Social Media Aur Gunehgaar Aankhe


Social Media Aur Gunehgaar Aankhe

Shaikh Maqbool Ahmad Salafi Hafizahullaah
Da'ai Islamic Dawah Center Taif(Saudi Arabia)
Romanised: Khadija Muhammadi

Allaah Ne Insaano Ke Liye Duniya Me Sekdo Qisam Ki Ne'mate Muhaiyya Farmaai Hai Jin Ko Ahata Shumaar Me Laana Mahaal Hai,Khud Insaan Ka Wajood Uski Ek Azeem Kaarigari Aur Besh Baha Ne'mat Hai. Usne Insaani Jisam Ke Andar Hi Na Jane Kitni Ne'mate Rakhi Hai,Unme Se Chand Ka Ham Ahsaas To Kar Sakte Hai Magar Shumaar Karna Itna Hi Mushkil Hai Jitna Ke Saari Ne'mato Ka Idraak Aur Ahsaas Karna. Ek Jumla Me Allaah Ne Apni Ne'mato Ke Bare Me Insaano Ko Batla Diya Ke Agar Tum Uski Ne'mato Ko Ginna Chaaho To Gin Nahi Sakte Ho.
Ne'mato Ke Idraak Aur Ahsaas Ka Ek Naadir Waqia Saudi Arab Ki Daarul Hukoomat Riyaaz Me Paish Aaya Aur Us Qisam Ke Waqiaat Duniya Me Paish Aate Hon Ge,Waqia Aysa Hai Ke Ek 78 Year Arbi Shakhas Ko Ek Hospital Ne 24 Hours Ghante Ka 600 Riyal Ka Bill Paish Kiya,Woh Buzurg Bill Dekh Kar Rone Laga,Logo Ne Wajah Puchi To Unhone Batlaya Ke Sirf 24 Hours Oxygen Ka 600 Riyal Dena Padh Raha Hai Jab Ke Me Ne 78 Year Se Allaah Ki Taaza Hawa Me Sans Le Raha Hu Aur Koi Bill Nahi Ada Kiya,Kya Tumhe Ma'loom Hai Ke Me Allaah Ka Kitna Maqrooz Hu?.....
SUBHANALLAAH.
Allaah Ne Hame Ek Khubsurat Sanche Me Dhaal Kar Mukhtalif Ne'mato Se Is Sanche Ko Muzaiyan Kiya,Un Ne'mato Me Ek Aham Tareen Aankho Ki Ne'mat Hai,Isi Aankh Se Duniya Ki Rangeeni ,Uski Latafat Aur Har Chiz Ka Husan Aur Jamaal Dekhte Hai Aur Jo Un Aankho Se Mehroom Ho Jaae Puri Duniya Uske Samne Taarik Ban Jaati Hai Yaha Tak Ke Uska Apna Ghar, Apna Jisam Aur Apni Jaaedaad Sab Par Andhera Chha Jata Hai Is Pase Manzar Me Gaur Kiya Jaae To Aankh Waalo Ke Liye Badi Ibrat Aur Nasihat Hai Magar Kam Hi Log Hai Jo Allaah Ki Nishaniyo Me Gaur Aur Fikar Aur Ibrat Aur Nasihat Talash Karte Hai.
ومن آياته خلق السماوات والأرض واختلاف السنتكم والوانكم إن في ذالك لآيات للعالمين.(22:Room)
Tarjumah: Uski Qudrat Ki Nishayino Me Se Aasmano Aur Zameen Ki Paidaish Aur Tumhari Zabano Aur Rangato Ka Ikhtilaaf Bhi Hai,Danish Mando Ke Liye Usme Yaqeenan Badi Nishaaniya Hai.
Allaah Aankho Ki Ne'mat Ka Tazkirah Karte Hue Farmata Hai.
الم نجعل له عينين.
(AL Balad:8)
Tarjumah:Kya Ham Ne Insaano Ke Liye Do Aankhe Nahi Banaai.
Dusri Jagah Farmata Hai:
انا خلفنا الإنسان من نطفة امشاج نبتليه فجعلناه سميعا بصيرا.(Al Insaan:2)
Tarjumah:Be Shak Ham Ne Insaano Ko Mile Jhule Nutfe Se Imtihaan Ke Liye Paidah Kiya Aur Usko Sunne Wala Aur Dekhne Wala Banaya.
Jab Allaah Ne Aankh Jaisi Azeem Ne'mat Di Hai To Uske Kuch Huqooq Bhi Hai,Nabi Ka Farmaan Hai:
وإن لعينك عليك حقا.
(Bukhari Sharif:1159)
Tarjumah:Yani Tumhare Upar Aankho Ke Huqooq Hai.
