TAAWEEZ SE MUTALIQ SHARYI MAUQAF


TAAWEEZ SE MUTALIQ SHARYI MAUQAF
Tahreer : FAZILAT-USH-SHAIKH ABUL HASAN MUBASSHIR AHMED RABBANI hafizahullah
Roman Script : Abu Umaimah Owais

Al-Hamdulillahi Rabbil Aalameen Wassalato Wasallamu Ala Rasoolihil Kareem Wa Ala Aalihi Wa As'habihi Ajmayeen, Amma Ba'ad:

SAWAL:
kya islam taaweez pahan'ne ki ijazat deta hai aur is ka koi saboot Shariat se milta hai ?

JAWAAB:
NABI KAREEM sallallahu alaihi wasallam ka irshaad hai:

من علق شيئا وكل اليه
"Jis ne koi bhi cheez latkayi usay is ke supurd kar diya jaye ga."(Musnad Ahmed:4/311. /wa Al-Hakim:4/87)

Is maf'hom ki aur bhi ahadees mojood hain jin se maloom hota hai ke bemari se bachne ke liye kuch bhi nahi latkaana chahiye. ALLAH TA'ALA se Shifa ki darkhwast karte rehna chahiye. Shirkiyah dam aur taaweezaat latkaana tamam shirk hai. Fatah-ul-majeed Sharah Kitaab-ut-Tawheed mein hai ke Tamima woh manke ya haddiyan hain jo nazar bad se daur rakhne ke liye bachon ke galey mein latkai jati hain. Bemari se bachao ke liye daale jane waale kade, dhaagay, challe, darakhton ke pattay waghera sab najaayez hain. Kionke yeh ashya kisi ke nafa o nuqsaan ki maalik nahi. Quran Hakeem ya deegar ayaat ko likh kar galey mein daalna ya baazu waghera par baandh lena durust nahi, NABI sallallahu alaihi wasallam aur AAP sallallahu alaihi wasallam ke sahaba raziallahu-anhum ajmayeen se is ka koi sahih saboot nahi milta lehaza aisay umoor se kuli ijtinaab karen. ALLAH TA'ALA aap ko aur deegar musalman mareezon ko shifaye kamila naseeb kere.(AAMEEEN)
 
ASSALAMU ALAIKUM WARHMATULLAHI WABARAKATOHO

Graphics ka OPTION bhi kaam nahi kar raha hai 30

is tarah ke images ISLAMIC GRAPHICS par upload ki jaskti hai lihaza Graphic ke forder/option ko bhi check karen
aur deegar kai dosre option bhi kaam nahi kar rahe hain ....
baraaye maherbani unko bhi check karen....
JAZAKALLAHU KAHIR
 
Top