Shaikh Abdul Qadir Jilani Rahimahullah ki taraf mansoob kuch jhooti karaamaat


Umar Asari

Administrator
Staff member
Shaikh Abdul Qadir Jilani Rahimahullah ki taraf mansoob kuch jhooti karaamaat

Prepared By: Umar Asari

Jab Allah taala ke barguzeeda (muntakhab) ambiya aur Rasool ke hathon koi kharq e aadat (aadat ke khilaaf, fitrat ke khilaaf) kaam zahir ho to usey mo'jiza kaha jaata hai jaise ki Hazrat Musa Alaihissalam ki laathi ka azdaha ban jaana, Hazrat Ibrahim Alaihissalam ke liye aag ka thanda ho jaana, Nabi e Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ke liye chaand ka do tukde ho jaana waghera waghera. Aur jab kisi nek aur Saleh momin ke haathon koi khirq e aadat (aadat ke khilaaf, fitrat ke khilaaf) cheez zahir ho to usey karamat kaha jaata hai jaise ki Hazrat Maryam ke paas be-mousmi phalon ka aana (Surah No:3 Ayat No: 37), baaz sahaba ke liye andhere mein laathi ka roshan hona waghera. Albatta mo'jiza aur karamat ke hawaale se yeh baatein yaad rahen ke:
Mo'jiza Nabi ke haathon zahir hota hai aur karamat wali ke.

Jis tarah koi wali, kisi Nabi ki fazeelat ko nahi pahunch sakta, usi tarah kisi wali ki karamat kisi Nabi ke mo'jize ke masawi (baraabar) nahi ho sakti.
(An-Nubwwat Li-Ibn e Taimiyah, Page no: 109 to 116)

Mo'jiza ya karamat ke zuhoor mein ambiya aur auliya ka koi ikhtiyar nahi hota balki un ka sudoor Allah ke hukm aur marzi par mauqoof hota hai.
(Masalan dekhye Al-Israa: 90 to 93)

Nabi ke mo'jize se inkaar to kisi musalman ke liye hargiz jaaiz nahi lekin kisi wali ki karamat ko tasleem bhi kiya jaa sakta hai aur radd bhi.
(Dekhye Majmoo' ul Fataawa: 11/208)

Is baat mein koi shak nahi ke Shaikh Jilani Rahimahullah intihaayi mut-taqi, aalim ba-amal aur Allah ke wali they, is liye un ke haathon karamaat ka zuhoor koi na mumkin nahi aur yahi wajah hai ke un ki taraf senkdon karamatein mansoob hain. Lekin masla yeh hai ke un mein se aksar o beshtar aisi hain jinhein un ke aqeedatmandon ne bila daleel un ki taraf mansoob kar rakha hai. Shaikh ki un karaamaton ke hawaale se aam taur par logon mein do tarah ke tabqa e fikr paaye jaate hain. Ek to woh aqeedatmand jo Shaikh ki taraf mansoob har cheez ankhen band kar ke tasleem kar lete hain aur doosre woh jo aap ki kisi bhi karamat ko tasleem karne ke liye tayyar nahi. Jabki haqeeqat yeh hai ke Shaikh Jilani Allah ke wali they, is liye un ki koi bhi karamat jo saabit ho, tasleem karni chahiye. Albatta Shaikh ki karaamaton ke isbaat (hone) ya adm e isbaat (na hone) ke hawaale se mazeed guzarish yeh hai ke aksar o beshtar karaamatein sirf Shaikh ki taraf mansoob hain, haqeeqat mein un ka koi wujood nahi. Jaisa ke Hafiz Zahbi Rahimahullah likhte hain:
قلت لیس في کبار المشائخ من له أحوال وکرامات أکثر من الشیخ عبدالقادر لکن کثیرا منھا لا یصح وفي بعض ذلك أشیاء مستحیلة​
Tarjumah: Main kehta hun ke kibaar auliya o mashaikh mein se koi ek bhi aisa nahi guzra jis ki Shaikh Abdul Qadir Jilani se ziyadah karaamatein maroof hon, taham Shaikh Jilani Ki taraf jo karaamatein mansoob hain un mein se aksar o beshtar durust nahi balki un mein se baaz to namumkinaat mein se hain.
(Siyar: 20/450)

