Umar Asari

Administrator
Staff member
Social Media ke messages aur hamari zimmedaari

Tehreer: Shaikh Mohammad Shahid Yaar Mohammad Sanabili

Romanised By: Umar Asari

Jab aap ko Facebook ya Whatsapp waghera par koi khabar ya paigham mile to us par yaqeen kar ke idhar udhar phailane se pehle yeh maloom karen ke yeh khabar ya yeh message sahih hai ya nahi kiunki woh khabar ya message mein do baatein zaroor hongi:
Woh khabar ya message sahih nahi balki jhoot aur afwaah hogi.
Ya phir maloom nahi hoga ke yeh Jhoot hai ya sach.

In dono sooraton mein aap ka farz banta hai ke aap use idhar udhar share karne se bilkul ijtinaab karen (bachen).
Quran ke is soonehre usool ko hamesha yaad rakhen:
يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا إِن جَاءَكُمْ فَاسِقٌ بِنَبَإٍ فَتَبَيَّنُوا أَن تُصِيبُوا قَوْمًا بِجَهَالَةٍ فَتُصْبِحُوا عَلَىٰ مَا فَعَلْتُمْ نَادِمِينَ​
Tarjumah: Aye musalmano! Agar tumhein koi fasiq khabar de to tum us ki achchi tarah tehqeeq kar liya karo aisa na ho ke nadani mein kisi qaum ko eeza (takleef) pahuncha do phir apne kiye par pashemaani uthaao.
(Surah Al-Hujuraat, Surah No: 49 Ayat No: 6)

Aur agar woh khabar ya message sahih hoga to bhi us mein do baatein hongi:
Us khabar ya message ko share karne se koi faida hoga.
Ya phir koi faida nahi hoga.

Agar aap ko us se koi faida nazar aa raha hai to use idhar udhar bhej sakte hain lekin agar koi faida nahi balki fuzool aur faaltu cheez hai to use share karne se bachen kiunki ek musalman ki isi mein kamyabi hai, yeh ek achche musalman ki pehchan hai aur is mein jhoot se ijtinab hai.
Surah Al-Mominoon Ayat No: 3 mein Allah Taala ne kamyaab momin ki ek nishani yeh bataayi hai ki woh laghw, fuzool aur faaltu cheezon se door rehta hai.
Mazeed pyare Nabi ﷺ ne farmaya:
إِنَّ مِنْ حُسْنِ إِسْلَامِ الْمَرْءِ تَرْكَهُ مَا لَا يَعْنِيهِ​
Tarjumah: Aadmi ke Islam ki khoobi yeh hai ke woh aisi cheezon ko chhod de jo us se ghair mutalliq hon.
(Sunan Tirmizi: 2318, Allama Albani Rahimahullah ne Sahih kaha hai)

Doosri Hadees mein farmate hain:
كَفَى بِالْمَرْءِ كَذِبًا، ‏‏‏‏‏‏أَنْ يُحَدِّثَ بِكُلِّ مَا سَمِعَ​
Tarjumah: Insaan ke jhoota (aur ek riwayat ke mutabiq gunehgaar) hone ke liye itna hi kaafi hai ke woh har suni sunaayi baat (baghair tehqeeq ke) aage bayan kar de.
(Sahih Muslim: 5)

Agar hum in usool o aadaab par amal karte huwe Social Media ka istemaal karen to hum bahut saare masail o mushkilaat, sharr o fasaad, fitnon, aazmaishon aur gunaahon se khud bhi bach sakte hain aur samaaj o mu’ashre ko bhi un se bacha sakte hain.

Allah Taala hum sab ko deen ki sahih samajh ataa farmaye aur zindagi ke har mu’amle mein deen par amal karne waala banaye. Aameen.
 

Similar threads


Top