Rajab Ke Mahiney Me Hone Wali Bidaat ki Tahqeeq


Shona shaikh

Active member
Rajab Ke Mahiney Me Hone Wali Bidaat ki Tahqeeq


Arabic Maah "Rajab"hai, Rajab Ke Maah Me Hone Wali Bidato Se Pehle Aayye Ham Ye Bata Dein Ke Quran o Hadees Me Rajab Ke Talluq Se Kya Cheez Saabit Hai

Allah Ta'la Ne Farmaya:-

"Maheenon ki ginti Allah kay nazdeek kitab Allah mein baara ki hai ussi din say jab say aasman-o-zamin ko uss ney peda kiya hai inn mein say char hurmat-o-adab kay hain. Yehi durust deen hai tum inn maheenon mein apni janon per zulm na kero aur tum tamam mushrikon say jihad kero jaisay kay woh tum sab say lartay hain aur jaan rakho kay Allah Taalaa muttaqiyon kay sath hai.

(Surah At-Taubah Surah No.9 Ayat No.36)

(Hurmat Wale Mahine Yaani Izzat Aur Ehtaraam Wale Mahine)

Hurmat Wale Ye 4 Mahine Kon Se Hain ? Is Ki Wazahat Quran Me Nahi Hai Balki Is Ki Wazahat Hadees Me Hai K Ye 4 mahine Ye Hain.

Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya:-

"Zamana Ghoom phir kar usi Halat per Aagaya hai Jaise Us din Tha Jis din Allah ne Asmaan Aur Zameen Paida ki thi, Saal 12 Mahinou ka Hota Hai, 4 Mahiney Usme Hurmat k hai 3 To Pe dar pe hai 1.Zul-Qada, 2.Zul-Hijja , 3.Muharram Aur 4.Rajab Jo Jamadi ul Aaqir Aur Shabaan k Bich me Padta hai".

(Sahih Al Bukhari Jild No.4 Hadees 3197)

Rajab Ke Talluq Se Quran Aur Sahih Hadees Se Sirf Aur Sirf Itna Hi Pata Chalta Hai K Ye Izzat, Ehtaraam Aur Hurmat Wale 4 Maheeno Me Se Ek Maheena Hai.Is Ke Alawa Rajab Ki Kisi Khaas Fazeelat Nahi Hai.

Ab Aayye Dekhein K Ilm Ki Kami Ki Waja Se Is Mahiney Me Musalmano Ne Kin Kin Biddato Par Amal Karna Shuru Kar Diya

1.Salat Ul Raghaaib:-

Rajab Ke First Friday Ya Thursday Ko Maghrib Aur Esha Ke Darmiyaan Kuch Log "Salatul Raghaaib" Ke Naam Se Ek Namaz Padhte Hain,Jis Me 12 Rakat Padhte Hain.

Khayaal Rahe K Kisi Bhi Sahi Hadees Se Rajab Ke Mahiney Me "Salat ul Raghaaib" Naam Se Koi Namaz Saabit Nahi Lihaaza Hame Is Se Bachna Chahiye.

2.Rajab Ke Koonde:-

Is Mahiney Me Kuch Musalman Imam Jafar Sadiq Rahimullah Ke Naam Se Koonde Bhi Banate Hain Us Par Niyaz Dilwate Hain Aur Ye Aqeeda Rakhte Hain K Koonde Bharne Ke Baad Ham Jo Muraad Mangenge Wo Poori Hogi Ye Bhi Bidat Hai Is Talluq Se Imam Jafar Sadiq Rahimullah Aur Ek Lakkad Haare Ka Jo Qissa Bayaan Kiya Jaata Hai Wo ManGhadat Hai.

Doosri Baat Ye K Imam Jafar Sadiq Rahimullah Ho Ya Koi Aur Insaan, Wali Peer, Kisi Ko Bhi Shariyat Banane Ka Haq Haasil Nahi Shariyat Wahi Hai Jis Ka Hukum Allah Aur Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Diya Hai (But Khayaal Rahe K Imam Jafar Sadiq Rahimullah Ki Taraf Mansoob Qissa Bhi ManGhadat Hai).Lihaaza Is Mahiney Me Koonde Ki Bidat Se Bhi Hame Bachna Chahiye

Balke Haqiqat Ye Hai K Rafiziyou (Shia) K Yahan 22 Rajab Ko Kaatib Wahi Ameer Muawiyah Raziallahu Anhu KI Tareekh-e-Wafaat par Khushiyan Manayi Jaati Hai.

Jissey Ghafil Hone Ki Wajah Se Bahut Se Musalmaan Rafiziyou(Shia) Ke Saath Kisi Na Kisi Tarah Tyohar Me Shareeq Ho Jaate Hai

Is Khurafaat Ke Alawa 27 Rajab Ko Bahut Se Musalmaan Isra Aur Meraj Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam ki Tareekh Mutaiyyan Maan kar Bahut Se Bidaat Aur Khurafaat Anjaam Dete Hai Jabki Tareekh-e-Isra Wo Meraj Me Bada Ikhtilaaf Hai Aur Yaqeen Ke Saath Kuch Nahi Kaha Jaa Sakta Hai, Kam Se Kam Musalmaan Meraj Ke Tafsilaat Per Gaur Kar Lein To Bahut Se Kabeera Gunahou Se Bach Jaane K Imkaan Hai.

3.Jashn E Meraaj:-

Kuch Musalman 27 Rajab Ko Rasool Sallallau Alaihi Wasallam Ka "Jashn E Meraj" Manate Hain Ye Bhi Bidat Hai Kyo K Pehli Baat To Ye K Ye Cheez Hi Saabit Nahi K Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam Ko Jo Meraj Hua Tha Wo Rajab Ke Month Me Hua Tha.

