Social Media Par Na-Mehram Se Chat


Umar Asari

Administrator
Staff member
Social Media Par Na-Mehram Se Chat

Tehreer: Shaikh Rafiq Tahir Hafizahullah

Romanised By: Umar Asari

Ghair Mehram mard o aurat ki baat cheet aamne saamne ho, mobile paighaamaat (messaging) ke zariye ho, ya Social Media par chatting ho, sab ke liye Allah Taala ne ek hi usool o zaabita muqarrar farmaaya hai. Allah Taala ka farmaan hai:
وَإِذَا سَأَلْتُمُوهُنَّ مَتَاعاً فَاسْأَلُوهُنَّ مِن وَرَاء حِجَابٍ ذَلِكُمْ أَطْهَرُ لِقُلُوبِكُمْ وَقُلُوبِهِنَّ​
Tarjumah: Aur jab tum un se kisi cheez ke baare mein poocho, to parde ki oot mein baat karo. Yeh tumhaare dilon aur unke dilon ke liye ziyadah pakeezah hai.
(Surah Al-Ahzaab, Surah No: 33 Ayat No: 53)

Is se ma’loom hota hai ke ghair mehram mard aur aurat aapas mein kaam ki baat kar sakte hain. Aur baat karne ka tareeqa yeh hona chaahiye ke aurat parde ki oot mein ho. Mobile, ya Messengers par call karte huwe, ya chat ke dauraan “parde ki oot” to maujood hoti hi hai. Han koi video call kar ke us “oot” ko khatm kar de to doosri baat hai. Lekin doosri ahem cheez jo is Ayat mein bayan hue hai woh hai “kaam ki baat”! Jise aam taur se nazar-andaaz (ignore) kar diya jaata hai, aur iska lihaaz rakhe baghair baat cheet ki jaati hai. Is Ayat e Kareemah mein hijaab ka zikr karne se pehle is ahem cheez ko bayan kiya gaya hai jis se wazeh hota hai ke ghair mehram mard o aurat ki aapas mein baat cheet sirf “zaroori aur ahem kaam” se mutalliq honi chaahiye. Mahez “gap shap” lagane ki ijazat Shari'at mein unke liye nahi hai! Khoob samajh len.
Isi tarah doosre maqam par Allah farmaata hai:
يَا نِسَاء النَّبِيِّ لَسْتُنَّ كَأَحَدٍ مِّنَ النِّسَاء إِنِ اتَّقَيْتُنَّ فَلَا تَخْضَعْنَ بِالْقَوْلِ فَيَطْمَعَ الَّذِي فِي قَلْبِهِ مَرَضٌ وَقُلْنَ قَوْلاً مَّعْرُوفاً​
Tarjumah: Aye Nabi ki biwiyo! Tum aam aurton jaisi nahi ho, agar tum Allah se darti ho, to pur-kashish lehje mein guftgu na karo, warna jis ke dil mein marz hai woh tama' laga baithega. Aur maroof baat kaho.
(Surah Al-Ahzaab, Surah No: 33 Ayat No: 32)

Is aayat mein Allah Taala ne ghair mehramon se guftgu karne ke liye mazeed do usool bayan farmaaye hain:
1. Lehja pur-kashish na ho.
2. Maroof baat ho.

Yani agar koi aurat guftgu ke dauraan aise lehje mein baat kare jis se mardon ke dil mein “ishq” ka marz janam le sakta ho, to woh lehja Shari'at mein haraam hai. Isi tarah tehreeri (written) guftgu mein bhi is baat ka khayaal rakhna zaroori hai ke aise alfaaz se bacha jaaye jo sinfi kashish ka sabab bante hon.

