01) Ulama Ki Shagirdi Ikhtiyaar Kiye Baghair Husool E Ilm!


Abul Husayn

Moderator
Staff member
Ulama Ki Shagirdi Ikhtiyaar Kiye Baghair Husool E Ilm!

Tehreer: Hafiz Alimuddin Yusuf Hafizahullahm

Romanised: Syed Ibraheem Salafi
____________________

Kya Ulama Ki Shagirdi Ikhtiyaar Kiye Baghair Husool E Ilm Mumkin Hai? (Hadees E Rasool Aur Aqwaal E Salaf Ki Roushni Mein)


Guzishtah chand saalo se aise kayi chaherey saamne aaye hain jin ka ilmi nasab ya tou majhool hai ya wo ilmi taur se be-nasab hain. Jinhon ne Ulama se doori ikhtiyaar kar ke kitaabo ko apna ustaad bana liya aur social media par apna musnad ifta o tadrees jama liya.

Kisi ustaad ki rehnumayi na hone ki wajah se unhon ne kayi ghotey khaaye, be-shumaar ghaltiyan kiyen, hatta ke b'az ne jurrat karte huwe Sahaba E Kiraam par taan o tashnee' ki. Yeh nateejah is liye saamne aaya kiyunke inhon ne ilm us tareeqe se nahi liya jo Nabi E Akram ﷺ aur Salaf e Saleheen ka tariqah tha.

Lehaza yeh kudh bhatke aur doosron ke bhatakne ka sabab bhi bane.

Main In-Sha-Allah zail ke sutoor mein, ustaad ke paas baith kar ilm haasil karne ki ahmiyat o zaroorat aur sirf kitaab se ilm leyne ki mazammat ke silsile mein Ahadees e Rasool aur Aqwaal e Salaf e Saleheen paish karunga.

PEHLI HADEES:

نضر الله عبدا سمع مقالتي فوعاها وحفظها ثم أداها إلى من لم يسمعها فرب حامل فقه غير فقيه ورب حامل فقه إلى من هو أفقه منه
Tarjuma: "Allah us bande ko tar o taazah rakhe jis ne meri baat suni, usey samahj kar phir yaad kiya aur un logon tak pohnchaaya jinhon ne usey suna na ho, basa awqaat aisa hota hai ke Hadees sunne waala ghair faqeeh hota hai aur basa awqaat hadees pohnchaane waale se ziyadah Hadees ka sunne waala ziyadah faqeeh hota hai."
(Musnad Ahmed: 16738, Mustadrak Haakim: 294, Sahih al-Jaame': 6766)

B'az hadees ke alfaaz hain: "سمع منا حديثا" aur b'az doosri hadees mein "سمع منا شيئا" ke alfaaz hain.

Mohtaram Qaarayeen! Nabi e Akram ﷺ ne ilm aur uski fazilat ke husool ke liye jo tariqah mutayin kiya usey is hadees se ba-khoobi samjhaa jaa sakta hai:

1) Nabi e Akram ﷺ se saabit shudah deeni ilm haasil karna.

Is ki daleel Nabi e Akram ﷺ ka yeh farmaan hai: "سمع منا حديثا" mujh se koi baat ya koi hadees suni.

2) Iska faham haasil karna.

Is ki daleel Nabi e Akram ﷺ ka yeh qaul hai: "فوعاها" phir usey samjhaa.

3) Samahjne ke b'ad usey hifz karna.

Is ki daleel Nabi e Akram ﷺ ka yeh farmaan hai: "وحفظها" aur usey yaad kiya.

4) Is ilm ki tableegh karna.

Is ki daleel Nabi e Akram ﷺ ka yeh farmaan hai: "ثم أداها إلى من لم يسمعها" phir usey un logon tak pohnchaayaa jinhon ne usey suna nahi.

Is hadees se do baaten saamne aayen:

1) Deen ki tableegh karne se pehle deen ka ilm haasil karna zaroori hai.

2) Ilm e Deen asaatizah se liya jaata hai, kiyunke kitaab padh kar aap qaari tou kehlaa sakte hain saami' nahi, jabke Hadees mein ilm ki samaa'at ka zikr hai, lehaaza sunne ke liye ustaad ke paas baithna laazim hai.

DOOSRI DALEEL:

إن الله لا يقبض العلم انتزاعا ينتزعه من العباد، ولكن يقبض العلم بقبض العلماء، حتى إذا لم يبق عالما اتخذ الناس رؤوسا جهالا، فسئلوا فأفتوا بغير علم، فضلوا وأضلوا
Tarjuma: "Allah Rabbul 'Alameen ilm ko logon ke seeno se salb kar ke nahi utthaaye ga, balke Ulama ko utthaa kar ke ilm utthaa ley ga, phir jab koi bhi aalim na bachega tou log jahilo ko sardaar bana len ge, phir unse sawaal kiya jaaye ga aur wo bila ilm jawaab dey kar kudh bhi gumrah honge aur doosron ko bhi gumrah karen ge."
(Sahih Bukhari: 100)

Wajah E Istedlaal: Agar sirf kitaabo se ilm ka husool mumkin hota tou Ulama ke uth jaane se ilm ke khatam hone ki baat na hoti. Kiyunke kitaaben tou Ulama ke uth jaane ke ba-wajood bhi maujood rahen gi, lekin chunke bagahir Ulama ke ilm ka husool na-mumkin amr hai is liye Ulama ka 'adm wujood ilm ke 'adm wujood ki daleel ban gayi.
(yeh 'azeem faaidah maine Fazilatush Shaykh Abdullah Naser Rahmani Hafizahullah ke bayaan se haasil kiya hai, Allah shayakh e mohtaram aur tamaam Ulama e Rabbaneen ki hifazat farmaaye. Aameen)

TEESRI DALEEL:

إن العلماء ورثة الأنبياء، إن الأنبياء لم يورثوا دينارا ولا درهما، إنما ورثوا العلم
Tarjuma: "Yaqeenan Ulama Anbiya ke waaris hain, yaqeenan Anbiya ne dinaar o dirham nahi chhora hai balke inhon ne ilm ki waraasat chhori hai."
(Sunan al-Tirmizi 2682) Allamah Albani Rahimahullah ne isey Sahih kaha hai.