Meraj Hua Ye Quran O Hadees Se Saabit Hai,Lekin Kis Month Me Hua Ye Kisi Sahi Hadees Se Saabit Nahi.

Lihaaza Is Tarah Ka Jashn Manane Se Bhi Hame Bachna Chahiye.

4.Rozey:-

Isi Tarah Khaas Rajab Ke Mahiney Me Kuch Dino Ko Khaas Kar Ke Roza Rakhne Ki Bhi Koi Daleel Nahi Hai.

Deeni Aitabar Se Har Woh Kaam Bidat Hoga Jiska Saboot Quran Aur Hadees Main Nahin Milta jaisa k

Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya:-

"Jisne Hamare is Deen me kuch Aisi Baat Shaamil ki Jo usme nahi thi to wo Rad(Mardood) Hai".

(Sahih Bukhari Jild No.4 Hadees No.2697)

Koi Bhi Kaam Neki Samaj Kar Sawaab Ki Niyyat Se Kiya Jaye, Jiske Karne Ka Hukm, Na Allah Ke Kalaam Yani Quran-E-Kareem Me Maujood Ho, Aur Naahi Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Sunnat Yani Hadees-E- Mubaraka Me Maujood Ho Aur Naahi Sahaba(Rizwan Ullahi Ajmain) Ke Tarikhe Me Maujood Ho, Usko Biddat Kehte Hai.

(Jo log Biddat ko taqseem karke Gumrahi pahlarahe hai jaise Bidat e Sayya, Biddat e Hasna un logou k liye ye Hadees se behtareen aur koyi islaah nahi)

Abdullah Ibn Umar Raziallahu Anhu farmate hain:-

"Tamam Biddatein Gumrahi hai Agarche “Ba-Zaahir woh, logon ko acchi lagein"

(Sunan Kubra Bayhaqi Hadees No.138)

Imam Malik Rahimullah Farmate Hai:-

"Jisne Islam me koi Biddat Ijaad ki aur isey Hasna(Acha) samjha to usne ye gumaan Kiya k Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne Risalat me Khiyanat ki(Maaz Allah) is liye k Allah Ta'la ne Farmaya Aaj Maine Tumhare liye Tumhara Deen Mukammil kardiya hai(Surah Al-Maida Surah No.5 Ayat No.3) pas jo cheez us din Deen Na thi Wo Aaj bhi Deen Nahi Ban Sakti".

(Al-Itesaam Lil Shaatibi Jild No.1 Pg No.64-65)

"Rajjab ke baare me baaz Zaif wa Mauzoo Rewayaat"

Rajab ke maheene ke taalluq se Imam Ibne Rajab Rahimullah farmate hai:-

"Rajab maheene ke pahle juma men padhi jane wali Namaz (salat e ragaib ) ke motaalliq marwi sari rewat mauzu hain aur rajab ke maheene mein koi makhsus namaz sabit nahi".

(Lata'if al-Ma'arif fima li Mawasim al-Aam min al-Wadha'if 173)

Imam Ibne Qayyim Rahimullah farmate hain Rajab ke Raato men padhi jane wali makhsus Namaz ke daleel men saari Rewayaten jhuti aur gadhi hui hain".

(Al-Manar Al-Munif 170)

RAJAB KE AZILAT MEN GADHI GAI JHUTI RAWAYATE

"RAJAB ke pahle juma ki rat se gafil mat ho kyu ke farishte is rat ko ummeed ki rat kahte hain".

Imam Ibne taimiya Rahimullah farmate hain tamam mohaddesin ka ittefaq haike ye rewayat mauzu hai.

(Al-Iqtida' As-Sirat al-Mustaqim 331)

"Jo Rajab ke maheene ki pahli magrib ke bad 20 rakat namaz padhe wo pul serat se begair hisab o kitab ke guzar jaiga".

(Imam Ibne Qayyim Rahimullah ne Al-manar Al-Munif 170 aur Imam Shaokani Rahimullah ne Al-Fawaid al-Majmu'ah Fil Ahadith ul Mau'zoo'ah 67 men is rewayat ko mauzu kaha hai).

"Jo Rajab mein Raato men Ibadat aur din men roza rakhe ALLAH usko jannat ka fal khilaye ga".

(Imam Shaukani Rahimullah ne Al-Fawaid al-Majmu'ah Fil Ahadith ul Mau'zoo'ah 117 men isko mauzu kaha hai)

"Jo Rajab mein 3 din roza rakhe usko pure Maheena Roza ka sawab milega".

(Imam Shaukani Rahimullah ne Al-Fawaid al-Majmu'ah Fil Ahadith ul Mau'zoo'ah 116 men isko mauzu kaha hai).

"Rajab ALLAH ka maheena hai jo ismein 2 din roza rakhe usko dohra ajr milega aur dunya ke pahadon se duble sawab hasil hoga".

(Imam Shaukani Rahimullah ne Al-Fawaid al-Majmu'ah Fil Ahadith ul Mau'zoo'ah 116 men isko mauzu kaha hai).

"Jannat mein ek nahar ka name rajab hai".

(Allama Albani Rahimullah ne Zaif al jamey 1902 men isko mauzu kaha hai).

Rajab Hurmat wala Mahina Hai Apni Jaanou per zulm karne se Bache...
 
Thread starter Similar threads Forum Replies Date
Muhammed Ali Owais Bid’aat 0
Maqubool Ahmad Salafi Bid’aat 0

Similar threads


Top