SHARIYAT-E-ISLAMIYAH ME 'SHATIM-E-RASOOL' KI SAZAA


SHARIYAT-E-ISLAMIYAH ME 'SHATIM-E-RASOOL KI SAZAA
TAHREER : MUHADDIS-UL-ASR HAFIZ ZUBAIR ALI ZAI HAFIZAHULLAH
(Maah Naamah AL-HADIS Hazro, Shurmaarah No.83, page:50)
Roman Script : Abu Umaimah Owais

Al-Hamdulillahi Rabbil Aalameen Wassalato Wasallamu Ala Rasoolihil Kareem Wa Ala Aalihi Wa As'habihi Ajmayeen, Amma Ba'ad:

Syidina Abdullah Ibn Abbas raziallahu-anhuma se ek riwayat ka khulasah hai ke ek SAHABI ne apni laundi(jisn se unki aulaad bhi thi) ko NABIYE KAREEM sallallahu alaihi wasallam ki gustaakhi par qatal kardiya tha to NABIYE KAREEM sallallahu alaihi wasallam ne farmaya:
((أَلاَ اشْهَدُوا أَنَّ دَمَهَا هَدَرٌ))
"Suno (aur) gawaah raho! be shak is (aurat) ka khoon zaaye(bekaar) hogaya." (Suan Abi Dawod, Kitab al-Hudod, Baab: NABIYE KAREEM sallallahu alaihi wasallam ko gaali dene wale ka hukom, Hadis No.4361, aur is ki sanad SAHIH hai)

In riwayaat aur digar dalaayil se saabit hai ke jo shakhs SYIDINA MUHAMMED RASOOLULLAH sallallahu alaihi wasallam ki shaan aqdas me gustaakhi kare yani AAP sallallahu alaihi wasallam ko gaali de(aur ye baat wazeh dalil se saabit hohai) to shariat islamiyah me aise shakhs ko qatal kiya jaiga, chahe wo pahle musalmaan bana howa tha yaa sareeh kaafir waghair Muslim thaa.

Syidina Abu Barzah Aslami raziallahu-anhu se riwayat hai k eek aadmi ne (syidina) Abu Bakar Al-Siddiq razillahu-anhu ke bare me ghaleez alfaaz istemaal kiye (yani unki gustakhi ki) to unho (Syidina Abu Barzah Aslami raziallahu-anhu) ne kaha: kiya mai is aadme ki garden no kaat don? Syidina Abu Bakar al-Siddiq raziallahu-anhu ne inhe sakhti se mana farmaya:
((مَا هِيَ لِأَحَدٍ بَعْدَ رَسُولِ اللهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ))
"RASOOLULLAH sallallahu alaihi wasallam ke ba'ad kisi ko ye haq haasil nahi hai."(Musnad Ahmed:1/9, Hadis No.54. Suan Al-Nasai:7/108, Haids No.4076, aur is ki sanad SAHIH hai)

Jo shakhs NABIYE KAREEM sallallahu alaihi wasallam ko gaali de, is ke bare me Ahle Sunnat ke mash'hor Imam Ahmed Bin Hanball rahimahullah ne farmaaya:
((تَضرِب عِنُقِه))
"Is ki gardfan maardi jaye yani usey qatal kardiay jaye. Phir unho ne mazkorah baala hadis e Abi Barzah raziallahu-anhu se istidlaal kiya." (DEKHIYE: Masayil Abdullah Bin Ahmed Bin Hanbal:3/1292-1293, Fiqrah No.1794,1795)

Shaikh-ul-Islam Hafiz Ibn Taimiyah rahimahuallah ne is mas'ale

par ek azeem o shaan kitaab likhi hai:
((الصارم المسلول على شاتم الرسول))
((As-Sarim al-Maslul 'ala Shatim ar-Rasool))"
" The Drawn Sword against those who insult the Messenger."




 
Thread starter Similar threads Forum Replies Date
S Emaan 0

Similar threads


Top