Kuch isi tarah ka tabsirah Hafiz Ibn e Kaseer ne apni Tareekh Al-bidayah Wan-Nihayah (12/252) mein kiya hai magar Hafiz Ibn e Kaseer ya Hafiz Zahbi ne yeh nishandahi nahi farmaayi ke Shaikh ki kon kon si karamaat ghair sahih aur kon si na-mumkin hain, taham is silsile mein kuch mazeed haqaaiq darj zail hain:
Shaikh Jilani ki karaamaton ko sab se pehle jis aqeedatmand ne kitaabi shakl mein jama kiya woh Ali bin Yousuf Ash-Shatnoofi hai jis ki wafaat ka Shaikh Jilani ki wafaat se taqreeban 150 saal ka faasla hai yani Shatnoofi 813 Hijri mein faut huwa. (Dekhye: Al-E'laam: 5/188, Kashaf uz Zunoon: 1/257) Jabki Shaikh ki wafaat 561 Hijri ko hue.
Shatnoofi Shaikh Jilani ki baaz karaamaton ko is tarah bayan karte hain ke jis se un ki Shaikh Jilani ke mu'aasir (ek hi zamaane ka) hone ka shak guzarta hai, iske alawah jin karaamaton ko Shatnoofi ne apni sanad se bayan karne ki koshish ki hai, un mein bhi aksar o beshtar sanadon mein za'eef rawi maujood hain. Isi liye mohaqqiqeen ne shatnoofi ki is taleef par zabardast tardeed o tanqeed ki hai. Example ke taur par chand muhaqqiqen ke aqwaal zikr kiye jaa rahe hain:
Hafiz Ibn e Hajar Shaikh Al-Kamaal Jafar ke hawaale se likhte hain:
ذکر فیه غرائب وعجائب وطعن الناس في کثیر من حکایات وأسانیدہ فیه​
Tarjumah: Shatnoofi ne is kitaab mein badi ajeeb o ghreeb baatein zikr ki hain aur logon ne is ki bayan kardah aksar hikaayaton aur sanadon par jirah ki hai.
(Ad-Durar Al-Kaminah: 3/142)

Ibn u Wardi apni tareekh mein likhte hain:
إن في البھجة أمور لا تصح ومبالغات في شان الشیخ عبدالقادر لا تلیق إلا بالربوبیة​
Tarjumah: Bahjat ul Asraar (Shatnoofi ki kitaab) mein aisi baatein payi jaati hain jinhein tasleem nahi kiya jaa sakta aur Shaikh Jilani ke baare mein baaz aise mubaligha aamez khayalat ka izhaar kiya gaya hai jo Allah Taala ke siwa aur kisi ki shaan ke laaiq nahi.
(Kashfuz Zunoon: 1/657)

Upar zikr kiye gaye aimma e muhqqiqeen ke iqtibasaat (quotes) hi se Bahjat ul Asraar aur us mein maujood Shaikh Jilani ki karaamaton ki asliyat wazeh ho jaati hai.

Shaikh Jilani ki karaamaton par doosri kitaab Qalaaid ul Jawaahir hai. Jise Mohammad bin yahya Al-Tazifi ne Shaikh ki wafaat se taqreeban 400 saal baad likha aur is ki isnaadi haisiyat Bahjat ul Asraar se bhi ziyada majrooh hai. Aksar o beshtar waqiyaat to Bahjat ul Asraar hi se makhooz hain jabki baaz waqiyaat to itne jhoote hain ke khud jhoot bhi un se sharmaa jaaye.

Shaikh ke halaat o karamaat se mutaliq sab se bunyadi aur jame' kitaabon ki sanadi haisiyat to khoob wazeh ho chuki hai aur ab yeh bhi wazeh rahe ke Shaikh ki jumla (poori) karamaat mein se 99% karaamaton ka talluq inhien do kitaabon se hai aur inhien do kitaabon ke 99% waqiyaat aur karaamaat sirf aur sirf jhoot hain. Jabki Shaikh ki karaamaton par mabni deegar kitaabon ki istinaadi haisiyat to in se bhi bahut buri hai balki jo izaafi karamatein in ke alawah kitaabon mein maujood hain, unhein hawaayi fire se ziyadah kuch nahi kaha jaa sakta.

Ab yahan yeh sawal baaqi hai ke agar Shaikh ki 99% karaamaton ki koi asliyat nahi to phir 1% karaamatein jinhein sahih kaha jaa sakta hai, woh kahan hain? To is silsile mein guzarish hai ke unhein tarajim ki kitaabon (masalan Siyar A'laam An-Nubaala, Al-Tabqaat ul Kubra waghera) mein se talaash kiya jaa sakta hai. Albatta un ki bhi sehat par qat'ee hukm lagaane se pehle un ki sanadon ki tehqeeq zaroori hai magar afsos ke Shaikh Jilani par likhne waalon mein se kisi ne bhi aaj tak is ki zahmat gawara nahin ki.