Aankho Ka Haq Yah Hai Ke Use Aaraam Pohnchaae,Uske Zariya Qudrat Ki Nishaniyo Ka Mushahida Kar Ke Uske Khaaliq Ki Wahdaniyat Par Imaan La Kar Khaalis Uski Bandagi Baja Laae,Aankho Ko Nuqsaan Pohnchane Wali Chizo Se Door Rakhe,Un Ko Shahwato Aur Fahash Kaamo Se Bachaae Un Baish Qeemat Aankho Se Sirf Jaaiz Chizo Ko Dekhe Aur Raah Chaltr Aankho Ka Haq Yah Hai Ke Nigaah Nichi Kar Ke Chale Magar Afsos Ke Sath Kehna Padhta Hai Ke Social Media Ke Zamane Me Aankho Se Jitne Gunaah Aaj Sarzad Hote Hai Utne Pure Jisam Se Nahi Hote Hin Ge. Usi Ahsaas Ne Mujhe Yah Tehreer Likhne Par Majboor Kiya Shayad Koi Nasihat Pakadne Wala Nasihat Pakad Le Aankho Ki Ne'mat Ka Haqeeqi Ahsaas Kare Aur Unka Sahih Istimaal Kare.
Shayad Bahut Sare Logo Ko Ma'loom Na Ho Ke Zina Ka Sudoor Jis Tarah Sharamgaah Se Hota Hai Aankho Se Bhi Hota Hai Aur Aankho Ka Zina Badnigaahi Yani Fahash Ya Haraam Chizo Ko Dekhna Hai Nabi SAV Ka Farmaan Hai.
زنا العين النظر،وزنا اللسان المنطق، والنفس تمنى وتشتهي والفرج يصدق ذالك اؤ يكذبه.
(Bukhari Sharif:6612)
Tarjumah: Aankho Ka Zina(Gair Mehram)Ko Dekhna Hai Zaban Ka Zina Gair Mehram Se Baat Karna Hai Dil Ka Zina Khawahis Aur Shahwat Hai Aur Sharmgaah Uski Tasdeeq Kar Deti Hai Ya Jhuthla Deti Hai.
Is Hadees Ki Roshni Me Aaj Ke Mahol Aur Ma'shre Ka Jaiza Liya Jaae To Pata Chalta Ke Internet Istimaal Karne Wala Aksar Aadmi Aankho Ke Zina Me Mubtila Hai Samaaj Me Paae Jaane Walw Fashash Manaazir,Barhana Libaas,School Aur Baazaar Aur Sawariyo Samet Bheed Bhaad Wali Tamam Jagho Me Mard Aur Zan Ka Ikhtilaat Apni Jagah. Rasool E Akram Ne Ali RA Se Farmaya:
لا تتبع النظرة النظرة،فإن لك الأولى و ليست لك الاخرة.
(Abu Dawood:2149)
Tarjumah: Nazar Ke Baad Nazar Na Uthaao Kun Ke Tumhare Liye Pehli Nazar Maaf Hai Aur Dusri Maaf Nahi Hai.
Is Hadees Ka Matlab Yah Hai Je Achanak Jab Kisi Ajnabi Aurat Par Nigaah Padh Jaae To Pehli Nigaah Maaf Hai Lekin Jaan Bujh Kar Kisi Ladki Par Pehli Ya Dusri Teesri Nigaah Dalna Maaf Nahi Hai Nazare Lamha Bhar Ki Hoti Hai Is Lamha Bhar Ki Nazar Se Hame Rasool SAV Ne Mana Farmaya Hai Is Jagah Zara Thahar Kar Soche Ke Jo Jaan Bujh Kar Mobile Se Gahnto Ghanto Nangi Picture Aur Fahash Videos Dekhta Hai Uski Aankh Kis Qadar Gunehgaar Aur Zina Kaar Hai?Kya Logo Ko Aankho Ke Is Bhayanak Zina Aur Sangeen Gunaah Ke Bare Me Ahsaas Hai? Hargiz Nahi.
Ladko Se Chand Qadam Aage Navjawan Ladkiya Fahash Kaamo Me Mulavvis Nazar Aati Hai Woh Aankho Me Masnui Palke Laga Kar,Abru Ki Zaibaish Kar Ke Aur Munaqqash Lens Laga Kar Khud Ko Sanwarti Hai Aur Apni Aankho Se Logo Ko Zina Ki Taraf Da'wat Deti Hai Aysi Ladkiya School Aur Baazar Se Le Kar Social Media Ke Tamam Channel's Par Nazar Aati Hai Khushusan Tik Tok Ko Ladkiyo Ne Be-Hayai Phailaane Ka Waseela Bana Liya Hai.
