Ajeeb Log Hain !


Ibnatu Ali

Member
Ajeeb Log Hain !!

Tehreer: Umar Asari

Social Media Deen Ko Phailaney Ka Ek Bahot Hi Behtareen Zariya Hai. Lekin Kya Share Kiya Jaye Log Samjhtey Hi Nahi. Share Karney Sey Pahley Log Soochtey Bhi Nahi Ki Kya Ye Haqeeqat Mein Sahih Baat Hai Ki Nahi. Bus Log Dekhtey Hain Ki Nabi e Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Taraf Baat Ki Nisbat Ki Gai Hai To Sahih Hogi Or Usko Share Kar Detey Hain.

Ye Afsoos Ka Maqam Hai Log Samjhtey Hain Ki Ye Achchi Baat Hai Or Share Kar Detey Hain Wo Ye Nahi Dekhtey Ki Hum Jo Baat Share Kar Rahey Hain Kya Wo Haqeeqat Mein Hamarey Nabi e Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Ka Farmaan Hai?

Kya Hum Anjaaney Mein Koi Galat Baat To Share Nahi Kar Rahey Hain?
Wo Bilkul Bhi Nahi Soochtey.

Kuch Din Pahley Ek Photo Nazar Sey Guzra Jismein Surah Yaseen Key Baarey Mein Bataya Gaya Tha Ki Jis Ne Din Ki Ibtidaa (Shuru) Mein Surah Yaaseen Ki Tilawat Ki Uski Zarooriyyat Poori Kar Di Jaati Hain. Fir Uskey Baad Ye Bhi Likha Tha Ki “Is Baat Ko Share Karney Sey Aapko Shaytaan Rokeyga”.

Astaghfirullah! Ajeeb Log Hain Bina Soochey Samjhey Kaisi Kaisi Baatein Bol Detey Hain. Unko Khud Nahi Pata Hota Wo Bol Kya Rahey Hain.

Ab Aaiye Hum Dekhtey Hain Ki Hamarey Nabi e Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Kya Farmatey Hain:

قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم ‏ "‏ كَفَى بِالْمَرْءِ كَذِبًا أَنْ يُحَدِّثَ بِكُلِّ مَا سَمِعَ ‏" ‏.‏​

Tarjumah: Nabi e Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Ney Farmaya: Ke Aadmi Key Jhoota Honey Key Liye Ye Baat Kaafi Hai Ke Wo Har Suni Sunai Baat Ko Aagey Bayan Kar Dey.
(Sahih Muslim: 5)

Zara Gaur Kijye Ki Nabi e Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Ney Kya Farmaya or Us Photo Mein Kya Baat Kahi Gai Thi?

Ab Aap Hi Bataye Ki Hum Kisi Bhi Baat Ko Aisey Hi Share Kiun Kar Den Jab Ki Nabi e Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Hamein Issey Roktey Hain?

Ab Koi Ye Kahey Ki Hamein Kaisey Pata Chalega Ki Ye Sahih Hai Ya Galat To Mein Bata Dun Ki Aap Uska Reference Dekhen or Fir Uskey Baad Share Karen.

Ab Aayen Zara Us Riwayat Ko Dekh Len Jisko Photo Ki Shakl Mein Share Kiya Gaya Tha.

بلغَني أنَّ رسولَ اللَّهِ - صلَّى اللَّهُ علَيهِ وسلَّمَ - قالَ : مَن قرأَ يس في صدرِ النَّهارِ ؛ قُضِيَت حوائجُهُ​


Tarjumah: Ata Bin Abi Ribaah Rahimahullah Farmatey Hain Ki Mujh Tak Ye Baat Pahunchi Hai Ki Nabi e Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya: Jis Ney Din Ki Ibtida Mein Surah Yaaseen Tilawat Ki Uski Zarooratein Poori Kar Di Jaati Hain.
(Sunan Darmi: 2/457, Kashf al Khafa: 2/390)

Ye Riwayat Zaeef Hai. Sunan Darmi Ke Muhaqqiq Ne Isko Zaeef Kaha Hai.

Ab Aap Khud Soochye Ki Bina Soochey Samjhey Hum Kisi Baat Ko Share Kiun Karen?

Kabhi Kabhar To Aisa Hota Hai Ki Reference Bukhari or Muslim Ka Hota Hai Lekin Wo Hadees Hi Bukhari or Muslim Mein Nahi Hoti Hai.

Isliye Aap Sab Sey Ye Guzarish Hai Ki Plz Sooch Samjh Kar Share Karen or Authentic Groups or Websites Sey Ahadees Wagerah Copy Karen.

Allah Rabbul Aalameen Ham Sab Ko Sahih Samjh Ata Farmaye.
Aameen.
 
Last edited:
Thread starter Similar threads Forum Replies Date
Umar Asari Islaah e Mu’aashra 0

Similar threads


Top