Liye Aap Jo Kaam Karna Chaahti Hai Pehle Iski Noiyat Jaane Fir Kisi Aalim Se Rehnumaai Le Kar Hi Shuru Karne Ya Na Karne Ka Faisla Le.
Buniyaadi Taur Par Yah Maloom Rahe Ke Haraam Chiz Ka Parchaar Karna Jaiz Nahi Hai Aur Halaal Chiz Ka Parchaar Bhi Galat Tariqe Se Yani Jhuth Bol Kar Ya Galat Sifat Bata Kar Bechna Jaiz Nahi Hai Lihaza Ayse Parchaar Wala Kaam Na Kare Jis Me Gair Sharai Pehlu Ho. Isi Tarah Urn In Khareed Aur Farokhat Me Ek Chiz Bechne Ke Baad Jab Tak Khareedaar Us Par Qabza Na Kar Le Dusre Se Bechna Jaiz Nahi Hai. Isi Tarah Yaad Rahe Ke Jab Aap Kisi Idaare Se Nahi Jude Hai Aur Logo Ko Is Idaare Ka Samaan Dikha Kar Bechte Hai To Log Samjhe Ke Aap In Chizo Ke Maalik Hai, Islaam Ki Roo Se Yah Amal Jaiz Nahi Hai. Nabi Sallallahu Alyhi Wasallam Ne Aysi Chiz Ko Bechne Se Mana Kiya Hai Jo Hamaari Milliyat Nahi Hai. Haa Kisi Idaare Se Jude Hai To Idaare Ka Wakeel Ban Kar Jis Qeemat Me Bechne Par Ittifaaq Hua Hai Bech Sakte Hai. Wakeel Ke Liye Faidah Lene Ki Do Surte Ho Sakti Hai. Ek Surat To Yah Hai Ke Maalik Kahe Mera Fala Samaan Itne Ka Hai, Is Me Tum Apna Faidah Rakh Kar Aage Becho, Mujhe Fala Samaan Ki Itni Qeemat Chaahiye Dusri Surat Yah Hai Ke Maalik Kahe Tu Mere Mutaiyyan Qeemat Par Saamaan Becho Me Tumhe Har Saamaan Par Itna Munafa Alag Se Dunga Yah Dono Surte Jaiz Hai.
(4) Zaari Apps Ya Blog And Web Ke Zariya Kamana: Bahut Si Khawateen Tecnology Ka Istimaal Jaanti Hai To Khud Ki Koi Application Bana Leti Hai Ya Web Ya Blog Bana Kar Edson Se Parchaar Le Kar Kamaati Hai Is Muamle Me Itna Kahunga Aur Aap Bhi Is Baat Jaante Hai Google Ke Zariya Aap Parchaar Lete Hai To Umooman Aap Ko Nahi Maloom Hoga Ke Jis Tijaarat Ke Bare Me Parchaar Hai Is Tijaarat Ki Kiya Haqeeqat Hai Isme Haraam Aur Halaal Ka Kya Pehlu Hai Balke Apni Aankho Se Is Parchaar Me Hi Mutaddid Khaamiya Aur Islaam Mukhaalif Umoor Ka Mushahida Karti Hongi Jaise Mausiqi, Jaandaar Ki Picture, Gair Sharai Tijaarat Ka Parchaar Aur Fahash Picture Wagairah Is Liye Google Se Parchaar Le Kar Kamaane Ki Kabhi Na Soche. Is Se Behtar Hai Mehnat Aur Mazdoori Kar Ke Kamaae Agar Aap Ko Ghareloo Atibaar Se Kamaane Ki Zaroorat Hai, Is Silsile Me Mazeed Maloomaat Ke Liye Mere Blog Par Mera Mazmoon "YouTube Ki Kamaai Par Nawjawaano Ki Fareftagi Aur Islaam" Se Mutalia Kare.
(5) Investment Palaan: Kamaai Karne Ke Bahut Sare Mawaaqe Investment Se Talluq Rakhte Hai. Mukhtalif Qism Ke Idaaro Me Paise Laga Kar Rozana Ya Monthly Ki Buniyaad Par Umooman Mutaiyyan Munafa Diya Jata Hai. Is Qism Se Mutalliq Jo Bhi Online Investment Idaare Hai Aap Aankh Band Kar Ke Isme Paisa Laga Kar Kamaai Karna Shuru Na Kare, Pehle Is Idaare Ki Mukammal Jaankari Haasil Kare Fir Un Saari Tafseel Ko Mustanad Aalim Se Bata Kar Rehnumaai Haasil Kare Taaki Aap Ka Paisa Halaal Jagah Invest Ho Aur Aap Ki Kamaai Halaal Ho. Bahut Sare Fraudi Idaare Hote Hai Jo Aap Se Paisa Le Kar Gaib Ho Jaaenge, Pata Bhi Nahi Chale Ga Aur Bahut Sare Idaare Haraam Tijaarat Ya Soodi Len Den Me Mulawwis Hote Hai Unse Kamaai Karna Jaiz Nahi Hai Aur Isi Tarah Bahut Sare Tijaarti Idaare Halaal Chizo Ki Tijaarat To Karte Hai Magar Len Den, Muamlaat,Tareeq Kaar Aur Munaafa Me Sharai Qabahate Hoti Hai Is Liye Kisi Bhi Investment Plan Se Judne Se Pehle Iske Baare Me Aagaahi Zaroori Hoti Hai Aur Aagaahi Ke Sath Is Idaare Me Raqam Lagana Shara'an Jaiz Hai Ke Nahi Yah Bhi Jaanna Zaroori Hai.
