YouTube ki kamaayi par naujawaano ki fareftagi (deewangi) aur Islam


Umar Asari

Administrator
Staff member
YouTube ki kamaayi par naujawaano ki fareftagi (deewangi) aur Islam

Tehreer: Shaikh Maqbool Ahmad Salafi,
Islamic Dawah Center, Shumaali Taif

Romanised By: Umar Asari

Islam ne maal kamaane ke usool-o-zawaabit muta’ayyan kiye hain, ek musalmaan ke liye us amal ki kamaayi halaal hai jo Islaami zaabite ke andar aata ho, jo amal zawaabit se khaarij ho us ki kamaayi halaal nahi hogi.

Halaal kamaayi ka Islaami zaabita yeh hai ke tijaarat-o-amal mein jhoot aur fareb na ho aur woh zulm-o-ziyaadti, na-jaaiz aur haraam umoor aur soodi mu’aamlaat se paak, adl-o-insaaf, amanat-o-diyanat aur haqq-o-sadaqat ke me’yaar par mabni ho. Islaami tijaarat se maal paak hota hai, samaaj aur society mein achche anaasir (elements) tashkeel paate (bante) hain, fard-o-jama’at mein sukoon-o-raahat, sabr-o-shukr ki sifaat aur ek doosre ke mutalliq khair khwaahi ka jazba paida hota hai. Yahi wajah hai ke Islam ne logon ko mehnat par ubhaara hai aur susti wa ghaflat se mana kiya hai. Mehnat ke badle mein haasil hone waale ajr ki fazeelat bayan ki hai balki mehnat ko bhi mubarak amal qaraar diya hai. Mehnat halaal kamaayi ke liye aur halaal kamaayi ka iste’maal Allah ki raza ke liye, yeh kaamil momin ki achchi sifaat mein se hai. Yahi wajah hai ke amanatdaar taajir ka hashr Ambiya, Siddiqeen aur Shuhadaa ke saath hoga jabki ghair amanatdaar taajiron ka mu’aamla faasiq-o-faajir ke saath hoga. Nabi ﷺ ka farmaan hai:
التَّاجِرُ الصَّدُوقُ الأَمِينُ مع النَّبيينَ والصِّدِّيقِينَ والشُّهَدَاءِ​
Tarjumah: Sachcha aur amanatdaar taajir (qayamat ke din) Ambiya, Siddiqeen aur Shuhadaa ke saath hoga.
(Sahih At-Targheeb: 1782)

Nabi ﷺ ka farmaan hai:
إِنَّ التُّجَّارَ يُبْعَثُونَ يَوْمَ الْقِيَامَةِ فُجَّارًا إِلَّا مَنِ اتَّقَى اللَّهَ، وَبَرَّ، وَصَدَقَ​
Tarjumah: Taajir log qayamat ke din gunehgaar uthaaye jaayenge siwaaye us ke jo Allah se darey, nek kaam kare aur sach bole.
(Sunan Ibn-e-Majah: 2146, Silsilat-ul-Ahadees As-Sahihah: 994)

