Social Media Par Islam KI Ghalat Tarjumaaniyan


Staff Member

Member
Staff member
Social Media Par Islam KI Ghalat Tarjumaaniyan

Tehreer: Shaikh Maqbool Ahmad Salafi, Taaif Islami Centre

Romanised By: Umar Asari

Waisey media poora ka poora be-lagaam hai lekin social media ismein bohot aagey hai. Social media se muraad Internet Blogs, samaaji rawabit ki websites jaise SMS, Facebook, Twitter, MySpace, Google+, dig, YouTube, WhatsApp aur degar rawabit hain. Aaj ke daur me social media ki ahmiyat se inkaar nahi kiya jaa sakta, iski ahmiyat mein din-ba-din izafah ho raha hai. Social media electronic aur print media se bhi ziyada tezi se maqbool ho raha hai. Iski sabse badi wajah logon ka issey judna hai. Is media mein khabron aur malumaat ko talash karney ki zaroorat nahi, balki malumaat ka zakheera khud ba khud Aap tak pahunch jaata hai. Ek choti si choti khabar famous karney ke liye kisi bhi social site me ek post share karney ki zarurat hai phir ye khud ba-khud ek se dusrey dusrey se teesrey tak pahunch jayegi.

Is media se jahan kuch faida hua wahin iskey bohot se burey asraat bhi samaaj par hue hain. Khas taur se Islam ke dushman aur shirk o bid'aat me dubi hue qaumon ne apney burey maqasid ko poora karney ke liye is media se khoob khoob faida uthaya aur logon ko asal Islam se door aur mutnaffar karney ke liye koi mauqa haath se nahi jaaney diya. Unki yeh koshish ab bhi jaari hai.

Social media ke zariye awaam ko gumrah karney ki chand jhalkiyan:
(1) Seedhey saadhey logon ko gumrah karney ke liye ek jhooth ko is qadr phailaya ke log usey sahih samjhney lagey.

(2) Kiyunki Social Media par achchey khasey padhey likhey log bhi hain, unhein gumrah karney ke liye Qurani Aayaat aur Ahadees ka Sahara liya aur Quran o Hadees ka mafhoom tod marod kar paish kiya.

(3) Iskey zariye ek firqe wala dusrey firqe waley par buri tarha hamla karta hai. Aur iski aad me dabey taur par aur kai bar khuley taur par sunnat ka mazaq udaya jaata hai.

(4) Is media pe bohot saari baatein be'asal aur be'buniyad hain magar unhein log nahi jantey.

(5) apni jhoothi baat ko authentic bataney ke liye use Nabi kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ki taraf mansoob kiya jaata hai. ﻧﻌﻮﺫﺑﺎﻟﻠﮧ ﻣﻦ ﺫﻟﮏ

(6) Kuch mansoob jhuthi baaton mein Hadees ki kitaabon ka bhi hawala dey diya jaata hai.

(7) Yahi nahi balkey achchey achchey logon ko chakma deney aur unhein gumraah karney ke liye Sahih Bukhari aur Sahih Muslim ka hawala diya jaata hai jabkey ye cheez wahan maujood nahi hoti.

(8) Bid'ati logon ke to mazey hi mazey hain kiyunki unhein behtreen aur dilkash designs waley images ke saath zaeef, mauzu aur jhoothi riwayaat phailaney ka sunehra mauqa jo haath aa gaya.

(9) Kashf o Karamat waley bhi is maidan me peechey nahi jo jhoothe qissey kahaniyan buzurgon ki taraf mansoob kar ke phailatey hain.

(10) Is media me ek dusrey ko burey Alqaab se pukarna Sahaba e Kiraam Radhiallahu Anhum aur Aimma Rahimahumullah se jirah karna aur Ulama e Kiraam par kufr ke fatwey lagana, nez ulama ki tauheen wali jhooti tasweer post karna aam hai.

Nauzubillah ulama ki tasweer ka kuch hissa le kar nangi aur fahash tasweeron ke beech set kar ke uska mazaaq udana wagairah wagairah jo bayan se bahar hai. ﺍﻟﺤﻔﻆ ﻭﺍﻻﻣﺎﻥ

Inke alawah be-shumaar kharabiyan hain jo ye Media aur issey judey bad-bakht afraad anjaam deney mein koi kasar nhi utha rakhtey.

Aap logon se adab o ikhlaas ke saath guzarish hai ke is media ka sahih istemal karein. Aur iskey zariye Islam ke khilaaf honey wali saazishon ko mitaayen. Aur logon me phailey shukook o shubhaat ka har mumkin taur par izaala karein.

Allah taala hum sab sachchey musalmanon ka haami o nasir ho, aur deen ke khilaf sar-garam amal anasir par uska gaiz o gazab ho. Aameen

Dukh bhare lehjey ke saath
Aapka deni bhai Maqbool Ahmad Salafi, Taaif Islami Centre
 

Similar threads


Top