Social Media Par Profile me Aurton Ko Naqab Wali pic Lagana kaisa hai .


Abdul Adil

Member
Tahreer :- Mrs. Ansari

Romanised :- Abdul Adil Ansari


بِسْـــــــــــــــــــــــمِ اللہِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِیْمِ
السَّــــــــلاَم عَلَيــْـــــــكُم وَرَحْمَــــــــــةُاللهِ وَبَرَكـَـــــــــاتُه

social media par naqaab ke sath tasaveer ke zimn mein kuch khawateen ka kahna hai ke hum naqaab laga kar bahar nikaltay hain to gunah nahi phir social media par naqaab ke sath tasweer kaisay gunah ho sakti hai ?

is baray mein arz hai ke parda kar ke bahar jana aur parda mein pick uplod karna do mukhtalif al haal mamlaat hain. awwal az zikr Shariat ka hukum hai aur sani az zikr Shariat ke khilaaf hai. awwal az zikr aurat ko naqaab mein bahar niklana gunahgaar nahi banata, lekin sani az zikr, tasweer ki hurmat ke zamray mein aakar aurat ko gunahgaar banata hai kyunki ankhen tasweer ke hukum mein shaamil hain. aur phir aaj ki aurat ka to yeh aalam hai ke woh un aankhon ko is andaaz se khobsorat banati hai ke uski ankhen hi shehwat ki wadiyon mein jhanknay ke liye mardon ke liye roshni ban jati hain. bahar-hal yahan maamla to dosra hai ki aankhon ka tasweer ke hukum mein hona aurat ke liye naqaab mein bhi picks bananay mein Maney hai. kyunkay social media ke maqasid mein, acount mein ya uploading mein yeh lazim amar ya shart nahi hai. phir aurat ka naqaab mein tasaveer banawa kar profile par laganay ka kya maqsad reh gaya ? koi iztarar bhi nahi aur nah hi koi majboori hai . kyunki iztarar mein mamnooa kamon ko sar-anjam dainay ki jo rukhsat Allah ne di hai is mein bhi qaid lagayi hai ki 👇

غَيْرَ بَاغٍ وَلاَ عَادٍ "

[البقرة : 173]

نیز فرمایا 👇

"غَيْرَ مُتَجَانِفٍ لِّإِثْمٍ"

[المائدة : 3]

yani ba-woqt iztarar, baqadar iztarar mamnoo wa haram ki rukhsat hai

iztarar ke baad ya baqadar iztarar se zayed nahi !

iztarar ko jannae ke liye Ayaat ghhor talabb hain jin mein yeh lafz istemaal huwa hai . Allah Ta'ala farmata hai 👇

إِنَّمَا حَرَّمَ عَلَيكُمُ الْمَيتَةَ وَالدَّمَ وَلَحْمَ الْخِنزِيرِ وَمَا أُهِلَّ بِهِ لِغَيرِ اللّهِ فَمَنِ اضْطُرَّ غَيرَ بَاغٍ وَلاَ عَادٍ فَلا إِثْمَ عَلَيهِ إِنَّ اللّهَ غَفُورٌ رَّحِيمٌ "

[البقرة : 173]

Tarjuma :- Yakinan Tum Par Sirf Aur Sirf Murdar , Khoon , Khinzeer ( Pig ) aur gairullah ke liye pukaara gaya ( Zhabiha Wagairah ) haram kiya gaya hai . to jo shakhs majboor ho jaye, had se badh ne wala aur dubarah aisa karne
wala na ho to is par koi gunah nahi hai yaqeenan Allah Ta'ala bahut ziyadah
maghfirat karnay wala aur nihayat reham karnay wala hai .

is aayat se yeh baat wazeh ho jati hai ki bhook ki wajah se agar koi shakhs majboor ho jaye aur uski dustarus mein koi halal cheez na ho, aur bhook ki binaa par uski zindagi ko khatrah la-haq ho aur haraam khanay se uski jaan bach sakti ho to uskay liye rukhsat hai ki baqadar zaroorat jaan bachanay ke liye haraam khale is se zayed na khaye, pait bhar kar sair na ho aur phir dobarah is haraam ke baray mein nah soochey aur nah hi uski taraf nigahe utha kar bhi dekhe .

jabki social media par deen ki dawat o tableegh ya is se hatt kar yeh koi majboori nahi hai ki aurat naqabain laga laga kar picks share karen. social media par aurat ke sath iztarar hai aur na hi koi pabandi jo usay pick laazmi daalnay par majboor kere . yaad rakhiye social media ki khawateen! aap agar profile pick par apni naqaab poshi bhi uplod karti hain to apkee yeh pardaghi darasal apkee niyaton ko be parda kar rahi hoti hai. agar aisa nahi to woh iztarar samnay layiyae jis ne aap ko aisa karne par majboor kya. aur aisa nahi hona chahiye ke aapko mera nazriya mutashaddid lagey. kyunki mere is nazariye ki bunyaad Shariat ki aayid kardah woh hurmat hai jo Zee rooh ki tasaweer par itlaq karti hai .

aaj social media par naqaab posh khawateen apni picks uplod kar ke hargiz is zimn mein na rahen ke unhon ne parda kya huwa hai, neez is terhan se parda ki tashheer ki niyat rakhna bhi abs hai, kyunki Ehkaam shariat Mutahera aapko Quran o Hadees se tashheer karna ziyada Laiq hai .

aaj ki ummat Muslimah woh hai ki agar usay kisi baat ki ijazat de di jaye to woh sooyi ke naka ( hole ). se hathi guzaarne lagti hai. naqaab ki ijazat amli zindagi ke liye hai nah ke Facebook par, jahan had darja ka obaash insaan ba-kasrat hai jisske liye aurat ki naqaab khud aurat ke hathon se hatwana mehez chand chatiing ki doori par hota hai . lehaza aurat ka yeh khud ko Haseen fraib hai ke is ne naqaab ke sath profile pick aplod kara kar gunah nahi kiya .

ھذا, واللہ تعالى أعلم, وعلمہ أکمل وأتم ورد العلم إلیہ أسلم والشکر والدعاء لمن نبہ وأرشد وقوم , وصلى اللہ على نبینا محمد وآلہ وسلم

وَالسَّــــــــلاَم عَلَيــْـــــــكُم وَرَحْمَــــــــــةُاللهِ وَبَرَكـَـــــــــاتُه
 

Similar threads


Top