Ek post kisi ne bheji thi. Jis mein Shaikh Jilani Rahimahullah ki taraf mansoob kuch karaamaat thi. Neeche us post ki karaamaat aur unki haqeeqat bataayi jaa rahi hai:
Sab se pehle to yeh yaad rakhen ki Shaikh Abdul Qadir Jilani Gaus e azam nahi hain. Tafseel is link mein dekhen:

Post mein Shaikh Abdul Qadir Jilani Rahimahullah ke mutalliq jitni baatein bhi kahi gayi hain Shaikh Rahimahullah un se bari hain. Unho ne aisi baatein nahi kahi hain. Balki woh to shirk o bidaat ke khilaaf they.

Ab post ka jawaab:
kaun hai ghous-e-aazam ?
jisne jama masjid ke mimbar par khade hokar elaan kiya "قدمي هذه على رقبة كل ولي لله" !
Yani Tamaam Auliya ke gardanon par mera qadam hai !

✔Jawaab: Yeh baat jhoot hai, aur Shaikh Rahimahullah se aisi baat sabit nahi. Iske ghalat hone ke reasons:
❶ Bayaan karne waalon ki tauseeq nahi, woh mashkook log hain. Mazeed yeh ki yeh baat “Bahjat ul Asraar” ke hawaale se hai. Aur Bahjat ul Asaar ke baare mein upar bayaan kiya jaa chuka hai ki is kitaab mein kitna jhoot hai.
❷ Yeh baat khud Shaikh ki taleem ke khilaaf hai. Woh to kehte hain ki apne nafs ke liye badaayi na talab karo.
Allah Taala ka farmaan hai:
تِلْكَ الدَّارُ الْآخِرَةُ نَجْعَلُهَا لِلَّذِينَ لَا يُرِيدُونَ عُلُوًّا فِي الْأَرْضِ وَلَا فَسَادًا ۚ وَالْعَاقِبَةُ لِلْمُتَّقِينَ​
Tarjumah: Aakhirat ka yeh bhala ghar hum un hi ke liye muqarrar kar dete hain jo zameen mein onchaayi badaayi aur fakhr nahi karte na fasad ki chahat rakhte hain. Perhezgaron ke liye nihayat hi umdaa anjaam hai.
(Surah No: 28 Ayat No: 83)

❸ Is mein doosron ke liye tazleel aur ihaanat hai

kaun hai ghous-e-aazam ?jisne baarah saal pehle doobi huwi kashti baraatiyon ke saath zinda nikaali wo bhi sirf ek pal me.
✔Jawaab: Astaghfirullah! Allah Taala to kehta hai ki zindagi aur maut Allah ke haath mein hai:
تُولِجُ اللَّيْلَ فِي الْنَّهَارِ وَتُولِجُ النَّهَارَ فِي اللَّيْلِ وَتُخْرِجُ الْحَيَّ مِنَ الْمَيِّتِ وَتُخْرِجُ الَمَيَّتَ مِنَ الْحَيِّ وَتَرْزُقُ مَن تَشَاء بِغَيْرِ حِسَابٍ​
Tarjumah: Tu hi raat ko din mein dakhil karta hai aur din ko raat mein le jaata hai tu hi be-jaan se jaandar paida karta hai aur tu jaandar se be-jaan paida karta hai tu hi hai ke jise chahta hai be-shumar rozi deta hai.
(Surah No: 3 Ayat No: 27)

kaun hai ghous-e-aazam? Jinke huzoor e paak me chor choriki niyyat se aaya to wo waqt ka qutub bangaya.
✔Jawaab: Yeh to Allah ki sifat
hai ki woh dilon ke bhed tak ko jaanta hai. Wohi gaib ki ilm rakhta hai:
وَهُوَ عَلِيمٌ بِذَاتِ الصُّدُورِ​
Tarjumah: Aur seenoon ke bhedon ka woh poora aalim hai.
(Surah No: 57 Ayat No: 6)

kaun hai ghous-e-aazam ?
Jinhone ek hazaar saal puraani khabr ko thokar maar kar murde ko zinda kardiya.

✔Jawaab: Iska jawaab upar diya jaa chuka hai ki zindagi aur maut sirf Allah Taala ke hi ikhtiyaar me Hai.

kaun hai ghous-e-aazam ?
Jinhone apne dhobi ko hukm diya ki qabr me jab munkar nakeer sawaal pooche to keh dena ghous e aazam ka dhobi hun bakhsha jaayega.

