Salary mein se monthly bachat par zakat kis tarah ada kare?


Umar Asari

Administrator
Staff member
Salary mein se monthly bachat par zakat kis tarah ada kare?

✯Sawaal:✯
Main ek company mein taqreeban do saal se job kar raha hun, aur har mahine apni salary ka ek bada hissa bachat ke taur par jama karta hun, aur is tarah se dasven (10th) mahine mein mere paas us waqt ke mutabiq nisaab e zakaat ke barabar raqm jama ho gayi thi, aur us ke baad mere paas maujood raqm kam ziyadah hoti rahi lekin nisaab e zakaat se kam nahi hue, ab main ikkesven (21th) mahine mein hun, aur ab mere paas taqreeban do guna raqm jama ho chuki hai, aur nisaab bhi badal chuka hai, jiski wajah se mere liye mu’amlaat khalt-malt (mixed) ho gaye hain, aur mujhe samajh nahi aa rahi ke main kya karun ke kis nisaab par aitemaad karun? Purana nisaab ya naya? Mere paas maujood raqm ko bunyaad banaon, ya jis raqm par saal guzra hai sirf usi raqm ka aitbaar hoga? Plz! Mujhe wazahat se batlaayen.

✹Jawaab✹
Alhamdulillah:
Ek musalman ki janib se monthly salary ki bachat mein se zakat dene ka aasaan aur mehfooz-tareen tareeqa yeh hai ke:
Monthly salary se ki jaane wali bachat jis mahine mein zakat ke nisaab ke barabar ho jaye to us mahine se le kar ek Islami Hijri saal ke baad jitni bhi raqm apke paas hai, saari raqm ki zakat ada karen, yahan tak ke sab se aakhri mahine mein ki jaane wali bachat ko bhi zakat ke liye shaamil karen, jis ko aap ne abhi kuch din pehle hi bachat khaate mein shaamil kiya hai.
Chunanche jis nisaab par ek saal ki zakat wajib thi uski zakat aap ne ada kar di hai.
Aur uske baad waale mahinon mein aap ki jama ki hue bachat ki zakat aap ne waqt se pehle ada kar di hai, aur zakat waqt se pehle ada karna jaaiz hai, is mein koi harj nahi hai.

✹Shaikh Ibn e Uthaimeen Rahimahullah kehte hain:✹
Monthly salary ki zakat dene ke liye achcha, behtareen, aur aasaan-tareen raasta yeh hai ke aap kisi mahine ko muqarrar kar len, aur us mahine mein apne saare maal ki zakat de den.

Misaal ke taur par: Ek insaan ki aadat hai ke woh har Ramadhan mein zakat deta hai, to woh Ramadhan ke mahine mein apne paas maujood saare maal ki zakat nikaal deta hai, yahan tak ke Sha’baan mein haasil hone wali raqm ki bhi zakat de deta hai, haqeeqat yeh hai ke yeh tareeqa bahut achcha hai, aur insaan is tareeqe ki wajah se zakat ke mu’aamle mein pur-sukoon rehta hai, is se pur-sukoon tareeqa hamein maloom nahi hai.

Aur agar koi yeh kahe ke Sha’baan mein milne waali salary par to abhi kuch hi din guzre hain?
To hum usay kahenge: Us raqm ki zakat advance adaigi mein shumaar hogi, aur insaan apne maal ki zakat ek ya do saal pehle bhi ada kar sakta hai.

Chunancha hum kahenge ke behtar yeh hai ke insaan kisi bhi ek mahine ko muta’ayyan kar le, aur us mahine mein apne saare maal ko jama kar ke uski zakat ada kar de, chaahe kuch maal par saal guzar chuka ho aur kuch par abhi saal guzarna baqi ho. (Shaikh ki baat mukammal hue)
(Majmoo' Fatawa Wa Rasail Ibn e Uthaimeen: 18/175)
Wallahu A’alam.
❦Taken From Islamqa (160574)❦
 
Thread starter Similar threads Forum Replies Date
Umar Asari Zakat o Sadqaat 0

Similar threads


Top