ALLAH PAR EMAAN LANA


ALLAH PAR EMAAN LANA
Tahreer : FAZILAT-USH-SHAIKH ABD-US-SATTAR AL-HAMMAD hafizahullah
Romanised: Abu Umaimah Owais
Al-Hamdulillahi Rabbil Aalameen Wassalato Wasallamu Ala Rasoolihil Kareem Wa Ala Aalihi Wa As'habihi Ajmayeen, Amma Ba'ad:

قُلْ آمَنْتُ بِاللَّهِ فَاسْتَقِمْ
"Kaho mein ALLAH par emaan laaya aur us par saabit qadam hoja."(Sahih Muslim:159)

FAWAAYED:
Is hadees ka pas manzar yeh hai ke hazrat Sufyan Bin Abdullah Saqafi raziallahu-anhu ne RASOOLULLAH sallallahu alaihi wasallam se arz kya ya RASOOLULLAH (sallallahu alaihi wasallam)! mujhe islam ke mutaliq koi aisi baat bitayen ke mein is ke mutaliq AAP ke baad kisi se nah pouchon. To AAP sallallahu alaihi wasallam ne farmaya: ”kaho mein ALLAH par emaan laya, phir saabit qadam ho jao“. ALLAH TA'ALA par emaan ke baad phir is par istiqamat se moraad poore deen par saabit qadam rehna hai. Darj-e-zail Qurani aayat mein istiqamat se moraad bhi yahi hai:

إِنَّ الَّذِينَ قَالُوا رَبُّنَا اللَّهُ ثُمَّ اسْتَقَامُوا
"Bilashubah woh log jinhon ne kaha : hamara Rab ALLAH hai phir woh is par saabit qadam rahay.(Surah Haameem Sajdah:30)

Yani ALLAH ki ita'at aur is ki nafarmani se ijtinab par unhon ne mustaqil mizaji ka muzahira kiya aur islam ke raste mein par qisam ki qurbani daine ke liye tayyar rahe. ek hadees mein RASOOLULLAH sallallahu alaihi wasallam ne emaan billah ka yahi mafhom bayaan kya hai. AAP sallallahu alaihi wasallam ne wafd Bin Qais se farmaya:

"Mein tumhe ALLAH wahdah par emaan laane ka hukm deta hon. Phir AAP sallallahu alaihi wasallam ne daryaft farmaya : ”ALLAH wahdah, par emaan laane ka matlab samajte ho? “ ahal wafad ne arz kya : ” ALLAH aur is ke RASOOL ko sab se ziyada ilm hai. “AAP sallallahu alaihi wasallam ne farmaya : ”us baat ki gawahi dena ke ALLAH ke ilawa koi mabood barhaq nahi aur yaqeenan hazrat MUHAMMED sallallahu alaihi wasallam ALLAH ke RASOOL hain. Namaz qayim karna, zakaat ada karna aur maal-e-ghanemat se panchawan hissa dena."(Sahih Bukhari:53)

Allah par emaan laane ka matlab yeh hai ke dil ki geherai se is baat ki pukhta tasdeeq karna ke ALLAH TA'ALA apni zaat o sifaat aur huqooq o ikhtiyarat mein yaktaa o Yagana hai aur is ka koi shareek nahi hai.
 

Top