✔Jawaab: Astaghfirullah! Kya yeh shariyat saazi nahi??? Kya yeh Shaikh Rahimahullah par bohtaan nahi??? Zara dekhen Hadees kya keh rahi hai, qabr mein kya sawaal o jawaab honge yeh Hadees hamein bata rahi hai:
Mafhoom e Hadees: (sawaal hota hai) Tumhaara Rabb (ma’bood) kaun hai? to woh kehta hai, mera Rabb (ma’bood) Allah hai, phir woh dono us se poochte hain: Tumhaara deen kya hai ? Woh kehta hai: Mera deen islam hai, phir poochte hain: Yeh kaun hai jo tum mein bheja gaya tha? Woh kehta hai: Woh Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam hain, phir woh dono us se kehte hain: Tumhein yeh kahaan se ma’loom huwa? Woh kehta hai: Main ne Allah ki kitaab padhi aur us par Imaan laaya aur us ko sach samjha.
(Abu Dawood: 4753)

kaun hai ghous-e-aazam ?
Jinhone maa ke pet me 11 paareh hifz kar liye.

✔Jawaab: Yeh baat bhi Quran ke khilaaf hai. Allah to kehta hai ki jab koi paida hota hai to woh kuch nahi jaanta:
وَاللَّهُ أَخْرَجَكُم مِّن بُطُونِ أُمَّهَاتِكُمْ لَا تَعْلَمُونَ شَيْئًا وَجَعَلَ لَكُمُ السَّمْعَ وَالْأَبْصَارَ وَالْأَفْئِدَةَ ۙ لَعَلَّكُمْ تَشْكُرُونَ​
Tarjumah: Allah Taala ne tumhein tumhaari maaon ke peton se nikaala hai ke us waqt tum kuch bhi nahi jaante they usi ne tumhaare kaan aur aankhen aur dil banaye ki tum shukr-guzari karo.
(Surah No: 16 Ayat No: 78)

kaun hai ghous-e-aazam ?
Jo apne mureedon ke liye irshaad farmaate hai jab tak mera ek ek mureed jannat me nahi chala jaaye tab tak Abdul Qaadir jannat me nahi jaayega.

✔Jawaab: Yeh baat bhi shariyat ke mukhaalif hai. Har shakhs ko uske amal ke mutabiq badla diya jaayega. Is par bahut dalaail hain. Ek dekh len, Allah Taala farmaata hai:
وَنُودُوا أَن تِلْكُمُ الْجَنَّةُ أُورِثْتُمُوهَا بِمَا كُنتُمْ تَعْمَلُونَ​
Tarjumah: Aur un se pukaar kar kaha jaayega is jannat ke tum waaris banaye gaye ho apne aamaal ke badle.
(Surah No: 7 Ayat No: 43)

Mazeed Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya:
يَا فَاطِمَةُ بِنْتَ رَسُولِ اللهِ، سَلِينِي بِمَا شِئْتِ لَا أُغْنِي عَنْكِ مِنَ اللهِ شَيْئًا​
Tarjumah: Aye Allah ke Rasool ke beti Fatima! Mujh se (mere maal mein se) jo chaaho maang lo, main Allah ke (faisle ke) saamne tumhaare kuch kaam nahi aa sakta.
(Sahih Muslim: 206)

Zara ghaur karen. Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam apni beti ke baare mein kya farmaa rahe hain. Aur Shaikh Jilani Rahimahullah ki taraf mansoob jhooti baat mein kya hai? Qayamat ke din to nafsi nafsi ka alam hoga. Saare Ambiya sifaarish karne se inkaar kar denge. To Shaikh Jilani Rahimahullah to ek ummati hain.

kaun hai ghous-e-aazam ?Jinhone ye farmaaya ke main mashriq me rahun aur mera mureed maghrib me mujhe pukaarega to main fouran madad ke liye aajaaunga..
✔Jawaab: Yeh sifat khaalis Allah ki hai. Sirf wohi hai jo arsh par mustawi ho kar poori makhlooq ke halaat se waaqif hai. Unki pukaar sun raha hai.
Allah Taala ka irshaad hai:
أَمَّنْ يُجِيبُ الْمُضْطَرَّ إِذَا دَعَاهُ وَيَكْشِفُ السُّوءَ وَيَجْعَلُكُمْ خُلَفَاءَ الْأَرْضِ ۗ أَإِلَٰهٌ مَعَ اللَّهِ ۚ قَلِيلًا مَا تَذَكَّرُونَ​
Tarjumah: Bekas ki pukaar ko jab ke woh pukaare, kaun qabool kar ke sakhti ko door kar deta hai? Aur tumhein zameen ka khaleefa banaata hai, kya Allah ke saath aur ma'bood hai??? Tum bahut kam ibrat o naseehat hasil karte ho
(Surah No: 27 Ayat No: 62)