Is tamheed ka umoomi maqsad internet se jude un tamaam logon ko paighaam dena hai jo mehnat se ji churaate hain aur saara saara din baith kar internet se hi kamaayi karne ki koshish karte hain aur us ke liye unhein jaaiz aur na-jaaiz ki parwaah nahi hoti, bas kamaayi honi chahiye chaahe jaise ho. Khaas taur se naujawaan ladke aur ladkiyon ko tambeeh (alert) karna maqsood hai ke zindagi ka asal hadaf (goal) bhool kar aksar auqaat internet par lagaana aur usey hi zindagi ka mehwar-o-maqsood bana lena badi hi nadaani hai aur jaaiz wa na-jaaiz ki parwaah kiye baghair usey kamaayi ka zariya bana lena Islaami tijaarat ke khilaaf hai. Hum sachche musalmaan hain to hamaara qadam Islam ke sachche usoolon par qaayim ho, na sirf khaane peene mein balki tijaarat-o-ma’eeshat se le kar zindagi ke tamaam department mein.
Is mazmoon mein is baat ka jaaizah lena maqsood hai ke aaj kal naujawaan ladke aur ladkiyaan tarah tarah ki videos banaane mein din-o-raat ka aksar hissah kharch kar rahe hain, koi jokes, koi jinsi masail (sexual related), koi cooking, koi kaam kaaj, koi fitnah parwar (fasaad phailaane waali), koi fohsh aur munkar, koi kahaani aur cartoon har tarah ki cheezein share aur upload kar raha hai. Naujawaano mein videos banaane ke mutalliq ek tarah ka junoon sa paida ho gaya hai. Is ki ahem wajah hai ke google ki taraf se videos par paise mlite hain, ghar baithe aasani se paise account mein aane ki wajah se us jaanib logon ne khaas taur se naujawaano ne kaafi tawajjoh de di hai. Is se na sirf naujawaano ka maqsad-e-zindagi khatm ho raha hai balki roshan mustaqbil (bright future), johd-o-amal aur inqilaabi koshishein dhundhlepan ka shikaar ho rahi hain. Bahut se na-’aaqibat andesh naujawaano ki wajah se logon mein buraaiyon ko badi ta’dad mein farogh (promotion) mil raha hai. Hadd to yeh hai ke kitne log yahan jhoote mufti, farebi Islaami scholar, munazir, muhaqqiq-o-baahis bane huwe hain aur bhoole bhaale logon mein in ke jhoot ki wajah se Manhaj-o-Aqeede mein bigaad ho raha hai aur ilm-o-fann ke naam par gumraahi phail rahi hai. Ek ne koi baat YouTube par upload ki, doosra us ka radd karta hai, gaaliyan deta hai aur ghar baithe munaazre ki video banaata hai aur apne mushaahideen (viewers) ki ta’dad dekh khoob khush hota hai.
Yahan asal masla yeh hai ke YouTube par videos bana kar upload karne ke nateeje mein jo maali munafa’ (profit) haasil hota hai woh shari’at ki nazar mein halaal hai ya haraam?
Is sawal ka jawab jaanne se pehle hamein yeh jaanna hoga ke google company jo yahoodi company hai woh kisi ko YouTube par video daalne se kiun paisa deti hai? Kya sirf video daalne se paisa milta hai ya kisi doosri cheez ki wajah se? Saath saath yeh bhi ma’loom rahe ke har kisi ko YouTube par paisa nahi milta hai. Khair jis ko bhi paisa milta hai usey is baat ka paisa milta hai ke jis video par google company kisi cheez ka advertisement karti hai to us advertisement se google pehle us company se profit kamaati hai jis ka advertisement kiya hai aur us profit mein se google videos upload karne waale us shakhs ko bhi deti hai jis ki videos par advertisement nashr karta hai.
Ikhtisaar ke saath upar zikr sawal ka jawab yeh hai ke agar Google hamein YouTube par video upload karne aur us par advertisement daalne ke badle ma’loom ujrat de, shart yeh hai ki advertisement mein Islam se takraane waali koi cheez na ho aur na hi video banaane waale ne us video mein koi khilaaf-e-shara’ (shari’at ke khilaaf) baat daali ho to phir google ki taraf se diya gaya profit halaal hoga. Yeh ek tarah se “Ja’alah” ka mu’aamla hai jis ke jawaaz par ulama ke fataawe maujood hain ke kisi cheez ke badle ma’loom in’aam ya mu’awaza mile, yani “Ja’alah” mein ujrat to ma’loom aur fix hoti hai magar muddat ka fix hona zaroori nahi hai. “Ja’alah” “ijaarah” se mukhtalif hai.
Yahan ek ahem pehlu yeh hai ke aksar videos hi fitnah ka baa’is hain. Koi maslak ke naam par, koi jhooti ta’leemaat phailaane ke naam par, koi fohsh-o-munkaraat ke naam par to koi apne dunyawi aghraaz-o-maqasid ke naam par videos banaata hai. Is tarah ki videos banaana aur upload karna haraam hai aur us se paisa kamaana bhi.
Ab hum is ka doosra pehlu dekhte hain ki kya google ki taraf se advertisement ke muqaable mein profit fix hota hai? Is ka jawab kuch logon se yeh ma’loom huwa hai ke haan us ki ujrat fix hai yani jitna aadmi advertisement waali video ko dekhega utna profit ziyada hoga. Main ne apne taur par ujrat ma’loom ki to pata chala ke google ki apni marzi hai jise chaahe jitna profit de. Kehne ke liye ek hazaar “viewers” par one dollar hai magar is ki koi haqeeqat mujhe nazar nahi aati. Is wajah se YouTube ke zariye advertisement se profit ke husool mein ek rukaawat paida ho rahi hai woh hai ujrat ka ma’loom na hona.
Is silsile mein ek teesra bahut hi ahem pehlu advertisement se mutalliq hai. Is pehlu se kayi sawalaat jude hain. Kya jis company ka advertisement kiya jaa raha hai us ki tijaarat halaal hai? Kya woh soodi karobaar se paak hai? Us mein haraam cheezon ki milawat to nahi, medically aitbaar se cheezon mein koi nuqsan pahunchaane waala element to shaamil nahi hai? Advertisement mubaalgha aaraayi aur jhoot ki aamezish (milawat) par mabni to nahi hai? Advertisement mein rooh waali tasweer, barhana (nude) aurat ya koi haijaani kaifiyat to nahi? Kya google is baat ki kisi ko zamaanat deta hai ke advertisement mein Islaami aitbaar se sirf jaaiz cheezein hi shaamil hongi? Kya profit kamaane waale ko yeh haqq hai ke Islam mukhalif cheezon ko advertisement se hata sake aur sirf Islaami tijaarat ke zaabite mein aane waali tijaarat ka hi advertisement kare?
Itne saare sawalaat balki is se bhi ziyada sawalaat paida ho sakte hain. Seedhi si baat hai agar hum google ke advertisement mein ba-ikhtiyaar nahi (ikhtiyaar nahi rakhte) hain to bila-shubha advertisement mein haraam cheezon ki aamezish (milawat) hogi kiunki yeh yahoodi media hai us ke paas tijaarat ka kahan koi zaabita hai? Usey to maal se matlab hai bas. Us ka advertisement kar ke hum sharr ke mu’aawin (madadgaar) banenge agar advertisement sharr par mabni huwa. Allah ﷻ ka farmaan hai:
وَتَعَاوَنُواْ عَلَى الْبرِّ وَالتَّقْوَى وَلاَ تَعَاوَنُواْ عَلَى الإِثْمِ وَالْعُدْوَانِ وَاتَّقُواْ اللّهَ إِنَّ اللّهَ شَدِيدُ الْعِقَابِ​
Tarjumah: Neki aur parhezgaari mein ek doosre ki madad karte raho aur gunaah aur zulm-o-ziyaadti mein madad na karo aur Allah ﷻ se darte raho, be-shak Allah ﷻ sakht saza dene waala hai.
(Al-Maidah, Surah No: 5, Ayat No: 2)

