Umar Asari

Administrator
Staff member
Tableegh Ka Zimmedaar Kon?

Shaikh Saleh bin Fawzaan se poocha gaya;
Sawaal:
Kuch logon ko yeh wahm laahiq hai ke dawat e deen ka kaam sirf mutlaqan ulama e kiraam hi kar sakte hain, aur un ke alawah kisi ko jis qadar ilm hai us ki dawat dena laazim nahi. Shaikh aap us ki kya tawjeeh farmaayenge?

Jawaab: Yeh koi wahm nahi balki ek haqeeqat hai, dawat e deen to ulama e kiraam ka hi kaam hai, lekin main yeh kehta hun ke kuch aise wazeh umoor hain jo har insaan jaanta hai, pas har insaan apni hasb e maarifat bhalaayi ka hukm de aur buraayi se roke, (jaise) apne ghar waalon ko namaz aur deegar wazeh umoor ka hukm de, yeh farz hai yahan tak ke ek aam insaan par bhi ke woh apni aulaad ko Masajid mein namaz padhne ka hukm de, Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam ne irshaad farmaaya:
مُرُوا أَوْلاَدَكُمْ بِالصَّلاَةِ وَهُمْ أَبْنَاءُ سَبْعِ سِنِينَ وَاضْرِبُوهُمْ عَلَيْهَا وَهُمْ أَبْنَاءُ عَشْرِ سِنِينَ​
Tarjuma: Jab tumhari aulaad saat (7) saal ki umr ko pahunch jayen to unhein namaz ka hukm do aur jab woh dus (10) saal ke ho jaayen to (namaz mein kotahi karne par) unhein saza do.
(Sunan Abi Dawood: 495)

Aur farmaaya:
كُلُّكُمْ رَاعٍ وَكُلُّكُمْ مَسْئُولٌ عَنْ رَعِيَّتِهِ​
Tarjumah: Tum mein se har koi nigehbaan hai, aur har kisi se us ki raiyyat ke baare mein sawaal kiya jaayega.
(Sahih Bukhari: 893)

Yeh ri'aaya kehlaati hai, aur yahi neki ka hukm dena aur buraayi se rokna kehlaata hai Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam ka farmaan hai:
مَنْ رَأَى مِنْكُمْ مُنْكَرًا فَلْيُغَيِّرْهُ بِيَدِهِ، فَإِنْ لَمْ يَسْتَطِعْ فَبِلِسَانِهِ، فَإِنْ لَمْ يَسْتَطِعْ فَبِقَلْبِهِ، وَذَلِكَ أَضْعَفُ الْإِيمَانِ
Tarjumah: Jo shakhs bura kaam hota dekhe, woh use apne haath se khatm kar de aur agar taaqat na ho to zabaan ke saath roke aur agar us ki bhi taaqat na rakhta ho to apne dil se bura jaane. Aur yeh (aakhiri darja) kamzor tareen Imaan hai.
(Sahih Muslim: 49)

Chunanche ek aam insaan se yeh matloob hai ke woh apne ghar waalon waghera ko namaz, Zakat, Allah Taala ki ita'at aur gunaaho se door rahne ka hukm de, apne ghar ko buraiyon se paak rakhe aur apni aulaad ki tarbiyat Allah Taala ki ita'at par kare, yeh har shakhs se matloob hai agarche woh aam awaam hi kiun na ho, kiunki yeh to har koi jaanta hai, (kiunki) yeh bilkul wazeh ahkaam hain albattah jahaan tak mu'aamla hai fataawa dene, halaal o haraam bayan karne aur shirk o Tauheed bayan karne ka to yeh ulaama e kiraam ke alawah aur koi na kare.
(Al Ajwibah Al Mufeedah 'An As-ilah Al Manaahij Al Jadeedah, Question No: 15 Page No: 40)
 

Similar threads


Top