Museebat mein Allah ke siwa kisi Nabi ya kisi Allah ke wali ko pukaarna, un se faryaad karna un ki qawli bandagi karna yeh sab shirk hain.
Mazeed Allah Taala ka farmaan hai:
وَالَّذِينَ تَدْعُونَ مِنْ دُونِهِ لَا يَسْتَطِيعُونَ نَصْرَكُمْ وَلَا أَنْفُسَهُمْ يَنْصُرُونَ​
Tarjumah: Aur jin ko tum Allah ke siwa pukaarte ho woh tumhari madad ki taaqat nahi rakhte, balki woh to apni madad bhi nahi kar sakte.
(Surah No: 7 Ayat No: 197)

kaun hai ghous-e-aazam?Jinhone islaam ko zinda kiya.
✔Jawaab: Yaqeenan Shaikh Jilani Rahimahullah ne bidaat o khuraafat aur shirk ka radd kiya hai. Islam ki taleemaat ko aam kiya hai. Lekin unki taleemaat se unke aqeedatmand hi muh pher lete hain. Agar koi shakhs unki taleemaat (jo unhon ne Quran o Hadees ki roshni mein bataayi hain) ko padhega to woh yaqeenan shirk o bidaat se rishta tod kar Quran o Hadees ki taraf rujoo karega.

Kaun hai ghous-e-aazam ?Jinhone farmaaya jo mujhe apna peer maanega wo mera mureed hai.
kaun hai ghous-e-aazam ?Jinhone farmaaya main insaanon ka hi nahi balki jinnaton ka bhi peer hun.

✔Jawaab: In dono aqwaal se bhi Shaikh Rahimahullah bari hain. Unhon ne aisi koi baat nahi kahi. Aur rahi baat peeri mureedi ki to yeh ek lamba topic hai.

kaun hai ghous-e-aazam ?Jinhone farmaaya saare zamaane par meri nazar hai. saare aalam ko main aise dekhta hun jaise mere haath me raayi ka daana ho.
✔Jawaab: Yeh bhi manghadat baat hai. Shaikh Rahimahullah ne aisi koi baat nahi ki. Aur upar yeh bayaan kiya jaa chuka hai ki yeh sifat Allah ki hai.

kaun hai ghous-e-aazam ?Jinka naam agar koi saamaan par likh diya jaaye to wo saamaan kabhi chori nahi hota.
✔Jawaab: Yeh baat bhi jhoot hai. Agar aisi kuch baat hoti to Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ke baare mein aisi baat waarid hoti.

kaun hai ghous-e-aazam?Jinhone farmaaya waqt mujhe salaam karta hai tab waqt ke hisaab se aage bhadta hai.
✔Jawaab: Yeh baat bhi Quran o Hadees ke mukhalif hai. Allah Taala farmaata hai:
يُولِجُ اللَّيْلَ فِي النَّهَارِ وَيُولِجُ النَّهَارَ فِي اللَّيْلِ وَسَخَّرَ الشَّمْسَ وَالْقَمَرَ كُلٌّ يَجْرِي لِأَجَلٍ مُّسَمًّى ۚ ذَٰلِكُمُ اللَّهُ رَبُّكُمْ لَهُ الْمُلْكُ ۚ وَالَّذِينَ تَدْعُونَ مِن دُونِهِ مَا يَمْلِكُونَ مِن قِطْمِيرٍ​
Tarjumah: Woh raat ko din mein aur din ko raat mein dakhil karta hai aur aftab aur mahtab ko usi ne kaam mein laga diya hai. Har ek me'aad e mu'ayyan per chal raha hai. Yahi hai Allah tum sab ka paalne waala usi ki saltanat hai. Jinhein tum us ke siwa pukaar rahe ho woh to khajoor ki guthli ke chilke ke bhi malik nahi.
(Surah No: 35 Ayat No: 13)

✯Aakhri Baat:✯
Shaikh Jilani ki taraf mansoob in karamaat mein se ek bhi sabit nahi hai. In mein shirk bhara pada hai. Aur Shaikh Jilani ki taleemat in karaamaat ke jhoota hone ke liye kaafi hain. In mein se har ek jhooti karamat ke radd mein Shaikh Jilani ka qaul maujood hai.
 
Top