Aur Nabi ﷺ ka farmaan hai:
مَنْ دَعَا إِلَى هُدًى كَانَ لَهُ مِنَ الْأَجْرِ مِثْلُ أُجُورِ مَنْ تَبِعَهُ، لَا يَنْقُصُ ذَلِكَ مِنْ أُجُورِهِمْ شَيْئًا. وَمَنْ دَعَا إِلَى ضَلَالَةٍ كَانَ عَلَيْهِ مِنَ الْإِثْمِ مِثْلُ آثَامِ مَنْ تَبِعَهُ، لَا يَنْقُصُ ذَلِكَ مِنْ آثَامِهِمْ شَيْئًا​
Tarjumah: Jis shakhs ne hidaayat ki da’wat di usey us hidaayat ki pairwi karne waalon ke ajr ke barabar ajr milega aur un ke ajr mein koi kami nahi hogi aur jis shakhs ne kisi gumraahi ki da’wat di, us par us ki pairwi karne waalon ke barabar gunaah (ka boojh) hoga aur un ke gunaahon mein koi kami nahi hogi.
(Sahih Muslim: 2674)

YouTube se paisa kamaane waala koi bhi Muslim naujawaan is baat ka iqraar karne se nahi katraayega ke google ki jaanib se videos par zaahir hone waale elanaat aur advertisements mein Islam se takraane waali koi baat kabhi bhi nahi hoti. Jab haalat aisi ho to hum bhi sharr (buraayi) ki sharing mein hissah banenge. Is ko ek misaal se is tarah samjhen ke aap ne ek video upload ki us mein google ne kisi company ka elaan aur advertisement shaamil kiya, us elaan aur advertisement mein barhana (nude) ladki shaamil hai ya koi fohsh kaam ka elaan aur advertisement hai ya haraam company/cheezon ka elaan aur advertisement hai ya us elaan aur advertisement mein jhoot aur fareb se kaam liya gaya hai. Aisi soorat mein us elaan aur advertisement ko jo bhi dekhega us ka gunaah video upload karne waale ke sar jaayega. Us video ko dekhne waale laakhon hon to laakhon ka gunaah sar aayega. Doosri taraf us ki kamaayi bhi halaal nahi hogi.
In baaton se mera maqsad yeh nahi hai ke koi mufeed kaamon ke liye YouTube par deeni videos upload na kare, asal maqsad advertisement se maali profit ki shar’ee haisiyat batlaana hai. Paisa kamaana asal ya ahem nahi hai balki kamaayi halaal hai ke nahi yeh asal aur ahem hai.
Khulaasa yeh hai ke agar google company se judna free mein ho, aap ko apni ujrat ma’loom ho aur elaan jaaiz cheezon par mushtamil aur jaaiz umoor ke mutalliq ho neez video bhi be-aib ho (yani Islam ki ta’leemaat ke khilaaf na ho) to phir profit haasil karne mein koi harj nahi hai.

