Shaikh ul Islam Ibn e Taimiyah Rahimahullah aur Ta’zeem e Rasool ﷺ


Umar Asari

Administrator
Staff member
Shaikh ul Islam Ibn e Taimiyah Rahimahullah aur Ta’zeem e Rasool ﷺ

Romanised by: Umar Asari

Allama Umar bin Ali Bazzar Rahimahullah (Died on: 749 Hijri) Shaikh ul Islam Ibn e Taimiyah Rahimahullah ke baare mein likhte hain:
وكان لا يذكر رسول الله صلى الله عليه وسلم قط إلا ويصلي ويسلم عليه، ولا والله، ما رأيت أحدا أشد تعظيما لرسول الله صلى الله عليه وسلم، ولا أحرص على اتباعه، ونصر ما جاء به منه، حتى إذا كان ورد شيئا من حديثه فى مسالة، ويري انه لم ينسخه شيء غيره من حديثه، يعمل به، ويقضي، ويفتي بمقتضاه، ولا يلتفت إلى قول غيره من المخلوقين، كائنا من كان، وقال رضي الله عنه: كل قائل إنما يحتج لقوله، لا به، إلا الله ورسوله​
Tarjumah: Aap Rahimahullah jab bhi Rasoolullah ﷺ ka tazkira farmate to durood o salaam padhte. Allah ki qasam! Main ne aap se badh kar Rasoolullah ﷺ ki ta’zeem karne waala, muttabe’ e sunnat (sunnat ki ittibaa’ karne waala) aur Rasool ﷺ ki ta’leemaat ki himayat o nusrat par harees koi nahi dekha. Haalat yeh thi ke Jab Rasool e Akram ﷺ ki koi ghair mansookh Hadees aa jaati to us par amal karte aur usi ke mutabiq faisla aur fatwa dete, Aap ﷺ ke alawah makhlooq mein se kisi ke bhi qaul ki taraf tawajjo na farmate, chaahe woh koi bhi hota, Aap farmaya karte they: Allah aur us ke Rasool ﷺ ke alawah har shakhs ke qaul ki daleel talab ki jaayegi, usey daleel nahi banaya jaayega.
[Al-A’lam ul ’Aliyyah Fi Manaqib Shaikh ul Islam Ibn Taimiyah, Page No: 29]
 
Top