Aur jo guftgu mard o aurat kar rahe hain woh maroof yani achchaayi, bhalaayi aur neki ki guftgu ho jise Shari'at e Islaamiyyah mana nahi karti.
Upar zikr kiye qawaaid o zawaabit ka khayaal rakh kar ghair mehram mard o aurat aapas mein baat cheet kar sakte hain. Is ummat ki sab se pakeezah khawateen yani Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam ki azwaaj e mutahharaat bhi ghair mehram mardon se inhi usoolon ko madd e nazar rakh kar guftgu karti aur isi tarah RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ki baraah e raast shaagirdaat yani Sahabiyat bhi inhi zaabiton ki paaband reh kar baat cheet kiya karti thein. So aaj bhi agar koi in zaabiton ki paabandi kare to unki guftgu mein koi harj nahi hai. Yani baat aisi ho jo ke mard ko us aurat se ya aurat ko us mard se “khud” karna zaroori ho, guftgu ka andaaz pur-kashish na ho, maroof baat ho, aur hijaab ke ahkaamaat malhooz e khaatir hon, to koi harj nahi hai.
Shaadi se pehle mangetar bhi “na mehram” hi shumaar hote hain. Lehaza un se bhi guftgu inhi zawaabit ki paaband hai.
Yahan ek ahem baat samjhna bahut zaroori hai, khusoosan khawateen ke liye ke:
Unki Social Media ID unke zimmedaar (mehram mard rishtedaar jo aurat ka sarparast hai) ke ilm mein honi chaahiye. Aur agar khawateen Social Media masalan Facebook, Twitter, Whatsapp, Telegram waghera ka istemaal karti hain to unhein bahut ziyadah khabardaar rehna hoga. Aur neeche bataayi jaa rahi ghalatiyon se mukammal taur par bachna hoga:
1- Ladkon ko add karna:
Kisi bhi aisi ID jo mardon ya ladkon ke naam se hon un ko add na karen aur agar aap ko ladki ke naam se friend request aayi hai to aap ko ma’loom hona chaahiye ke yeh real mein kisi bahen ki ID hai, kahin aisa to nahi ke ladki ke naam se fake ID bana kar ladke aap ko friend request bhej rahe hain. Jin par ladkiyon ki photos lagi hoti hain taaki aise ladkiyon ki profile mein ghusa jaa sake. Algharz aap sirf aur sirf ladkiyon ko hi apni friend list mein add karen aur woh bhi aisi ladkiyaan jinhein aap jaanti hon ke real mein yeh ladkiyaan hi hain aur Shari'at ki paaband bhi! Agar aap ko deeni maloomaat chaahiye, to aap Facebook par aise pages ko like kar len jo authentic Islaami maloomaat dete hain. Un se hi aap ki ilmi zaroorat poori ho jaayegi.

2- Ladkon se chat:
Ladkon se chat karne ki bilkul bhi zaroorat nahi jaisa ke upar dalaail se yeh baat wazeh ki gayi hai ke “gap shap” lagane ya phir sirf “salaam dua, haal chaal” ki gharz se na-mehramon se chat ya guftgu karne ki Shari'at mein hargiz ijazat nahi hai. Haan zaroorat ke waqt zaroorat ke baqadr jitni Shari'at ne ijazat di hai uske mutaabiq koi baat ki jaa sakti hai, lekin yeh zehan mein rahe ke yeh ijazat sirf rukhsat hai, lehaza iska kam se kam istemaal karen. (Aur yeh zaroor soch len ki kya haqeeqat mein aapka maqsad sahih aur Shari'at ke mutaabiq hai? Aur yeh bhi sooch len ki kahin aap ke baat karne se fitne ka andesha to nahi hai?)

3- Zaroorat aur bila wajah ki guftgu ke bareek farq ko samjhen:
Agar aap ko kisi alim e deen se maloomaat chaahiye to teen (3) se chaar (4) lines mein apna sawaal likh kar send karen, warna guftgu lambi ho jaayegi aur kahin jaa kar bhi nahi rukegi jis se fitne ka andeesha (khauf, darr) hai.
Khawateen aam taur se mard ko deendaar, muttaqi, alim e deen samajh kar “gap shap” karna shuru kar deti hain jo ke Shari'at mein haraam hai. Is se bachen. To the point yani jaami' aur maane' baat karen.
Yahan yeh baat bhi yaad rahe ke aap jab bhi kisi ghair mehram mard se chat karen to apne kisi mehram ki maujoodgi mein karen, fitne se mehfooz rahne ka yeh bahut muassir zariya hai.

4- Doosron ki posts par comment karna:
Kisi bhi deeni ya falaahi tanzeem ya jama'at ke page par maujood posts par apni ID se comment na karen, warna iske nateeja mein aap ki ID hazaaron balki laakhon mardon tak pahunch jaayegi aur yeh fitne ka sabab ban jaayegi!

5- Profile Picture:
Apni profile par apni tasweer na lagaayen, chaahe naqaab waali hi kiun na ho. Kuch ladkiyaan apne haathon, paaon, libaas waghera ki photos ko apni profile par laga deti hain jabki Shari'at ne in sab ko chupane ka hukm diya hai.

6- Post karne mein ehtiyaat barten:
Apne dukh aur gham masalan: Main pareshaan hun, depression mein hun, main bahut museebat mein hun waghera Internet par ajnabiyon se hargiz share na karen, aur na hi apni jaanne waali ladkiyon se. Yeh woh ghalati hai jo har ladki internet par karti hai aur uske baad nuqsaan uthaati hai. Isi tarah apne rawayye aur pasand na-pasand, colour kaisa pasand hai, khaane mein kya pasand hai, joote kaun se pasand hain, yeh maloomaat agar aap internet pe daalengi to woh kisi na kisi tak to pahunchengi jis se nuqsaan ka darr hai.
 

Similar threads


Top