Eid E Aashiqan Aur Islaam


Eid E Aashiqan Aur Islaam

Shaikh Maqbool Ahmad Salafi Hafizahullaah

Islamic Dawah Center Taif
Romanised: Khadija Muhammadi

14/ February Ka Maujudah English Naam Velantine Day Hai,Ise Urdu Me Eid E Aashiqa Aur Arbi Me Eid Ul Hubb Ke Naam Se Jana Jata Hai.
Uske Taarikhi Pase MANZAR Me Mutaddid Baate Manqul Hai,Un Dates Se Yah Baat To Bilkul Zaahir Hai Ke Yah Ek Mazhabi Eid Hai Jis Ka Talluq Isaiyat Se Hai. Uski Date Me Velantine Naami Shakhas Ka Zikar Hai Jo Isaai Raahib Tha. Yah Din Usi Ki Yaad Me Ishq Aur Muhabbat Ke Naam Par Manaya Jata Hai.
Encyclopedia Book Of Britannica Me Darj Hai Ke Use Aashiqo Ke Tehwaar Ke Taur Par Manaya Jata Hai. Aur Encyclopedia Book Of Null Ke Hisaab Se Velantine Day Mehbubo Ke Liye Khaas Din Hai.
Yah Din Ek Taraf Isaaiyo Ki Mazhabi Eid Hai To Dusre Taraf Awaam Ke Liye Ishq Aur Muhabbat Ke Naam Par Fahashi Aur Uryaniyat Ke Izhaar Ka Sunhera Mauqah Hai.
VELANTINE Day Manana Haraam Hai Uske Alag Alag Asbaab Aur Wajuhaat Hai.
(1) NEW EID KI BID'AT:

Islaam Me Salana 2 Eid Ka Tasawur Hau Jis Ne Kisi 3 Eid Ka Itiqaad Rakha Ya Manaya Usne Bid'at Wala Kaam Kiya.
Nabi SAV Ka Farmaan Hai:
وقد ابدلكم الله بهما خيرا منهما: يوم الفطر ويوم الأضحى.
(سنن النسائى: 1465)
Tarjumah: Allaah Ne Tumhe Un Dono Tehwaro Ke Badle Me Do Aur Tehwaar Ata Kiye Hai Jo Un Se Behtar Hai Aur Woh Hai: Eid Ul Fitar,Eid Ul Azha.
Aur Aap SAV Ka Farmaan Hai:
من أحدث في أمرنا هذا ما ليس منه فهو رد.(صحيح البخاري:2499،صحيح مسلم:3242)
Tarjumah: Jis Shakhas Ne Hamare Is Deen Me Koi Aysa Kaam Iyjaad Kiya Jo Usme Se Nahi Hai To Woh Mardud Hai.
(2) GAIR QAUM KI MUSHABIHAT:
Islaam Ne Hame Har Us Kaam Se Mana Kiya Hai Jis Me Kuffar Ki Mazhabi Mushabihat Hoti Ho Jaisa Ke Nabi SAV Ka Farmaan Hai:
من تشبه بقوم فهو منهم.
(ابي داؤد :4031،وصححه الباني)
Tarjumah: Jo Shakhas Jis Qaum Ki Mushabihat Ikhtiyaar Kare Woh Unhi Me Se Hai.
Balke Dusri Ahadees Me Sarahat Ke Sath Nabi SAV Ne Yahud Aur Nasara Ki Mukhalifat Karne Aur Unki Mushabihat Karne Se Bachne Ka Hukam Farmaya Hai.
(3) ZINA KA SABAB:
Velantine Day Me Naach Gana,Mard Aurat Ka Ikhtilaat,Fahashi Aur Uryaniyat,Fisq Aur Fujur, Sharaab Aur Kabab Aur Shahwaniyat Aur Haiwaniyat Ka Aysa Muzahira Dekhne Ko Milta Hai Jo Zina Ke Asbaab Me Se Hi Nahi Balke Us Me Shumaar Hoga.
Islaam Ne Zaani Ke Liye Badi Sakhat Saza Rakhi Hai,Samaj Me Agar Kisi Zani Ko Aysi Saza Di Jaae To Pura Muashria Zina Ki Burai Se Paak Rahe. Islaam Ne Na Sirf Zina Ki Saza Mutayyan Ki Balke Zina Me Waqu Ke Asbaab Ka Bhi Sadde Baab Kiya.
Chunacha Allaah Ka Farmaan Hai:
ولا تقربوا الزنى انه كان فاحشة وساء سبيلا.(سوره اسرائيل:32)
Tarjumah: Khabardaar Zina Ke Qareeb Bhi Na Phatakna Kuy Ke Woh Badi Be Hayaai Hai Aur Bahut Hi Buri Raah Hai.
Is Aayat Me Zina Ke Qareeb Na Jaao Ka Matlab Zina Ke Asbaab Se Bacho.
Yaha Yah Bhi Jaan Le Ke Velantine Day Manane Ka Matlab.
☆ Ajnabi Mard Aur Aurat Ka Aazadana Rabat Tasleem Karna Hai.
☆ Aurat Ki Iffat Aur Asmat Ki Koi Zamanat Nahi.
☆ Hame Mard Aur Aurat KA wahi Ikhtilaat Pasand Hai Jo Magrib Walo Ki Pasand Hai.
Yah Baate Islaami Aitbaar Se Haraam Aur Gunaah E Kabirah Hai Un Bato Se Muslim Muashirah Bilkul Magribi Muashirah Ban Jaae Ga.
(4) HARAAM LAHU AUR LA'AB:
Velantine Day Do Jode Ka Ghinavna Khel Hai,Is Khail Me Aashiq Aur Maashuq Ke Liye Kuch Bhi Rawa Hai. Fisq Aur Fujur Se Le Kar Zinakari Aur Sharaab Navshi Tak, Aur Naach Gaane Se Le Kar Har Qisam Ki Moj Masti Tak.
Isme Jaha Haraam Kari Hoti Hai. Wahi Be Panaah Fuzool Kharchi Bhi Ki Jati Hai Sach Kaha Allaah Ne Ke Fuzool Kharchi Karne Wale Shaitaan Ke Bhai Hai:
ان المبذرين كانوا اخوان الشياطين وكان الشيطان لربه كفورا.(إسراء: 27)
Tarjumah: Beja Kharch Karne Wale Shaitaan Ke Bhai Hai Aur Shaitaan Apne Parwardigar Ka Bada Hi Nashukra Hai.
Goya Ayse Log Shaitan Aur Un Ka Amal Shaitaani Hai Allaah Hame Shaitaan Aur Shaitaani Kaamo Dono Se Bachaae. Aameen
Un Asbaab Ke Alawah Dusre Gair Sharai Kaam Anjaam Diye Jate Hai. JAISE
☆ IS Mauqah Se Muhabbat Wala Card Aashiq Aur Maashuq Ke Darmiyan Tabadla Kiya Jata Hai,Velantine Day Ki Buraai Ki Shuruaat Isi Card Se Hoti Hai.
☆ Ek Dusre Ko Red Rose Paish Karte Hau Jo Boot Parsat Ke Yaha Hubbe Ilaahi Aur Nasarani Je Yaha Ishq Ki Alaamat Mani Jati Hai.
☆ Red Rose Ki Nisbat Se Red Mithaiyo Ki Taqseem Hoti Hai.
☆ Card Par Basa Awsaaf Khudaae Muhabbat Keypad Ki Tasweer Banai Jati Hai Aur Kabhi Gande Alfaaz To Kabhi Behuda Picture Bani Hoti Hai.
☆ Is Mauqah Se Europe Me Jins Parast Apni Jins Parasti Ka Izhaar Karte Hai.
☆ Yah Bhi Dekha Gaya Hai Ke Ahle Europe Ke Yaha Makhsus Aaza Par Mehbub Ka Naam Likha Hota Hai.
Bahar Haal ! Ham Islaami Bhaiyo Aur Behno Se Qur'aan Ki Ek Aayat Ki Roshni Me Us se Kinarah Kashi Ikhtiyaar Karne Ki Nasihat Karte Hai. Jo Na Mane Use Allaah Ki Sakhat Waeed Bhi Batla Dete Hai.
Allaah Ka Farmaan Hai:
ان الذين يحبون أن تشيع الفاحشة في الذين آمنوا لهم عذاب اليم في الدنيا والآخرة.
(النور: 19)
Tarjumah: Yaqeenan Jo Log Chahte Hai Ke Imaan Laane Walo Ke Giroh Me Fahash(Aur Be Hayai) Phaile Woh Duniya Aur Aakhirat Me Dardnaak Saza Ke Mustahiq Hai.
 
Thread starter Similar threads Forum Replies Date
Umar Asari Islaah e Mu’aashra 0
Umar Asari Islaah e Mu’aashra 0

Similar threads


Top