TAAGHOOT KA INKAAR


TAAGHOOT KA INKAAR

بِسْمِ ٱللَّٰهِ ٱلرَّحْمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ

Allaah Ta’aalaa Ne Musalmaan Par Sab Se Pehli Cheez Jo Farz Kee Hai Woh Hai Taaghoot Ka Inkaar Aur Phir Allaah Akele Par Eemaan Laana.

Aur Allaah Ta’aalaa Ne Tamaam Nabiyon Ko Yahi Dawat Dekar Bheja Hai, Jaisa Ke Irshaad Baari Ta’aalaa Hai :


وَ لَقَدۡ بَعَثۡنَا فِیۡ کُلِّ اُمَّۃٍ رَّسُوۡلًا اَنِ اعۡبُدُوا اللّٰہَ وَ اجۡتَنِبُوا الطَّاغُوۡتَ

“Hum Ne Har Ummat Mein Rasool Bheje Ke Logon Allaah Ki Ibaadat Karo Aur Taaghoot Se Bacho.”

[An-Nahl, Aayat : 36]

Aur Kalima Laa ILaaha ILaLLaah Mein Hi Saarey Tawaagheet (Ya’ni Taaghoot Ki Jamaa) Ka Inkaar Hai.

Hum Kalimey Mein Kehte Hain Laa ILaaha (Jis Ka Matlab Hai Ke Koi Haqeeqi Mabood Nahi. Yaha Ma’bood Se Muraad Tawaagheet Hai), Is Jumley Mein Saarey Tawaagheet Ka Inkaar Hai Aur Phir Hum Kehte Hain ILLaLLaah (Siwaaye Allaah Ke).

Yeh Tauheed Ka Ek Eham Hissa Hai, Jis Ko Aaj Aksar Logon Ne Nazar Andaaz Kardiya Hai. Taaghoot Ke Baarey Mein ILm Hoga Tab Hi Hum Uska inkaar Aur Usse Bach Sakengey.

Aur Jo Shakhs Taaghoot Se Nahi Bachta Ya Uska Inkaar Nahi Karta Woh Islaam Mein Daakhil Nahi Hosakta.

Jab Hum Kehte Hain “laa ilaaha illallaah”, Iska Matlab Hai Hum Taaghoot Ka Inkaar Karte Hain Aur Allaah Par Eemaan Laate Hain.

LAA ILAAHA ILLALLAAH DO (2) HISSON MEIN TAQSEEM HAI :

Laa ilaaha
= Saarey Maboodon (Tawaagheet) Ka Inkaar Karna.
illallaah = Ek Allaah Par Eemaan Laana.

Ab Mas-Alah (Pareshaani/Mushkil) Yeh Hai Ke, Har Koi Logon Ko Yeh Sikhaa Rahey Hain Ke Allaah Par Eemaan Laao. Lekin Yeh Nahi
Sikhlaarey Ke Taaghoot Ka Inkaar Karo.

Musalmaan Banney Ke Liye Pehle Hum Ko Taaghoot Ka Inkaar Karkar Phir Allaah Par Eemaan Laana Hoga. Aur Musalmaan Banney
Ka Tareeqah Bhi Yahi Hai. Aap Sirf Allaah Par Eemaan Laaney Se Musalmaan Nahi Kehla Sakte. Allaah Par Eemaan Laane Se Pehle Taaghoot Ka Inkaar Karna Hoga.

Allaah ne bhi yahi kaha ke:

فَمَنۡ یَّکۡفُرۡ بِالطَّاغُوۡتِ وَ یُؤۡمِنۡۢ بِاللّٰہِ فَقَدِ اسۡتَمۡسَکَ بِالۡعُرۡوَۃِ الۡوُثۡقٰی لَا انۡفِصَامَ لَہَا

“..Jo Taaghoot Ka Inkaar Kare Aur Phir Allaah Par Eemaan Laaye Tou Usne Aisey Mazboot Kadey Ko Thaam Liya Jo Kabhi Na Tootega..”

[Al-Baqarah : 256]


Is Aayat Mein Allaah Ne Bhi Eemaan Laane Se Pehle Taaghoot Ka Inkaar Karne Ka Zikr Kiya Hai.


《Muharrir: Abu Al-Hasan Al-Hindi Hafizahullah》
 
Last edited:
Thread starter Similar threads Forum Replies Date
Israr Hussain Al-Wahhabi Tawheed 0

Similar threads


Top