Umar Asari

Administrator
Staff member
Zameen girwi mein rakhna aur us se faidah uthaana kaisa hai?

✵Sawaal:✵
assalamalaikum warahmatullahi wabarkatahu.
Shaikh mera sawal hai kya kisi zarooratmand ko hum paisa dekar uski zameen girwi rakh sakten hain.agar wo admi bolta hai hamen paisa de do aur meri zameen char shal ap apne pas rakho iska kagaz bhi banwalo.jab mai char sal ke bad apko paisa dunga to ap meri zamin wapis kar dena.kya aisa karna islam me jayez hai.
Zajak allah khair

✯Jawaab:✯
Walaikum Assalam Wa Rehmatullahi Wabarakatuhu

Kisi se koi cheez khareedne ya qarz lene par zamaanat ke taur par koi cheez us ke paas rakhne ko girwi ya rahen kaha jaata hai. Jab qeemat ya qarz ada kar diye jaate hain to uski cheez usey waapas mil jaati hai. Jaaiz maqsad ke liye koi cheez girwi rakhne mein koi kharabi ya buraayi nahi lekin girwi rakhi hui cheez se faida uthaana na-jaaiz aur haraam hai, kiunki qarz ya udhaar qeemat ke badle koi bhi faida uthaana sood hai. Jaisa ke Abu Burdah se riwayat hai, woh kehte hain:
أَتَيْتُ الْمَدِينَةَ فَلَقِيتُ عَبْدَ اللَّهِ بْنَ سَلَامٍ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ، فَقَالَ: أَلَا تَجِيءُ فَأُطْعِمَكَ سَوِيقًا، وَتَمْرًا، وَتَدْخُلَ فِي بَيْتٍ. ثُمَّ قَالَ: إِنَّكَ بِأَرْضٍ الرِّبَا بِهَا فَاشٍ؛ إِذَا كَانَ لَكَ عَلَى رَجُلٍ حَقٌّ فَأَهْدَى إِلَيْكَ حِمْلَ تِبْنٍ، أَوْ حِمْلَ شَعِيرٍ، أَوْ حِمْلَ قَتٍّ فَلَا تَأْخُذْهُ فَإِنَّهُ رِبًا​
“Main Madinah Munawwarah haazir huwa to main ne Abdullah bin Salam Radhiallahu Anhu se mulaqaat ki, unhon ne kaha, aao tumhein main sattu aur khajoor khilaaunga aur tum ek (ba-azmat) makaan mein daakhil hoge (ke Rasoolullah ﷺ bhi us mein tashreef le gaye the) phir unhon ne farmaaya: Tumhaara qiyaam ek aise mulk mein hai jahan soodi mu’aamlaat bahut aam hain agar tumhaara kisi shakhs par koi haqq ho aur phir woh tumhein ek tinke ya jaw ke ek daane ya ek ghaas ke barabar bhi hadya de to use qabool na karna kiunki woh bhi sood hai.”
(Sahih Bukhari: 3814)

Is Hadees se wazeh taur par ma’loom hota hai ke qarz ke badle koi bhi faida uthaana sood hai. Haan girwi rakhi hui cheez par kharch karna padta ho to kharch ke badle thoda bahut faida uthaaya jaa sakta hai. Misaal ke taur par jis se qarz le rahe hain us ke paas kisi ne zamaanat ke taur par koi jaanwar waghera girwi rakha ho to usey ghaas ya chaarah dene ke badle us par sawaari ki jaa sakti hai ya us ka doodh piya jaa sakta hai. Jaisa ke ek Hadees mein hai:
الرَّهْنُ يُرْكَبُ بِنَفَقَتِهِ إِذَا كَانَ مَرْهُونًا، وَلَبَنُ الدَّرِّ يُشْرَبُ بِنَفَقَتِهِ إِذَا كَانَ مَرْهُونًا، وَعَلَى الَّذِي يَرْكَبُ وَيَشْرَبُ النَّفَقَةُ​
“Girwi jaanwar par us ke kharch ke badle sawaari ki jaaye. Isi tarah doodh waale jaanwar ka jab woh girwi ho to kharch ke badle us ka doodh piya jaaye aur jo koi sawaari kare ya doodh piye wahi us ka kharch uthaaye.”
(Sahih Bukhari: 2512)

Hafiz Ibn-e-Hajar Rahimahullah is ki wazahat karte huwe likhte hain:
“Agar kisi ke paas girwi mein rakhi hui bakri hai to chaare ki qeemat ke mutabiq us ka doodh peene mein koi harj nahi, qeemat se ziyadah doodh haasil karna sood hai.”
(Fatah-ul-Baari: 5/178)

Wallahu A’lam Bis-Sawaab!
 
Top