HAME KYUN PAIDA KIYA GAYA HAI?


Ibnatu Ali

Member
Hame Kyun Paida Kiya Gaya Hai?

Allah Ne Insaano Ko Paida Kiya Aur Insaano Ko Wapas Usi Allah Paas Lautna Hai. Allah Ne Keh Diya Hai Ke Insaan Ko Ek Din Mar Ke Wapas Usi [Allah] Ke Taraf Lautna Hai. Ye Duniya Mehaz Ek Safar Hai. Allah Chaahte Hai Ke Insaan Uss Tarha Zindagi Guzaare Jaisa Ke Allah Ne Hukm Diya Hai Guzaarne Ka. Yehi Ibadat Ka Matlab Hai. Ibadat Maangti Hai Pukhta Farmabardaari, Khushoo Aur Mohabbat Allah Ki. Allah Ne Wada Kiya Hai Jannat Ka Unn Logo Ke Liye Jo Allah Ki Farmabardaari Kare Aur Usi Ek Allah Ki Ibadat Kare, Aur Hamesha Ke Liye Jahannnum Unn Logo Ke Liye Jo Nafarmaani Aur Rabb Ke Hukm Ko Thukraaye.

Allah Farmaate Hai :-
“Kya Tum Ye Khyaal Karte Ho Ke Humne Tumhe Bina Maqsad Ke Paida Kiya? Aur Ye Ke Tum Hamari Taraf Laut Kar Nahi Aaoge?”
[Surah Muminoon, Ayat 115]

“Imaan Aur Nek Amal Waale To Nemato Se Bhari Jannat Mein Honge”
[Qur’an, Surah Hajj Ayat 56]

“Jo Hamari Ayato [Hukmo] Ko Jhutlaaye Wo Jahannami Hai Aur Hamesha Jahannam Mein Hi Rahenge.”
[Qur’an, Surah Baqarah, Ayat 39]

Insaan Ki Zindagi Chaahe Wo Ghar Mein Ho, Kisaan Ho, Office Mein Ho, President Ho Ya Company Ka Maalik Ho, Uski Zindagi Waise Hi Basar Honi Chahiye, Usi Usoolo Ke Saath Jo Rabb Ne Bayaan Farmaya Hai:-

“Jo Shaqs Nek Amal Kare, Chaahe Mard Ho Ya Aurat, Lekin Imaan Waale Ho, To Hum Use Yakeenan Nihaayat Behtar Zindagi Ata Farmaayenge Aur Unke Behtar Amal Ka Behtar Badla Bhi Unhein Zarur Denge.”
[Qur’an, Surah An Nahl Ayat 97]

Insaan Ki Ye Zindagi To Mehaz Safar Hi Hai, Asal Zindagi To Aakhirat Ki Zindagi, Uss Zindagi Ke Baare Mein Allah Kehte Hai Ke Behtar Zindagi Ata Farmaayenge.

Rabb Ne Har Ek Cheez Bayaan Farmaa Di Hai Ke Kya Acha Hai Aur Kya Bura. Insaan Ke Mehdood [Limited] Zehan Ko Takleef Dene Ki Zarurat Nahi Ke Wo Khud Ache Aur Bure Ka Mafhoom Kare.

“Mumkin Hai Tum Kisi Cheez Ko Bura Samjho Halaanke Wo Tumhare Liye Behtar Hai Aur Ye Bhi Mumkin Hai Ke Tum Kisi Cheez Ko Bhali Samjho Halaanke Wo Tumhare Liye Buri Ho. Haqeeqi Ilm Allah Hi Ko Hai Tum Mehaz Bekhabar Ho.”
[Surah Baqarah Ayat 216]

“Aur Humne Tum Par Ye Kitaab Naazil Farmaayi Hai Jis Mein Har Cheez Bayaan Ki Hai, Aur Hidayat Aur Rehmat Aur Khushkhabri Hai Musalmaano Ke Liye.”
[Surah An Nahl Ayat 89]

“Rabb Ka Farmaan Hai Hai Ke Tum Allah Ke Siwa Kisi Bhi Ibadat Na Karo, Yahi Deen Durust Hai, Lekin Aksar Log Nahin Jaante.”
[Surah Yusuf, Ayat 40]

Allah Ne Saaf Saaf Bayaan Farmaa Diya Hai:-
“Jo Shaks Nek Kaam Karega Wo Apne Hi Faayde Ke Liye Karega, Aur Jo Bura Kaam Karega Uski Zimmedaari Usi Par Hai, Aur Tumhara Rabb Bando Par Zulm Karne Waala Nahin.”
[Qur’an, Surah Haa Meem Sajdah, Ayat 46]

Ye Na Soche Ke Hum Rabb Par Ehsan Karenge Nek Amal Kar Ke, Nek Amal To Humein Khud Hi Ke Liye Karna Hai.

