Kya Hai Happy New Year❓


Ibnatu Ali

Member
Kya Hai Happy New Year❓

Kuch logo ka sawal...

⬅"Tum log Narrow Minded Jahil log ho, jo New Year wishes dene ko bhi Bura samjhte ho ....

Aakhir q na dein Mubarakbad , Naya Saal jo shuru ho raha hai "?

➡Naya Sal kiska shuru horaha hai Muslim calender ka ya Yahud o Nasara ka?

khair kisi ka bhi ho magar Saal shuru hone k sath sath ek Saal Zindagi se kam bhi horaha hai?

⬅"Kia Farq padta Yaar Friends ( Ladke & Ladkiyan ) k sath New year Evening mein thoda enjoy kar liye Parties kar liye to "?.

➡Momin Behaya nahi hota q k Haya iman ka hissa hai....

Salim Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu Alaihi Wasallam ne ek shaksh ko suna wo apney bhai ko Haya ki naseehat kar raha tha to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya haya bhi imaan ka hissa hai
Sunan Ibn Majah Vol 1 # 58

Abu Hurairah radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Imaan ki 60 se kuch upar shaakhain hain aur Haya
( sharam) bhi Imaan ki ek shaakh hai.
Sahih Bukhari # 9

Kalma Padhne walon ki baatein......
⬅"Islam bahut simple hai isko itna Complicate mat banao".

➡Sahi kaha Islam bahut simple hai, q k ismein ya to Haraam hai ya Halaal , beech mein Munafiqat k siwa kuch nahi aata.

Aey Imaan walon islam mein sarey ke sarey (achchi tarh se) Dakhil ho jao aur Shaitan ke qadmo ki pairwi na karo kyunki wo tumhara khula dushman hai Aur phir agar tum khuli khuli nishaniyan (Ahkam-e-Roshan) aaney ke baad bhi fisal gaye to jaan lo ki Allah ghalib aur hikmat wala hai.
Surah Al-Baqara Aayat # 208-209

Ab jo kalma padhne wale imaan ki Ahmiyiat ko janta hai wo Zaani mahaul mein New Year celebration jaise Ghair Mazhabi Taqareeb se sakth parhez karega aur jo Badnaseeb Kalma padhne wala hokar bhi Iman ko tarjeeh na de woh sabko bolta rahega ......
Jaise isne koi bahut bada sawab ka kaam kar diya hai...

Happy New Year , Happy New Year❌❌❌

Rasoollallah Sallahu Alahi Wasalam ne irshad Farmaya"Us zaat ki Kasam jiske Kudrat mein Muhammad Sallahu alahi wasallam ki Jaan hai , Meri Ummat ka Ek Giroh Raat bhar Khane peene aur lahw o la'ib mein masroof rahega Jab Subha hogi to unki shaklein Bandaron aur Khinzeeron ki Shakl mein badal chuki hogi kyunki wo Sharab ko Halal samjhtey honge wa alaat Mausiqui bajatey honge aur Gane wali auratein bana rakhi hongi".
Masand Ahmed # 2799

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya:
Jis ne kisi qaum ki mushabehat ikhtiyaar ki woh unme se nahi.
Sunan Abu Dawud, Vol 4 # 4031
 

Similar threads


Top