20 Rakat Taraweeh Ke Mutalliq Hazrat Ali Razi Allahu Anhu Ki Taraf Mansoob Riwayat Ki Tahqeeq {Riwayat Number - 3}


Abdul Adil

Member
Tahqeeq :- Shaikh Kifayatullah Sanabili Hafizahullah

Roman Script :- Abdul Adil Ansari


Imam Baihaqi Rahimaullah (Died 458 H) farmate hai

أَخْبَرَنَا أَبُو الْحُسَیْنِ بْنُ الْفَضْلِ الْقَطَّانُ بِبَغْدَادَ أَخْبَرَنَا مُحَمَّدُ بْنُ أَحْمَدَ بْنِ عِیسَی بْنِ عَبْدَکٍ الرَّازِیُّ حَدَّثَنَا أَبُو عَامِرٍ : عَمْرُو بْنُ تَمِیمٍ حَدَّثَنَا أَحْمَدُ بْنُ عَبْدِ اللَّہِ بْنِ یُونُسَ حَدَّثَنَا حَمَّادُ بْنُ شُعَیْبٍ عَنْ عَطَائِ بْنِ السَّائِبِ عَنْ أَبِی عَبْدِ الرَّحْمَنِ السُّلَمِیِّ عَنْ عَلِیٍّ رَضِیَ اللَّہُ عَنْہُ قَالَ : دَعَا الْقُرَّائَ فِی رَمَضَانَ ، فَأَمَرَ مِنْہُمْ رَجُلاً یُصَلِّی بِالنَّاسِ عِشْرِینَ رَکْعَۃً۔قَالَ : وَکَانَ عَلِیٌّ رَضِیَ اللَّہُ عَنْہُ یُوتِرُ بِہِمْ۔وَرُوِیَ ذَلِکَ مِنْ وَجْہٍ آخَرَ عَنْ عَلِیٍّ۔ وَأَمَّا التَّرَاوِیحُ فَفِیمَا۔ [ضعیف]

Abi Abdurrahman Sulami , Hazrat Ali Razi Allahu Anhu se nakal farmate hai ki wo Ramzan me Qurra'a ko bulate aur unme se ek ko huqm dete , wo logon ko 20 rakat padhata tha aur Hazrat Ali Razi Allahu Anhu unke sath padhte the

[Sunan Al Kubra Lil Baihaqi Jild-2 Safa-496]

Tahqeeq :- Ye Riwayat Shakth Zaeef Hai Isme do illate hai

Pahli Illat :-

Ata Bin Sayib Akhir Me Mukhtalit ho gaye the aur unse ye riwayat ikhtelaat ke baad nakal ki gayi hai kyunki ikhtelaat se qabl jin raawiyon ne unse Riwayat nakal ki hai unki fahrist me Hammad Bin Shoaib Ka name nahi hai jaisa ki Ahle Fan ne sharahat ki hai


1] Imam Tahawi Hanafi Rahimahullah farmate hai


"وإنما حديثه الذي كان منه قبل تغيره يؤخذ من أربعة لا ممن سواهم، وهم شعبة، والثوري وحماد بن سلمة، وحماد بن زيد

Ata Bin Sayib ki riwayat jo unke ikhtelaat se qabl ki hai wo sirf aur sirf chaar logon se marwi hai aur wo ye hai Shoaba , Soori , Hammad Bin Salma , Hammad Bin Zaid.


[شرح مشكل الآثار (٢٩٣/6)]

Allama Zayli Hanafi Rahimahullah Farmate hai


من روى عنه روى عنه في الاختلاط، إلا شعبة، وسفيان

In Tamam logon ne ikhtelaat ke baad riwayat kiya hai siwaye shoaba aur Sufiyan Soori ke

[نصب الراية للزيلعي (٥٨/3)]



Hafiz Ibne Hajar Rahimaullah farmate hai

"من مشاهير الرواة الثقات إلا أنه اختلط فضعفوه بسبب ذلك، وتحصل لي من مجموع كلام الأئمة أن رواية شعبة وسفيان الثوري و زهير بن معاوية و زائدة وأيوب وحماد بن زيد عنه قبل الاختلاط، وأن جميع من روى عنه غير هؤلاء فحديثه ضعيف لأنه بعد اختلاطه،،

Ye Mashoor Siqa'a raawi me se hai lekin ye Mukhtalit ho gaye the isliye muhaddiseen ne uski wajah se unhe zaeef karar diya aur mere nazdeek tamam Aimmah ke aqwal ka hashil nateeza ye hai ki Shoaba , Sufiyan Soori , Jubair Bin Muawiyah, Jaydah Ayyub aur Hammad bin Zaid ki unse riwayat ikhtelaat se pahle ki hai aur un logon ke alawa jinhone bhi unse Riwayat kiya hai unhone ikhtelaat ke baad unse riwayat kiya hai


[مقدمة فتح الباري (ص: ٤٢٤)]

Doosri Illat :-

Iski Sanad me Mauzood Hammad Bin Shaoib Par Muhaddiseen ne Shakth Zarah ki hai.

1] Imam Bukhari Rahimaullah (Died 256H) ne kaha

فيه نظر

Isme Nazar Hai.

[التاريخ الكبير للبخاري (3/ ٢٥)]


Imam Bukhari Rahimaullah ka فيه نظر kahna Shakth zarah hai.


2] Imam Abu Jarah Ar-Raazi Rahimaullah ne kaha

"واهي الحديث، حدث عن أبي الزبير وغيره بمناكير“

Ye Shakth Kamzor Hadees wala hai usne Abu Jubair Wagairah se munkir riwayat bayan ki hai.

[الضعفاء لأبي زرعة الرازي (٤٣٦/٢)


Nemwi Hanafi Rahimahullah kahte hai

"قلت: حماد بن شعیب ضعیف

Main Kahta Hun Hammad Bin Shoaib Zaeef hai.


[آثار السنن (785)]
 

Top