Sunnat kise kahte hain?


Staff Member

Member
Staff member
Sunnat kise kahte hain?

Bismillahirrahmanirraheem

Sunnat ka lughwi ma'ana tareeqa ya raasta, (acha ho ya bura)

Hadees: Hazrat abu Juhaifa (Radhiallahu Anhu) kahte hain k rasool Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya:
Jis shakhs ne achcha tareeqa jaari kiya aur uske bad uspar amal kiya to jaari karne wale ko uska sawab bhi milega aur us achche tareeqe par chalne wale doosre logo'n ke amal ka bhi sawab milega jabke amal karne wale logo'n ke apne sawab me se koi kami nahi ki jayegi aur jis shakhs ne koi bura tareeqa jaari kiya uske ba'ad amal kiya gaya to uspar apna gunah bhi hoga aur un logo'n ka gunah bhi jinho'n ne is par amal kiya jabke bure tareeqe par amal karne wale logo'n ke apne gunaho'n se koi kami nahi ki jayegi.(sahih: sunan ibne maja, lilalbani, al juz al-awwal, hadees no:172)

* Shar'ie istelah me sunnat ka matlab Rasool e Akram (Sallellahu alaihi wasallam) ka tareeqa hai,

Hadees: hazrat Anas bin Malik (Radhiallahu Anhu) kahte hain ke Rasool Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya: jisne mere tareeqe par chalne se gurez kiya wo mujh se nahi.
(Sahih Bukhari, kitab an-nikah, bab al targheeb fi an-nikah)

* Doosri hadees:
Hazrat Talha bin Abdullah (Radhiallahu Anhu) kahte hain ke main ne Hazrat Abdullah bin Abbas (Radhiallahu Anhu) ke peeche namaz e janaza padhi, to unho'n ne usme (surah fatiha) padhi aur farmaya "main ne ye isliye padhi hai take logo'n ko ilm hojaye k ye nabi kareem (Sallellahu alaihi wasallam) ka tareeqa hai.
(Sahih Bukhari, kitab al-janaiz, bab qirat fatiha al kitab al janaiz)

* To chaliye dekhte hain ki sunnat kise kahte hain:

Sunnat ki teen (3) qisme'n hain:
(1) sunnate qawli (yani jise nabi kareem "Sallellahu alaihi wasallam" me kaha ho)
(2) sunnate fe'li ( yani nabi kareem "Sallellahu alaihi wasallam" ne kiya ho)
(3) sunnate taqreeri ( yani nabi kareem "Sallellahu alaihi wasallam" ki mawjoodgi me kiya gaya ho aur aap ne us par koi nakeer nahi ki hai)

Aiye tafseel ki taraf:
(1) sunnate qawli: rasool e akram (Sallellahu alaihi wasallam) ki zabani irshad e mubarak "sunnate qawli" kehlata hai iski misal darje zeel hai,
Hadees: hazrat huzaifa (Radhiallahu Anhu) kahte hain ke rasool Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "agar khana khane se pahle "BISMILLAH" na padhi jaye to shaitaan us khane ko apne liye halaal samjh leta hai. (kitabul at'ima, bab al tasmiyah ala at'ta'aam, muslim)

(2) sunnate fe'li: rasool e akram (Sallellahu alaihi wasallam) ke amal e mubarak ko "sunnate fe'li kahte hain, jiski misal darje zeel hai.
Hadees: hazrat nu'maan bin basheer (Radhiallahu Anhu) farmate hain jab hum namaz ke liye khade hote hain to rasool Allah (Sallellahu alaihi wasallam) humari safe'n durust farmate, jab hum seedhe khade hojate to "ALLAAHU AKBAR" kah kar namaz shuru karte. (sahih sunan abne dawud, lilalbani, aljuzul awwal, hd num: 619)

(3) sunnate taqreeri: rasool e akram (Sallellahu alaihi wasallam) ki mawjoodgi me jo kaam kiya gaya ho aur AAP (Sallellahu alaihi wasallam) ne khamoshi akhtiyar farmayi ho ya uska izhaar pasndeedgi kiya ho use "sunnate taqreeri" kahte hain jiski misal darje zeel hai.

Hadees: hazrat qais bin amar (Radhiallahu Anhu) kahte hain k nabi kareem (Sallellahu alaihi wasallam) ne aik Admi ko subah ki namaz ke bad 2 rakate padhte dekha to farmaya "subah ki namaz to 2 rak'at hai" as aadmi ne jawab diya" main ne farz namaz se pahle ki 2 rakate nahi padhi thi, lihaza ab padhi hai. Rasool Allah (Sallellahu alaihi wasallam) ye jawab sun kar khamoosh hogaye. (yani k ijazat dedi).
(sahih sunan ibne dawud, lilalbani, aljuzul awwal, hd num: 1128)
 

Similar threads


Top