Umar Asari

Administrator
Staff member
Social Media (khulasa-e-dars)

Tehreer: Shaikh Abu Kaleem Faizi Hafizahullah

Romanised By: Umar Asari

عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ، عَنِ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ، قَالَ: إِنَّ الْعَبْدَ لَيَتَكَلَّمُ بِالْكَلِمَةِ مِنْ رِضْوَانِ اللَّهِ لَا يُلْقِي لَهَا بَالًا، يَرْفَعُهُ اللَّهُ بِهَا دَرَجَاتٍ، وَإِنَّ الْعَبْدَ لَيَتَكَلَّمُ بِالْكَلِمَةِ مِنْ سَخَطِ اللَّهِ لَا يُلْقِي لَهَا بَالًا، يَهْوِي بِهَا فِي جَهَنَّمَ​
“Hazrat Abu Hurairah Radhiallahu Anhu se riwayat hai ke Nabi-e-Kareem ﷺ ne farmaaya: Bandah Allah ki razamandi ki baat karta hai us ki taraf uski tawajjo bhi nahi hoti lekin Allah ﷻ us ki wajah se us ke kayi darje baland farmaa deta hai, aur bandah Allah ﷻ ki naraazgi ki baat karta hai jis taraf us ka dhiyaan bhi nahi hota lekin us ki wajah se woh jahannam mein jaa girta hai.
{Sahih Bukhari: 6478}

Tashreeh: Aaj jab ke social media is qadr fast aur adna se adna aadmi ke itne qareeb ho gaya hai ke koi bhi shakhs apne band kamre mein baith kar zabaan-o-qalam ke zariye apni kisi baat ko sirf kuch seconds mein duniya ke kone kone tak pahuncha sakta hai, aise waqt mein ek musalmaan ke liye yeh bahut bada imtihaan hai ke woh apne zabaan-o-qalam ko khair ki baaton ke liye iste’maal kar raha hai jis se woh Allah ﷻ ki rehmat ka mustahiq ban raha hai ya sharr ki baaton ko phaila raha hai jis se woh Allah ﷻ ki naraazgi ka samaan paida kar raha hai, aaj bad-qismati se bahut saare log is baare mein Allah ﷻ ke hukm ki parwaah kiye baghair apne zabaan-o-qalam ko aazad chhode huwe hain aur Allah ﷻ ki naraazgi aur ghazab ki bahut si baaton ko websites, Facebook, Whatsapp aur Twitter jaise Social Media ke zariye duniya ke kone kone tak pahuncha rahe hain.
Upar zikr ki gayi Hadees mein isi baat ki taraf ishaara hai ke kayi baar bandah apni zabaan se koi khair ki baat kehta hai jis se kisi ka dil khush hota hai, kisi bande ki islaah ho jaati hai ya zulm-o-ma’siyat se ruk jaata hai, to us achchi baat ke badle Allah ﷻ us se itna raazi hota hai ke phir qiyamat tak us se naraaz nahi hota kiunki bahut mumkin hai ke Allah ﷻ us baat ki barkat se us ki zindagi ko Siraat-e-Mustaqeem par laga de, bar-khilaaf is ke ki kayi baar insaan apni zabaan se ek aisi buri baat kehta hai ke us se Allah ﷻ ke kisi wali ka dil dukha deta hai, ya Allah ﷻ ke nazdeek woh kufriyah baat hoti hai ya us baat ka kisi bande par aisa bura asar padta hai ke woh Allah ﷻ ki na-farmaani ki raah ikhtiyaar kar leta hai, chunanche kisi ko qatl kar deta hai, kisi ko seedhe raaste se bhatka deta hai, to us ek (buri) baat ke badle Allah ﷻ us ke upar qiyamat tak ke liye apni naraazgi musallat kar deta hai, aisi hi khatarnaak baaton mein se kuch ki taraf ishaara kiya jaata hai:
➊ Allah ﷻ ke deen aur Rasool ﷺ se mutalliq baghair ilm ke guftgu:
Aaj chhote se chhota shakhs jise deen ka, Quran-o-Hadees ka koi ilm nahi hai, ya kuch ilm to hai lekin aisa ilm nahi hai ke deen ke masaail ke baare mein guftgu kare lekin phir bhi bina khauf khaaye bol raha hai, chaahe Allah ﷻ ki zaat-o-sifaat se mutalliq hon, ya ahkaam-o-farameen se mutalliq hon. Yeh dar-haqeeqat Allah ﷻ ke baare mein baghair ilm ke guftgu aur Allah par jhoot baandhne jaisa hai:
وَيَوْمَ الْقِيَامَةِ تَرَى الَّذِينَ كَذَبُوا عَلَى اللَّهِ وُجُوهُهُم مُّسْوَدَّةٌ ۚ أَلَيْسَ فِي جَهَنَّمَ مَثْوًى لِّلْمُتَكَبِّرِينَ​
“Aur jin logon ne Allah ﷻ par jhoot baandha hai to Aap dekhenge ke qiyamat ke din un ke chehre kaale ho gaye honge, kya takabbur karne waalon ka thikaana jahannam mein nahi.”
{Surah Az-Zumar: 60}

