Umar Asari

Administrator
Staff member
Khwaab mein murdon ko dekhna

✷Sawaal:✷
Kya maut ke khwaab ya khwaab mein murdon ko dekhna is baat ki daleel hai ke yeh insaan jald faut ho jaayega? Is soorat e haal mein kya karna chahiye taaki un bure khwaabon se jaan choot jaaye?

✹Jawaab:✹
Yeh khwaab jis se insaan dar jaye aur ghabra jaaye yeh shaitaan ki taraf se hota hai kiunki shaitaan is baat ka khwaahishmand hai ke woh har musalmaan ko gham o andooh mein mubtala kar de. Irshad e Baari Ta'ala hai:
إِنَّمَا النَّجْوَىٰ مِنَ الشَّيْطَانِ لِيَحْزُنَ الَّذِينَ آمَنُوا وَلَيْسَ بِضَارِّهِمْ شَيْئًا إِلَّا بِإِذْنِ اللَّهِ​
Tarjumah: (Kafiron ki) sargoshiyaan to shaitaan (ki harkaat) se hain (jo) is liye (ki jaati hain) ke momin (un se) ghamnaak hon. Jabki woh (shaitaan) izn e ilaahi (yani Allah ki ijaazat) ke baghair unhein koi nuqsaan nahi pahuncha sakta.
(Surah Al-Mujadilah, Surah No: 58 Ayat No: 10)

Isi tarah yeh dauraan e khwaab jo insaan ko gham o fikr mein mubtala kar dete hain yeh bhi shaitaan ki taraf se hote hain, is liye Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne hukm diya hai ke jo shakhs na-pasandeedah khwaab dekhe to woh apne baayen taraf 3 bar thook de aur kahe:
أعوذ من شر الشيطان ومن شر ما رأيت​
Tarjumah: Main shaitaan ke sharr se aur main ne jo khwaab dekha hai us k sharr se Allah ki panaah talab karta hun.

Aur jab tum khwaab mein maut waghairah yani aisi cheez ko dekho jise tum na-pasand karte ho to us wqt us tarah karo jis tarah Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne hukm diya hai ke 3 baar baayen janib thook do neez shaitaan ke sharr aur jo kuch tum ne dekha hai us ke sharr se Allah Ta'ala ki panaah mango. Aur phir us ke bad agar sona chaaho to doosri karwat par so jaao aur jab so kar utho to us bure khwaab ke baare mein kisi ko na bataao is tarah us khwaab se tumhein koi nuqsaan nahi hoga.
Insaan agar maut ke baare mein koi khwaab dekhe to yeh is bat ki daleel nahi ke woh anqareeeb (jald hi) mar jaayega balki yeh bhi ek shaitaani khwaab hai taaki woh aise khwaab ki wajah se musalmaan ko gham o fikr mein mubtala kar de. Is tarah ka khwaab dekh kar bhi Allah Ta'ala se panaah maangni chahiye aur us ke baare mein kisi se baat nahi karni chahiye.
☘Shaikh Ibn e Uthaimeen☘
واللہ اعلم بالصواب​
 

Similar threads


Top