(6) Networking Market Se Kamaai Karna: Bahut Qism Ke Idaaro Me Paisa Kamaane Ka Ek Tareeqaj Member Saazi Hai. Pehle Aap Ek Makhsoos Raqam De Kar Isme Shaamil Hote Hai Fir Aap Ko Zaroori Taur Par Chand Membar Banane Hote Hai, Fir Judne Wale Woh Saare Bhi Apne Apne Liye Chanad Member Banate Hai Is Tarah Membaro Ka Ek Jaal Bante Jata Hai Isi Sabab Isko Networking Market Kaha Jata Hai Jaise India Me Westage Marketing Hai. Isi Tarah Ke Kisi Idaarah Se Jud Kar Kamaai Karna Jaiz Nahi Hai, Isme Muta'adid Qism Ki Sharai Khaamiya Hai, Unko Jaanne Ke Liye Mere Blog Par Network Marketing Ki Sharai Haisiyat Ka Mutalia Kare.
(7) Social Media Par Zaati Tijaarat: Bahut Si Khawateen Social Media Par Online Apni Tijaarat Bhi Karti Hai Jaise Kaodo Ki Aur Cosmetics Saamaano Ki. Agar Tijaarat Halaal Hai Yani Aap Halaal Chizo Ki Tijaarat Karte Hai Aur Tijaarat Ke Usool Bhi Jaiz Hai To Is Tarah Social Media Par Tijaarat Karne Me Harj Nahi Hai Taaham Itna Zaroor Yaad Rakhe Ke Aap Ek Aurat Hai, Aurat Fitne Ka Sabab Hai, Jaise Taise Apni Tijaarat Ka Parchaar Na Kare Jaise Taise Tamaam Logo Se Betakalluf Raabta Aur Baat Cheet Na Kare Aur Daulat Ke Husool Ke Liye Duniya Ki Dekha Dekhi Kuch Bhi Na Karte Jaae Balke Jo Bhi Kare Soch Samjh Kar Aur Islaami Hudood Me Kare.
Mene Yaha Par Sirf 7 Qism Ke Zaraae Aamadni Ka Zikr Kiya Hai Jabke Aaj Duniya Me Globalization Ki Wajah Se Hazaaro Zaraae Maishat Paae Jate Hai, Un Sab Ko Yaha Zikr Nahi Kiya Ja Sakta Hai,Hamara Asal Maqsood Woh Muslim Khawateen Hai Jo Gharo Me Faarigul Baal Hone Ki Wajah Se Aur Logo Ki Dekha Dekhi Kisi Bhi Tarah Se Paise Kamane Ki Dorh Me Lagi Hui Hai,Maqsad Hota Hai Paisa Aana Chaahiye, Chaahe Jis Tarah Se Ho. Yah Galat Soch Hai. Allah Ne Aap Par Kis Qadr Mehrbani Ki Hai, Isme Aap Ko Fikr E Maishat Se Aazaad Kiya Hai To Iska Galat Faidah Na Uthaae Balke Apni Fursat Ko Rabb Ki Taraf Se Ganimat Jaan Kar Deen Aur Imaan Ke Liye Mehnat Kare. Aap Waajibaat Ki Adaaegi (Jin Me Gharelu Aur Faraaiz Deen Dono Shaamil Hai) Ke Baad Deeni Kitaabo Ka Mutalia Kare, Jaiyyad Ulmaa Ke Ilmi Bayaanaat Se Mustafeed Ho,Khud Ko Ibaadat Aur Zikr Ke Liye Mutafarrig Kare Aur Apne Sath Dusro Ko Bhi Ilm Aur Amal Ki Taraf Raagib Karne Ki Jaddo Jahad Kare. Aaj Social Media Ki Badolat Aurto Me Bahut Be Raah Ravi Paai Jaati Hai, Unko Raahe Raast Ki Taraf Rehnumaai Ka Kaam Kare Aap Rozana Ek Ek Munazzam Schedule Bana Le Jis Me Ghareloo Kaam Kaaj Se Le Kar Ilm Aur Amal Aur Dawat Aur Tableeg Sare Umoor Darj Ho Aur Is Schedule Ke Mutaabiq Apne Shab O Roz Guzaare. Is Tarah Aap Ke Awqaat Bhi Umdagi Se Guzre Ge Aur Aakhirat Bhi Sanwarti Rahe Gi. Ham Sab Ko Khususan Aurto Ko Har Waqt Yah Hadees Dhiyaan Me Rehna Chaahiye. Nabi Sallallahu Alyhi Wasallam Ne Irshaad Farmaya: Qayamat Ke Din Kisi Bande Ke Dono Pair Nahi Hatenge Yaha Tak Ke Us Se Yah Na Puch Liya Jaae: Uski Umar Ke Bare Me Ke Use Kin Kaamo Me Khatam Kiya, Aur Uske Ilm Ke Baare Me Ke Us Par Kya Amal Kiya Aur Uske Maal Ke Baare Me Ke Use Kaha Se Kamaaya Aur Kaha Kharch Kiya, Aur Uske Jism Ke Bare Me Ke Use Kaha Khapaaya.(Sahih Tirmizi:2417)
Allah Ta'la Se Dua Karta Hu Ke Ummat Ki Behno Ko Deen Ki Sahih Samjh Ata Farma Aur Unke Ilm Ke Mutaabiq Amal Ki Taufeeq De. Aameen
 

Similar threads


Top