Mere Navjawaan Bhaiyo Aur Behno! Kya Aap Ko Ma'loom Hai Ke Jin Aankho Ko Chand Ghanta Aur Chand Minut Ke Liye Shahwaani Suroor Pohnchate Hai Yahi Aankhe Hamare Liye Khubsurat Jisam Ko Bashamool Aankhe Soalo Wale Jahnnam Me Le Jane Ka Sabab Banti Hai Lihaza Aankho Ki Ne'mat Ka Qadardaan Bane Jisne Yah Aankhe De Kar Ham Par Bada Ahsaan Kiya Hai Uska Shukar Baja Laae Aur Un Aankho Ka Istimaal Ibrat Aur Nasihat Haasil Karne Ke Liye Kare.
Aaiye Dekhte Hai Ke Allaah Ko Kon Si Aankhe Pasand Hai? Allaah Ko Woh Aankhe Pasand Hai Jin Me Sharam Aur Haya Ho Aur Jo Jhuki Hui Ho Yani Sharam Aur Haya Se Jhukne Wali Aankhe Rab E Zuljalaal Ko Pasand Hai Isi Liye Mo'mino Ko Nigaah Nichi Karne Ka Hukam Diya Hai,Farmane Ilaahi Hai:
قل للمؤمنين يغضوا من أبصارهم ويحفظوا فروجهم ذالك ازكى لهم ان الله خبير بما يصنعون.
(An Noor:30)
Tarjumah: Musalman Mardo Se Kaho Ke Apni Nigaahe Nichi Rakhe Aur Apni Sharamgaaho Ki Hifazat Kare Yahi Unke Liye Paakizgi Hai Log Jo Kuch Kare Allaah Sab Se Khbardaar Hai.
Gaur Talab Amar Yah Hai Ke Pehle Allaah Ne Mardo Ko Nigaah Nichi Karne Ka Hukam Diya Hai Fir Agli Aayat Me Aurto Ko Bhi Us Baat Ka Hukam Diya Hai Aur Sharmgaah Ki Hifazat Se Pehle Nigaaho Ki Pasti Ka Hukam Ek Badi Hikmat Par Daal Hai Dar Asal Tamam Gunaho Ki Jad Aankh Hai Aankh Se Hi Dekhne Ke Baad Dil Me Mansubah Banaya Jata Hai Aur Fir Sharamgaah Haraam Kaam Me Mulavvis Ho Jaati Hai. Gazze Basar Ka Faidah Allaah Ne Paakizgi Qaraar Diya Hai Is Liye Jo Log Apni Nigaaho Ko Pasat Rakhte Hai Unke Dil Aur Dimaag Aur Rooh Aur Qalab Sab Buraiyo Se Mehfuz Aur Paak Saaf Rehte Hai Allaah Ko Woh Aankhe Pasand Hai Jo Us Se Darne Wali Aur Khauf Se Rone Wali Ho Jaisa Ke Allaah Ka Farmaan Hai:
اذا تتلى عليهم آيات الرحمان خروا سجدا وبكيا.
(Maryam:58)
Tarjumah: Unke Samnr Jab Allaah Rahmaan Ki Aayato Ki Tilawat Ki Jati Hai To Yah Sajdah Me Gir Padhte Aur Rone Gidgidane Lagte Hai.
Aur Nabi SAV Ka Farman Hai:
ليس شيء احب الى الله من قطرين وأثرين: قطره دموع من خشية الله،وقطرة دم تهراق في سبيل الله،واما الاثران فاثر في سبيل الله،واثر في فريضة من فرائض الله.(1669:Tirmizi)
Tarjumah: Allaah Ko 2 Qatro Aur 2 Nishaniyo Se Ziyadah Koi Chiz Mehboob Nahi Hai:Aansoo Ka Ek Qatrah Jo Allaah Ke Khauf Ki Wajah Se Nikle Aur Duara Khoon Ja Woh Qatrah Jo Allaah Ke Rasate Me Bahe,Do Nishaniyo Me Se Ek Nishaani Woh Hai Jo Allaah Ki Raah mr Lage Aur Dusri Nishaani Woh Hai Jo Allaah Ke Faraiz Me Se Kisi Fariza Ki Adaegi Ki Halat Me Lage.
Jo Aankhe Allaah Se Darti Aur Uske Dar Se Roti Hai Allaah Ne Un Aankho Ke Liye Bada Badlah Rakha Hai,Nabi SAV Ne Arsh E Ilaahi Ke Saya Ke Haqdaaro Me Jin 7 Khush Nasibo Ka Zikar Kiya Hai Unme Ek Woh Bhi Hai Jo Tanhaai Me Allaah Ko Yaad Kar Ke Rone Lagta Hai Isi Tarah Aap SAV Ma Yah Bhi Farmaan Hai:
عينان لا تمسها النار: عين بكت من خشية الله وعين باتت تحرس في سبيل الله.
