Valentine day manana kaisa hai?


Staff Member

Member
Staff member
VALENTINE DAY MANANA KAISA HAI?

Valentine day Ek aisa din hai jiska intezar aksar ladke-ladkiyan bahut hi besabri se karte hain Ke Valentine day aaye aur wo Allah ke Qawaneen ko tod dalen.

Bhale hi niyat ye na rahti ho kyunki bahut se log kam ilmi ka bhi shikar hote hain jiski ek sabse badi wajah hai Sahi ilm e deen se doori.

Lehaza jo muashre me dekhte chale ja rahe hain wo karte chale jaa rahe hain, Chahe anjaam kuch bhi ho iski bhi parwah nahi.

Valentine day ki history jo bhi rahi hogi lekin aaj log is valentine day ke din sare-aam khul kar zina karte hain.

Allah ta'ala ne to hame Zina ke qareeb bhi jane se mana kiya hai.
Allah Taa'la farmata hai:
Khabardaar zina ke qareeb bhi na bhatakna, kyunki wo badi be-hayaayi hai aur bahut hee buri raah hai
(Surah Bani Israil - 17 : 32)

Zinakari behayaai ye sab to isaaiyo aur yahudiyo me hai aur ye Valentine Day bhi unhi ka festival hai jisme khul kar badkari aur behayaai ki jaati hai. Magar afsos ke hamare muslim bhai bahen bhi aisa kar rahe hain.

Halaanki Hamare Nabi Sallallaho Alaihe wasallam ne hamein ghairon (doosron) ki mushaabihat (copy) karne se bhi mana kiya hai.
Rasool’Allah Sallalahu Alaihi Wassalam ne farmaya:
"Jo shakhs jis qaum ki mushabahat (copy) ikhtiyar karega wo unhi mai se hoga."
(Abu Dawood, 4031)

Valentine Day ke din sirf aur sirf Allah ke Banaye qawaneen ko bedardi se toda jata hai. Jo ki ek musalman ke liye bahut hi sharmnaak baat hai.

Aj log behayaai me itne doob chuke hain ke dekh kar koi pahchan nahi sakta ke kaun musalman hai aur kaun kaafir, jabki Allah ne musalman ko ek alag pahchan di hai, agar ek shaks musalman lafz ke taqazo ko pura karne lage to wo sabse alag dikhega.

Aaiye dekhte hain ke in behayaai phailane walo ke liye Allah Taa'la kya farma raha:
" Jo log musalmaano mein be hayaayi phailaane ki aarzumand (khwahish mand) rehte hain, un ke liye duniya aur akhirat mein dardnaak azaab hai, Allah sab kuch jaanta hai aur tum kuch bhi nahi jaante."
(Surah Noor 24 : 19)

Kya ye ayat kaafi nahi Dilo me khauf bharne ke liye, ke wo dardnak azaab kab aur kaha aa pakde aur duniya me zillat ka sabab bane. Yaad rakho musalmano Allah ka wada sachha hai Uska azaab kahi bhi aur kabhi bhi aakar pakad lega aur duniya o akhirat dono me ruswa karega.

Allah Taa'la ne to Behayaai ki baato ko haram kaha hai.
"Ap kah dijiye ke mere Rab ne to Behayaai ki baato ko Zahir ho ya Posheeda aur gunah ko aur Na-haq zyadti ko haram kiya hai."
(Surah Araaf 7 : 33)

"Allah ta'ala adl (insaaf) ka bhalaayi ka aur qaraabat'daaron ko (Kharch se madad) dene ka hukm deta hai aur be' hayaai ke kaamo, Aur Naa Maqool harkaton aur zulm o zyaadati se rokta hai, wo khud tumhe nasihate kar raha hai ke tum nasihat haasil karo"
(Surah Al-Nahal 16 : 90)

Ai be-khauf musalmano Allah ki di hui nasihaton se faida uthao kahi ye behayaai tumhe us Aag me na dhakel de jiska indhan patthar aur insan hain.

Allah Taa'la to musalmano ko hukm deta hai ke wo islam me pure pure dakhil ho jaayen warna shaytan to iman walo ka khula dushman hai aur uska maqsad hi hai imanwalo ko bahkana aur jahannum ki taraf le jana hai.
Irshaad e Bari Taa'la Hai:
"Imaan walo! Islaam mein pure pure daakhil ho jao aur shaitaan ke qadmo ki tabedaari na karo, wo tumhaara khula dushman hai."
(Surah Baqara - 2 : 208)

" Imaan waalo! shaitaan ke qadam ba qadam na chalo, jo shakhs shaitaani qadmo ki pairvi kare, to wo to be hayaayi aur bure kaamo ka hee hukm karega aur agar Allah ta'ala ka fazl o karam tum par na hota, to tum mein se koyi bhi kabi bhi paak saaf na hota, lekin Allah ta'ala jise paak karna chaahe kar deta hai aur Allah sab sunne wala aur sab jaane wala hai"
(Surah Noor - 24 : 21)

Aur Jo log sahi raah bata dene ke bad bhi nahi mante unka anjam Allah Taa'la ne kuch is tarah bayan kiya hai:
"agar tum ba-wajood tumhaare paas daleele aa jaane ke bad bhi phisal jaao to jaan lo ke Allah ta'ala ghalba waala aur hikmat waala hai
(Surah Baqara - 2 : 209)

"Jo shakhs ba-wajood raah e hidaayat ke waazeh ho jaane ke baad bhi Rasool (sallallahualaihi wasallam) ke khilaaf kare aur tamaam momino ki raah chhod kar chale, hum use udhar hee mutawajje kar denge jidhar wo khud mutawajje ho aur dozakh mein daal denge,wo pahonchne ki bahut hee buri jagah hai."
(Surah 04 Nisaa : 115)

Ai musalmano daro, kahi tum us bhadakti hui aag me na daal diye jaao, kahi wo zina ka pal tumhari zindagi ka akhiri pal na ho aur tum is halat me na maro ke momin na ho. Jaisa ke Hadees e Rasool hai:

Rasool’Allah sallallaho alaihi wasallam ne farmaya” koi shaks jab zina karta hai to ain zina karte waqt wo momin nahi hota.”
(Sahih Bukhari,5578)

Kya in Roshan Daleelo ke baad bhi ek musalman zina ke qareeb jayega aur behayaai karega?
 
Thread starter Similar threads Forum Replies Date
Shona shaikh Islaah e Mu’aashra 0
Umar Asari Islaah e Mu’aashra 0

Similar threads


Top