Wajah E Istedlaal: Nabi e Akram ﷺ ne Anbiya ke ilm ka waaris Ulama ko banaya hai, kitaabo ko nahi. Lehaza is wiraasat ko haasil karne ke liye aap ko laaziman waaraseen ke paas jaana hoga.

Agar aap ne waaraseen ke paas aaye bagahir us wiraasat ke husool ki koshish ki hai tou aap ne ghalat tareeqah ikhtiyaar kiya hai.

CHHOHTI DALEEL:

إِنَّـمـا الـعـلمُ بِـالـتَّـعَـلُّـمِ
(Abu Qaisamah ne Kitabul Ilm mein ise zikr kiya, Allamah Albani Rahimahullah ne ise Sahih kaha hai, Sahih al-Jaame': 2328)

Hadees ki sharah mein ayimma e hadees ke aqwaal:

1) Hafiz Ibne Hajar al-Asqalaani Rahimahullah farmaate hain:

والمعنى ليس العلم المعتبر إلا المأخوذ من الأنبياء وورثتهم على سبيل التعلم
Tarjuma: "Is hadees ka ma'na yeh hai ke sirf wahi ilm mo'tabar hai jo Anbiya aur Waaraseen e Anbiya se, us tareeqe se liya gaya ho jo husool e ilm ka (buniyaadi) tareeqah hai."
(Fath ul Baari Li Ibne Hajar: 1/161. Kausar al-Ma'aani ad-Daraari Fi Kashfi Khabaaya Sahihul Bukhaari: 3/149)

2) Mula Ali Qari Rahimahullah farmaate hain:
وفيه إشارة إلى أن العلم بالتعلم وأنه يجب التجويد وأنه يؤخذ من أفواه المشايخ
Tarjuma: "Is hadees mein is baat ki taraf ishaarah hai ke ilm, seekhne se aata hai, aur ilm achchey se seekhna waajib hai aur yeh ke ilm, Ulama se sun kar liya jaaye ga."
(Mirqat al-Mafaatih Sharah Mishkaat al-Masabih: 4/1477)

3) Allamah Manawi farmaate hain:
أي ليس العلم المعتبر إلا المأخوذ عن الأنبياء وورثتهم على سبيل التعليم وتعلمه طلبه واكتسابه من أهله وأخذه عنهم حيث كانوا فلا علم إلا بتعلم من الشارع أو من ناب عنه منابه
Tarjuma: "Is hadees ka ma'na yeh hai ke sirf wahi ilm mo'tabar hai jo Anbiya aur Waaraseen e Anbiya se, us tareeqe se liya gaya ho jo usool e ilm ka (buniyaadi) tareeqah hai, aur isey seekhna ka tareeqah yeh hai ke talb e ilm mein niklaa jaaye aur usey Ulama se haasil kiya jaaye khawah wo kahin bhi hon lehaza ilm jab tak Nabi e Akram ﷺ ya unki niyaabat karne waale Ulama se na liya jaaye wo ilm nahi kehlaata."
(Faiz al-Qadeer: 2/569)

4) Imam San'ani Rahimahullah farmaate hain:
أي ليس العلم المعتبر إلا ما أخذ عن الرسل وورثته على سبيل التعلم فلا علم إلا بتعلم من الشارع وأخذه عنه
Tarjuma "Is hadees ka ma'na yeh hai ke sirf wahi ilm mo'tabar hai jo Anbiya aur Waaraseen e Anbiya se us tareeqe se liya gaya ho jo husool e ilm ka (buniyaadi) tareeqah hai, lehaza jab tak ilm seekh kar aur Nabi e Akram ﷺ se haasil na kiya jaaye wo ilm nahi kehlaata."
(al-Tanweer Sharah al-Jaame' us Sagheer: 4/185)

5) Imam Kirmaani Rahimahullah farmaate hain:
أي ليس العلم المعتبر إلا المأخوذ من الأنبياء وورثتهم علي سبيل التعلم
Tarjuma: "Ilm wahi mo'tabar hai jo Anbiya aur Waaraseen e Anbiya se bataur e taksab liya gaya ho."
(al-Kawakib ad-Darari Fi Sharah Sahih al-Bukhari: 2/30,31)

Yehi ma'na Sahabi e Rasool Abu Dardaa (Razi Allahu Anhu) ne bayaan kiya hai, chunanche farmaate hain ke:
لاَ تَكُونُ عَالِماً حَتَّى تَكُونَ مُتَعَلِّماً
"Jab tak tum shagirdi ikhtiyaar nahi kar letey us waqt tak tum aalim nahi ban sakte."
(Sunan ad-Daarmi)

Lehaza baghair shagirdi ikhtiyaar kiye koi bhi shakhs aalim nahi ban sakta....

-Hafiz Alimuddin Yusuf Hafizahullah

Jaamiah Islamiah Madinah E Munawwarah
M.A Fiqah E Islami
 
Last edited:
Thread starter Similar threads Forum Replies Date
Umar Asari Ta’leem o Ta’allum 0

Similar threads


Top