Naujawaano ko aakhir mein naseehat karna chaahta hun ke agar Allah ne aap ko videos banaane ka jauhar aur hunar diya hai to us hunar se qaum ko faida pahunchaayen, main is se nahi rokta magar neeche likhi baaton ko dhiyaan mein rakhen:
Zindagi ka asal hadaf aur goal usey na banaayen, apni takhleeq ka asal maqsad jaane aur us maqsad ko poora karne ki koshish karen.
Internet jahan faidemand hai wahien nuqsaandeh bhi hai, us ke nuqsanaat ko mehsoos karen aur un se bachen, Allah ﷻ ke yahan hisaab dena hoga aur auqaat ka khayaal rakhte huwe huqooq-o-wajibaat ki adaayegi karen.
Sasti aur jhooti shohrat aur halaal-o-haraam ki parwaah kiye baghair bina mehnat maali faide ke husool aur fawaahish-o-munkaraat ka sabab banne se bachen. Aap duniya se chale jaayenge magar YouTube ka yeh kaala hissah baaqi rahega yahan tak ke hisaab ke din is ka hisaab bhi chukaana hoga.
Islam ne insaan ko mehnat-o-amal par ubhaara hai, amal aur aamil (amal karne waale) ki qadr ki hai lehaza hum bhi mehnat ko apnaayen aur hamesha halaal rizq ki talaash karen, Allah ﷻ niyyaton ke hisaab se aap ko halaal rozi ata farmaayega kiunki insaanon ko rozi dene waala wahi hai.
Aaj aabaadi ki kasrat ki wajah se rozgaar ka milna har kisi ke liye mushkil ho gaya hai aur fitne ke daur mein halaal kamaayi to aur bhi mushkil hai. Aise mein ek momin ka yeh imtihaan hai ke apne daaman ko fitno se bachaate huwe halaal rozi par iktifaa kare chaahe kam hi rozi naseeb kiun na ho. Har shakhs ki rozi us ki taqdeer mein likh di gayi hai aur har shakhs ki qismat mein ameer hona bhi nahi likha hai, Allah ne society ke do tabqe ameer-o-ghareeb banaaye hain. Yeh farq qayamat tak baaqi rahega. Ishtiraaki nizaam ne ma’eeshat mein masaawaat (equality) paida karne ki koshish ki magar nakaam ho gaya.
Islam ne hamein jaaiz tareeqe se mehnat kar ke ziyada se ziyada daulat kamaane se mana nahi kiya hai, mana kiya hai to kamaayi ke na-jaaiz tareeqe se aur jise ghurbat mili ya jise rozi ki kasrat naseeb nahi hui aise logon ko sabr karna chahiye. Is par Allah ki taraf se duniya aur aakhirat mein behtar badla hai. Yaqeen jaanen maaldaar woh nahi jo paise waala ho balki maaldaar woh hai jo amal aur taqwe waala ho aur yateem woh nahi jis ke waliden na hon balki yateem woh hai jo amal aur taqwe se khaali ho gharche us ke paas daulat ka ambaar (dher) ho.
Aakhiri baat ke taur par yeh jumla yaad rakhen ke YouTube ke liye sirf wahi video banaayen jis se aap ka koi ukhrawi nuqsaan na ho. Aqeedah aur Manhaj mukhalif video, kisi par ilzaam taraashi waali video, maslaki asabiyyat mein banaayi gayi video, akhlaaq-aur amal barbaad karne waali video, fitnah aur fasaad phailaane waali video ya bid’aat-o-khurafaat aur fawaahish-o-munkaraat se bhari hui video banaane ka anjaam bahut bura hai aur is ka asar kitna ziyada hai woh upar hamein ma’loom ho hi gaya hai. Profit se upar uth kar hum sirf ta’leemi, islaahi aur mufeed videos jo kitaab-o-sunnat par mabni hon, jo kitaab-o-sunnat ki ta’leemaat ke mukhalif na hon usey hi banaayen aur share karen. Jhooti kahaaniyan banaane, cartoon mein waqt barbaad karne, videos mein ghair zaroori takalluf aur banawat dikhaane ya fuzool aur la-ya’ni (jin ka koi matlab nahi) kaamon waale videos se bhi bachen.
 
Top