Shaadi ke baad shauhar ka naam apne naam ke saath lagaana kaisa hai?


Umar Asari

Administrator
Staff member
Shaadi ke baad shauhar ka naam apne naam ke saath lagaana kaisa hai?

Tehreer: Shaikh Rafeeq Tahir Hafizahullah

Romanised By: Umar Asari

✪Sawaal:✪
Hamaare mu’ashre mein aksar dekhne mein aaya hai ke shaadi ke baad khawateen apne naam ke saath shauhar ka naam laga leti hain. Kuch ahl e ilm ise ghalat qarar dete hain. Unka kehna hai ke yeh maghribi riwayat (western culture ka hissa hai) hai deen e Islam mein iska suboot nahi milta. Aur Yeh ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne apne baap ke siwa kisi aur ki taraf nisbat karne se mana kiya hai. Jabki kuch ahl e ilm ise sahih qarar dete hain. In do mukhtalif mauqif mein se sahih konsa hai?

✫Jawaab:✫
Hadees mein jis kaam se mana kiya gaya hai woh yeh hai ke koi shakhs apne asal waalid ki jagah kisi doosre ko apna baap zahir kare.
Wathilah bin Asqa’ Radhiallahu Anhu se riwayat hai, woh bayan karte the ke Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya:
إِنَّ مِنْ أَعْظَمِ الْفِرَى أَنْ يَدَّعِيَ الرَّجُلُ إِلَى غَيْرِ أَبِيهِ​
Tarjumah: Sab se bada bohtaan aur sakht jhoot yeh hai ke aadmi apne baap ke siwa kisi aur ko apna baap kahe.
[Sahih Bukhari: 3509]

Isi tarah Sa’d Radhiallahu Anhu ne bayan kiya ke main ne Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam se suna:
مَنِ ادَّعَى إِلَى غَيْرِ أَبِيهِ وَهُوَ يَعْلَمُ أَنَّهُ غَيْرُ أَبِيهِ، فَالْجَنَّةُ عَلَيْهِ حَرَامٌ​
Tarjumah: Jis ne apne baap ke siwa kisi aur ke bete hone ka dawa kiya yeh jaante huwe ke woh us ka baap nahi hai to jannat us par haraam hai.
[Sahih Bukhari: 6766]

Isi baat se Quran e Majeed mein Allah Taala ne bhi is tarah mana farmaya hai:
ادْعُوهُمْ لِآبَائِهِمْ هُوَ أَقْسَطُ عِندَ اللَّهِ فَإِن لَّمْ تَعْلَمُوا آبَاءهُمْ فَإِخْوَانُكُمْ فِي الدِّينِ وَمَوَالِيكُمْ​
Tarjumah: Un (munh bole beton) ko unke (asal) baapon ke naam se pukaaro yahi Allah ke nazdeek ziyadah insaaf waali baat hai. Agar tumhein unke baapon ka ilm nahi hai to woh tumaahre deeni bhai aur dost hain.
[Surah Al-Ahzab, Surah No: 33 Ayat No: 5]

Albatta apne naam ke saath waalid ke siwa kisi ka naam lagana ya uski taraf nisbat karna is andaaz se ho jis se waladiyyat tabdeel na ho to is mein koi harj nahi hai. Khud Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne apni nisbat apne dada ki taraf karte huwe farmaya:
أَنَا النَّبِيُّ لاَ كَذِبْ، أَنَا ابْنُ عَبْدِ المُطَّلِبْ​
Tarjumah: Main Nabi hun is mein koi jhoot nahi, main Abdul Muttalib ka beta hun.
[Sahih Bukhari: 2864]

Isi tarah Miqdad bin Al-Aswad Radhiallahu Anhu Al-Aswad bin Abd e Yaghus Az-Zohari ke zer e parwarish the jis ki wajah se woh Miqdad bin Al-Aswad mashhoor ho gaye halaanki unke waalid ka naam Amr bin Tha’labah bin Malik Al-Bahrani Al-Kindi tha. Chunki unki waladiyyat maroof (famous) thi ke yeh kis ke bete hain so Islam ne Miqdad bin Al-Aswad kehne ya kehlane par koi nakeer nahi ki. Yaad rahe ke yeh Badri Sahabi hain aur 6th musalman hain. Inki wafaat madinah se qareeb Jurf naami jagah par 33 hjri ko hue.

Isi tarah Islam mein khawateen ki nisbat shauhar ki taraf karna bhi mamnoo nahi hai jaisa ke Abdullah bin Mas’ood Radhiallahu Anhu ki biwi Zainab Radhiallahu Anha jab Zakat ke baare mein masla poochne ke liye aayein to Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ko bataya gaya ke Zainab masla poochne ke liye aayi hain aur woh andar aane ki ijazat chaahti hain. Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne poocha ke konsi Zainab hai? To jawab diya gaya «امْرَأَةُ ابْنِ مَسْعُودٍ» Ibn e Mas’ood Radhiallahu Anhu ki biwi hain.
[Sahih Bukhari: 1462]

Yahan bhi Zainab Radhiallahu Anha ki nisbat unke shauhar Abdullah bin Mas’ood Radhiallahu Anhu ki taraf ki gayi. Is tarah aur bhi bahut si misalen milti hain ke aurat ki nisbat uske shauhar ki taraf Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ke daur mein bhi ki jaati thi. Khaas taur se Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ki azwaaj e mutahharaat ka tazkira hota to unke naam ke saath walid ka naam zikr karne ki bajaye zauja e Rasool keh kar tazkira kiya jaata.
Is se maloom hota hai ke shauhar ka naam apne naam ke sath lagana koi aib nahi, asal aib aur mamnoo aur haraam kaam apne waalid ke siwa kisi aur ko apna baap qarar dena hai.
Aur phir hamaare mu’ashre mein aurton ke naam aam taur se baap ke naam se khaali hote hain masalan “Maryam Bi Bi” “Samina Kusar” “Zubaida khatoon” waghera aur shaadi ke baad apne naam ka doosra hissa khatm kar ke woh uski jagah shauhar ka naam laga leti hain jaise “Maryam Rasheed” “Samina Talib” “Zubaida Arshad” waghera. To is se kisi qism ka ishtibaah paida hi nahi hota. Balki aurat ko janne waale sabhi jaante hain ke uske naam ka doosra hissa uske shauhar ka naam hai jo ke us ne shauhar ki mohabbat mein apne naam ke saath mila liya hai.
Aur is tarah karna waladiyyat tabdeel karna nahi kehlata hai.
Aur apne naam ke saath shauhar ka naam lagaane ko western culture ki riwayat aur hissa qarar dena sarasar na-insafi hai. Kiunki western ke logon ki riwayat miyan biwi waali nahi balki unki riwayat to boy friend aur girl friend waali hai. Jinki dostiyan (friendship) sirf shehwat raani ke liye hoti hain ya kisi aur matlab ki had tak.
هذا، والله تعالى أعلم، وعلمه أكمل وأتم، ورد العلم إليه أسلم، والشكر والدعاء لمن نبه وأرشدوقوم​
 

Similar threads


Top