NARDSHIR[CHOSAR] KHELNA [JO KE SABOOR BIN AZDASHIR BIN BABIK SHAH-E-IRAAN NE EJAAD KIYA THA.


Ibnatu Ali

Member
⚂NARDSHIR[CHOSAR] KHELNA [JO KE SABOOR BIN AZDASHIR BIN BABIK SHAH-E-IRAAN NE EJAAD KIYA THA.

بسم الله الرحمن الرحيم​

Logon mein raayej bahut se kheylon mein se kayi haraam umoor paaye jaate hain jin mein se hi nardshir [choser] bhi hai [Jo ke az zahar ke naam se bhi ma'roof hai] jis se ibteda kar ke log bahut se haraam kheylon ki taraf munataqil ho jaatey hain, aur Nabiﷺ ne iss nardshir se mana' kiya hai Jo ke juwey ke darwaazey kholta hai, chunaancheh Aapﷺ ne farmaaya hai:

◈من لعب بالنرد شير فكانما صبغ يده في لحم خنزير و دمه.​
“Jis ne nardshir [chosar] kheyla toh woh iss tarah hai jaisey ke koi apney haaton ko khinzeer ke gosht aur khoon se rangta hai”.
❲Sahih Muslim 1770/4❳
❲Jis tarah suwar ka gosht khaana aur uskey gosht yaa khoon se haath rangna haraam hai usi tarah chosar kheylna bhi haraam hai. chosar[shatranj aur taash waghairah] ke mana' hone ka sabab ye hai ke ye kheylein faraayez se ghaafil kar deti hain aur iss chosar ka baani ek aatish parast majoosi hai lehaaza iss mushabihat ki waja se bhi ye haraam hai. ( Lit Tafseel: faiz ul qadeer munawi 270/6)❳ ❨Abu Adnan❩

Hazrat Abu Moosa Ashri(razi Allahu 'Anhu) se ek marfoo' hadees mein irshaad Nabiﷺ hai:

◈من لعب بالنّرد فقد عصي الله و رسوله.​
“Jis shakhs ne chosar kheyla toh goya uss ne Allah aur uss ke Rasoolﷺ ki naa farmaani ki”.
❲Sahih Bukhari, dekhiye Al-fath163/3❳
━━━━━━━━━━━━━━
┃Kitaab: Muharramaat ❨Haraam Ashya wa umoor❩
Taleef: Fazilat Al-Shaykh Mohammad Saalih Al-Munajjid [Hafidahullah]┃
 
Top