(Tirmizi:1639)
Tarjumah: Do Aankho Ko Jahnnam Ki Aag Nahi Chhue Gi Ek Woh Aankh Jo Allaah Ke Dar Se Tar Hui Ho Aur Ek Woh Aankh Jis Ne Raah E Jihaad Me Pehrah Dete Hue Raat Guzaari Ho.
Isi Tarah Aap SAV Ka Farmaan Hai:
لا يلج النار رجل بكى من خشية الله حتى يعود اللبن في الضرع ولا يجتمع غبار فى سبيل الله ودخان جهنم.
(Tirmizi Sharif:1633)
Tarjumah: Allaah Ke Dar Sr Rone Wala Jahnnam Me Dakhil Nahi Hoga Yaha Tak Ke Dudh Than Me Wapis Laut Jaae(Aur Yah Mahaal Hai)Aur Jihaad Ka Gubaar Aur Jahnnam Ka Dhuwa Ek Sath Jama Nahi Hon Ge.
Jab Ham Ko Yah Ma'loom Ho Gaya Ke Aankhe Allaah Ki Anmol Ne'mat Hai Aur Ham Ne Jane Anjane Me Is Ne'mat Ka Bahut Hi Galat Istimaal Kiya Hai Ab Hame Kya Karna Chahiye.
Pehli Fursat Me Pichle Tamam Gunaho Se Sachchi Taubah Karna Chahiye,Nabi SAV Ne Bataya Hai Ke Taubah Karne Wala Ayse Hi Hai Jaise Begunaah Aadmi,Taubah Ke Baad Sab Se Aham Baat Yah Hai Ke Hame Yah Ahsaas Rahe Ke Har Us Ne'mat Ke Bare Me Ham Se Qayamat Ke Din Sawaal Kare Ga Jin Ka Ham Ne Istimaal Kiya Hai Chahe Woh Ne'mat Duniya Ki Ho Ya Jisam Ki Aankho Ke Bare Me Sawaal Kiye Jane Ke Mutalliq Sarahat Ke Sath Qura'an Me Maujood Hai:
إن السمع والبصر والفؤاد كل اؤلئك كان عنه مسئولا.
(Al Isr'a:36)
Tarjumah: Beshak Kaan,Aankh Aur Dil Unme Se Har Ek Se Puch Gachh Ki Jane Wali Hai Teesri Baat Yah Hai Ke Fahash Chizo Ke Qareeb Bhi Na Jaae Yani Aysa Koi Kaam Na Kare Jis Se Insaan Haraam Kaari Tak Pohnch Jata Hai.
Allaah Ka Farmaan Hai:
ولا تقربوا الفواحش ما ظهر منها وما بطن.(151: Al An'aam)
Tarjumah:Aur Be Hayai Ke Jitne Bhi Tariqe Hai Unke Paas Bhi Mat Jaao Chaahe Woh A'laaniya Ho Ya Chaahe Poshidah.
Rasata Chalte Hue Nigaah Nichi Rakhe Aur Mobile Istimaal Karte Hue Un Tamaam Muqamaat Aur Jagho Se Bache Jaha Fahash Chize Maujood Hai Maslan Fahash Websites, Anjaan Ladkiyo Se Dosati, UnSe Video Call Ya Inbox Shahwaani Chat Wagairah.
Bazariya Mobile Tanhaai Me Aankho Se Gunaah Karne Wale Yah Bhul Jate Hai Ke Unhe Unka Khaliq Aur Maalik Dekh Raha Hai Balke Unke Jumla Karnamo Ko Likhne Par Fariahto Ko Ma'moor Kar Raha Hai,Woh Sari Bate Jante Aur Likhte Hai Jo Ham Andhere Ya Ujale Me Anjaam Dete Hai Aur Ek Aakhri Baat Yah Hai Ke Ham Neki Ki Taraf Ragbat Paidah Kare Aamaale Saleha Par Hameshgi Aur Kasrat Barte Aur Faraaiz Aur Wajibaat Me Kotaahi Na Kare Khususan 5 Waqto Namaazo Me. Aap Ko Woh Piyari Hadees Yaad Dilata Chalu Jis Me Muhammad SAV Ne Batlaya Hai Ke Wazu Me Face Ko Dhote Waqt Face Ka Gunaah Mita Diya Jata Hai,Aankh Face Ka Hissa Hai Aur Wazu Ki Barkat Se Aankho Ka Gunaah Balke Sare Jisam Ka Gunaah Maaf Kar Diya Jata Hai Aur Woh Gunaaho Se Paak Ho Jata Hai.
Ay Allaah! Hamari Aankho Ki Hifazat Farma,Un Me Haya Aur Khauf Daal De Jis Se Yah Jhuki Rahe Aur Tere Khauf Se Aansoo Bahati Rahe.
Aameen
 

Top