“Aye Logo, Tum Sab Allah Ke Muhtaaj Ho, Allah Kisi Ka Muhtaaj Nahi.”
[Qur’an, Surah Faatir Ayat 15]

Yeh Uss Rabb Ka Haqq Hai Ke Sirf Usi Ki Hi Ibadat Ki Jaaye. Rasoolullah [Sallahu Alaihe Wasallam] Ne Ek Sahabi Se Pucha:-

“Aye Muaadh, Kya Tum Jaante Ho Ke Rabb Ka Bando Par Kya Haqq Hai Aur Bando Ka Rabb Par Kya Haqq Hai? [Muaadh Ne Kaha] Allah Aur Uske Rasool Behtaar Jaane. [Nabi Ne Farmaya] Rabb Ka Bando Par Ye Haq Hai Ke Ke Khaalis Uski Hi Ibadat Ki Jaaye, Uski Ibadat Mein Kisi Ko Bhi Shareek Na Kiya Jaaye Aur Bando Ka Rabb Par Ye Haq Hai Ke Agar Banda Shirk Na Kare To Rabb Usse Azaab Na De”.
[Sahih Bukhari 2856]

Allah Ne Hamein Paida Karne Ka Asal Maksad Bayaan Farmaa Diya Hai:-
“Hum Ne Insaano Aur Jinnaato Ko Sirf Iss Liye Paida Kiya Hai Ke Wo Sirf Meri Hi Ibadat Kare”.
[Qur’an, Surah Zaariyat Ayat 56]

“Allah Ne Maut O Hayaat Iss Liye Paida Kiya Taa Ke Tumhe Aazmaaye Ke Tum Mein Kaun Behtar Amal Wala Hai.”
[Surah Mulk Ayat 2]

Duniya Ki Zindagi To Imtihaan Hi Hai, Allah Har Tarha Se Bande Ko Aazmaata Hai Taa Ke Banda Ka Imaan Rabb Par Aur Pukhta Ho.

Jo Shaqs Allah Par Bharosa Karega Allah Uske Liye Kafi Hai.
[Surah Talaaq, Ayat 3]

Tera Rabb Kisi Pe Zulm O Sitam Na Karega.
[Surah Kahaf Ayat 49]

Allah Ne Humein Paida Karne Se Pehle Hi Humse Khud Ke Liye Gawahi Le Chuke Hai , Allah Qur’an Mein Bayaan Farmaate Hai:-
Aur [Yaad Karo] Jab Tumha

re Rabb Ne Bani Adam {As} Se Yani Unki Peetho Se Unki Aulad Nikaali To Unse Khud Unke Muqable Mein Ikraar Karaaya Yani Unse Pucha Gaya Kya Main Tumhara Rabb Nahi Hoon? Wo Kehne Lage, Kyun Nahi, Hum Ikraar Karte Hai Tu Hi Hamara Rabb Hai. Ye Iqraar Issliye Karaaya Gaya Tha Ke Qayamat Ke Din Kahin Yun Na Kehne Lago Ke Humko To Iss ki Khabar Hi Na Thi.
Ya Yeh Na Kaho Ke Shirk To Pehle Hamare Bado Ne Kiya Tha Aur Hum To Unki Aulad The Jo Ke Unke Baad Paida Kiye Gaye. To Kya Unn logo ke jurm Ghalat Raat Waalo Ke Badle Tu Humein Halaak Mein Daal Dega?
[Surah Araaf Ayat 172-173]

Par Ye Baat Insaan Ko Abhi Yaad Nahin, Insaan Ko To Ye Bhi Yaad Nahin Ke Wo Jise Maa Kehta Hai Usi Ka Doodh Piya Hai Bhi Ya Nahi To Kya Wo Apne Maa Ko Maan Nahin Kehta? Wo Apne Maa Ki Nemato Ko Pehchaan Kar Maa Ko Pehchaanta Hai, Usi Tarha Bando Ko Chahiye Ke Allah Ki Nemat Allah Ki Nishaani Ko Dekh Pehchaan Kar Apne Asal Maalik Apne Rabb Allah Ko Pehchaane.

Rabb Ko Pehchaane Aur Uska Asal Haqq Ada Kare Jo Ke Insaan Hi Ko Faayda Pahuchaane Waali Hai.

Rabb Ke Saath Kisi Bhi Haal Mein Kisi Ko Shareek Na Kare. Allah Shirk Kabhi Maaf Nahi Karega.

Allah Ne Farmaya:-
Yakeenan Allah Shirk Karne Waalo Ko Kabhi Na Bakhshega, Uske Siwa Jisse Chaahe Maaf Kar De.
[Surah An Nisa Ayat 48] [Surah An Nisa Ayat 116]

Allah Ne To Shirk Karne Waale Pe Jannat Hi Haraam Kar Di, Allah Ne Farmaya:-
Yakeenan Shirk Karne Waale Par Allah Ne Jannat Haraam Kar Diya, Uska Thikana Jahannum Hi Hai Aur Inn Zaalimo Ka Madad Karne Waala Koi Na Hoga.
[Surah Al Maidah Ayat 72]

Hum Duniya Ki Zara Si Garmi Bardaash Nahi Kar Paate Jahannum Ki Tapish Ka To Andaza Hi Nahi Lagaya Jaa Sakta. Humein Rabb Ki Taraf Ruju Karna Hai, Allah Ar Rahman Hai, Nehaayati Rehman Farmaane Wala, Allah Kehte Hai:-

Jaan Lo, Rabb Ke Siwa Koi Ibadat Ke Laayak Nahin, Aur Apne Gunaaho Ki Bakshshish Maango. [Qur’an, Surah Muhammad, Ayat 19]

Maut Koi Waqt Bata Kar Nahin Aati, Isse Pehle Ke Kafi Der Ho Jaaye, Apni Islaah Kijiye, Apna Muhasiba Kijiye..
 

Similar threads


Top