Ibnatu Ali

Member
➭'IBAADATON MEIN RIYAKAARI WA DIKHLAAWA.

بسم الله الرحمن الرحيم​

'Amal-e-saleh ki sharton mein se hi ye bhi hai ke woh har tarah ke dikhlaawe se khaali aur sunnat-e-nabawiya ﷺ ke mutaabiq ho, aur Jo doosrey logon ko dikhaaney ke liye 'ibaadat kartey hain woh mushrik hain aur ye shirk-e-Asghar hai aur unka ye 'amal bekaar ho jaayega jis tarah ke kisi shakhs ne logon ko dikhaaney ke liye namaaz padhi toh uss ke baarey mein Allah ﷻ ka irshaad hai:
اِنَّ الۡمُنٰفِقِيۡنَ يُخٰدِعُوۡنَ اللّٰهَ وَهُوَ خَادِعُوْهُمۡ ۚ وَاِذَا قَامُوۡۤا اِلَى الصَّلٰوةِ قَامُوۡا كُسَالٰى ۙ يُرَآءُوۡنَ النَّاسَ وَلَا يَذۡكُرُوۡنَ اللّٰهَ اِلَّا قَلِيۡلًا۝​
“Beshak munaafiq Allah ﷻ se chaal baaziyan kar rahey hain aur woh unhein iss chaal baazi ka badla deney waala hai, aur jab namaaz ko khadey hotey hain toh badi susti ki haalat mein khadey hotey hain, sirf logon ko dikhaatey hain aur yaad-e-ilaahi toh yunhi si baraay-e-naam kartey hain".
❲Surah An-Nisa Aayat: 142❳

Isi tarah agar koi naiki iss liye karey taake uski khabar phailey aur log uskey baarey mein sunein aur baatein karein toh woh shakhs shirk mein mubtela hogaya aur jis ne iss tarah ka kaam kiya uss shakhs ke liye sakht wa'eed aur 'azaab hai jaisa ke hadees e Ibn e Abbas (razi Allahu 'Anhuma) mein mazkoor hai ke Nabi ﷺ ne farmaaya:
من سمَّعَ سمَّعَ الله به، ومن يُرائي يرائي الله به​
"Jo shakhs logon ko sunaane ke liye 'amal karega Allah ﷻ uskey 'ayeb doosron ko sunaaega, aur Jo shakhs logon ko dikhaaney ke liye koi kaam karega toh Allah ﷻ uss shakhs ki asliyat sab ko dikhaaega."
❲Sahih Muslim: 4/228❳

Aur jis shakhs ne koi 'ibaadat ki jis mein Allah aur saath hi doosrey logon ka bhi iraadah kiya toh uska woh 'amal bekaar ho jaaega jaisa ke hadees-e-qudsi mein zikr aayaa hai:
أنا أغنى الشركاء عن الشرك ، من عمل عملا أشرك فيه معي غيري تركته وشركه​
“Main shirk se be-parwah hoon ya'ni mera koi shareek nahin hai [iss liye agar koi
kaam khaas meri razaa mandi ke liye karey toh main qubool kar leta hoon] agar merey saath kisi doosrey ko bhi shareek karey toh main [be-parwah hoon main uss kaam se koi hissa nahin leta balke] saara usi ke sar dey maarta hoon jis ko merey saath shareek kiya gaya tha."
❲Sahih Muslim: 2985❳
━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━
┃Kitaab: Muharramaat ❨Haraam Ashya wa Umoor❩
Taleef: Fazilath Al Shaykh Mohammad Saalih Al-Munajjid [Hafidhahullah]┃
 
Thread starter Similar threads Forum Replies Date
Israr Hussain Al-Wahhabi Bid’aat 0
Shona shaikh Bid’aat 2

Similar threads


Top