➋ Baghair ilm ke fatwa:
Upar zikr ki gayi soorat se milti julti ek soorat yeh bhi hai ke aaj har shakhs halaal-o-haraam aur sunnat-o-bid’at ke baare mein bina khauf ke fatwe de raha hai aur bad-qismati se log ahl-e-ilm se fatwa poochne ke bajaaye internet se fatwe poochhte hain, is tarah woh log apne aap ko us category mein shaamil kar rahe hain jin se mutalliq Nabi ﷺ ka farmaan (mafhoom) hai ke “Jab ahl-e-ilm utha liye jaayenge to log jaahilon se fatwa poochenge jo baghair ilm ke fatwa denge lehaaza khud bhi gumraah honge aur doosron ko bhi gumraah karenge.”
{Sahih Bukhari: 100}

❸ Deen ka mazaaq:
Aaj social media mein yeh cheez bhi bahut aam hai, Namaz ka mazaaq, deen ka mazaaq, deendaaron ka mazaaq, daadhi ka mazaaq, aurat ke parde ka mazaaq, yeh sab kuch bina rok tok ho raha hai, halaanki yeh aisa jurm hai ke ulama ke nazdeek muttafiqah taur par kufr aur aisa karne waala kaafir hai, aise hi ek waqi’ah par tabsirah karte huwe Allah ﷻ farmaata hai:
وَلَئِنْ سَأَلْتَهُمْ لَيَقُولُنَّ إِنَّمَا كُنَّا نَخُوضُ وَنَلْعَبُ قُلْ أَبِاللَّهِ وَآيَاتِهِ وَرَسُولِهِ كُنْتُمْ تَسْتَهْزِئُونَ[65] لَا تَعْتَذِرُوا قَدْ كَفَرْتُمْ بَعْدَ إِيمَانِكُمْ​
“Agar aap in se poochenge to woh saaf keh denge ke hum to yun hi aapas mein hans bol rahe the, keh dijiye ke Allah, us ki aayatein [ahkaam] aur us ka Rasool hi tumhaare hansi mazaaq ke liye reh gaye hain, tum bahaane na banaao yaqeenan tum apne imaan ke baad kaafir ho gaye ho…...”
{Surah At-Taubah: 65- 66}

Tafaseer ki kitaabein dekhne se pata chalta hai ki in logon ne sirf Quran ke huffaz ka mazaaq udaaya tha.

❹ Fohsh baaton ki isha’at (sharing):
Aaj internet aur facebook fohsh baaton ka wasee’ maidaan hai, tarah tarah ke gande qisse aur fohsh photos logon mein aam kar ke jawaan ladke aur ladkiyon ke akhlaaq-o-deen ko bigaada jaa raha, Allah ﷻ ka farmaan hai:
إِنَّ الَّذِينَ يُحِبُّونَ أَنْ تَشِيعَ الْفَاحِشَةُ فِي الَّذِينَ آمَنُوا لَهُمْ عَذَابٌ أَلِيمٌ فِي الدُّنْيَا وَالْآخِرَةِ وَاللَّهُ يَعْلَمُ وَأَنْتُمْ لَا تَعْلَمُونَ​
“Jo log musalmaanon main be-hayaai phailaane ke aarzumand (khwaahish mand) rehte hain, un ke liye duniya aur aakhirat mein dardnaak azaab hain, Allah ﷺ sab kuch jaanta hai aur tum kuch bhi nahi jaante.”
{Surah An-Noor: 19}

❺ Behas-o-mubaahasa:
Khaas taur se Whatsapp aur Facebook par kam ilm, aadhe ilm balke jaahil logon ki behas aise bade bade masaail par hoti rehti hai jin ke baare mein Abu Bakr-o-Umar Radhiallahu Anhuma Sahaba ki ek jama’at ko ikaththa kar lete the, yahan tak ke kayi baar kufr-o-takfeer se mutalliq bhi un ki behas chalti hai, aise hi logon se mutalliq Allah ﷻ ka irshaad hai:
مَا ضَرَبُوهُ لَكَ إِلَّا جَدَلًا بَلْ هُمْ قَوْمٌ خَصِمُونَ​
“Aap se un ka yeh kehna sirf jhagde ki gharz se hai (islaah maqsad nahi hai) balke yeh log hain hi jhagdalu.”
{Surah Az-Zukhruf: 58}

Is Aayat ki tafseer mein Nabi ﷺ ka farmaan (mafhoom) hai ki “Jab bhi koi qaum hidaayat par thi aur woh gumraah hui to use behas-o-mubaahise mein uljha diya gaya.
{Sunan Tirmizi: 3253, Sunan Ibn-e-Majah: 48. Allama Albani Rahimahullah ne Hasan kaha hai}
 

Similar threads


Top