Salaf se muraad kya hai???


Umar Asari

Administrator
Staff member
Salaf se muraad kya hai???

✵Sawaal:✵
Salaf se kya muraad hai?

✯Jawaab:✯
Salaf ka ma’na hai mutaqaddimeen (pehle ke log). Pas har woh shakhs jo apne ghair se mutaqaddim ho woh us ka Salaf hai. Lekin jab is lafz "As-Salaf" ka itlaaq kiya jaata hai to us se muraad fazeelat waale teen zamaane (khair-ul-quroon) hote hain yani Sahaba-e-Kiraam, Tabi’een-e-Izaam aur Taba’ Tabi’een. Yeh hain Salaf-e-Saliheen. Aur jo koi un ke baad aaye aur un ke Manhaj par chale to bila-shubha woh bhi un ki misl tareeqa-e-salaf par hai, agarche zamaane ke aitbaar se woh un ke baad aaya. Kiunki Salafiyyat ka itlaaq us Manhaj par hota hai jis par Salaf-e-Saliheen gaamzan rahe, jaisa ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya:
وَإِنَّ أُمَّتِي سَتَفْتَرِقُ عَلَى ثِنْتَيْنِ وَسَبْعِينَ فِرْقَةً، كُلُّهَا فِي النَّارِ إِلَّا وَاحِدَةً، وَهِيَ الْجَمَاعَةُ​
Tarjumah: Be shak meri ummat 73 firqon main bat jaayegi, woh sab ke sab aag main jaayenge siwaaye ek ke, aur woh (najaat paane waala giroh) ek jama'at hogi.
(Ibn e Majah: 3993)

Doosri riwayat ke alfaaz hain:
مَا أَنَا عَلَيْهِ وَأَصْحَابِي​
Tarjumah: Jo mere aur mere Sahaba ke naqsh e qadam par honge.
(Tirmizi: 2641)

Is bina par yahan Salafiyyat ek ma’ne ke saath muqayyad hai. Pas jo koi bhi Sahaba-e-Kiraam, Tabi’een-e-Izaam aur jinhon ne bataur ehsaan un ki ittebaa' ki un ke Manhaj par hai woh Salafi hai agarche woh hamaare is zamaane main ho, jo ke chaudahveen (14th) sadi Hijri hai.

❲Fataawa Noor Ala al-darb lil-Uthaimeen❳
 

Similar threads


Top